اے عون و محمد
aye aun o muhammad

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Kehti thi yeh Zainab, yun maa ka maan nibhana
Ae Aun o Muhammad
Shabbir ka tum sadqa ho, ab kheme mein beta
Tum laut kar na aana
1
Hai maan ko yaqeen, tum maa ki baat rakhoge
Yeh yaad rahe, khemon mein hain pyaase bachche
Darya pe agar jaana ho, seh roz ke pyaason
Tum pyaas na bujhana
2
Har haal mein tum par, laazim hai shukr
Khuda ka Ae shehzadon, hai sabr tumhara virsa
Farzand ho tum Zainab ke, shikwa nahin karna
Jab zakhm koi khana
3
Kab hum pe sitam, karne ke liye aaye hain
Yeh Badr o Uhud ke, badle ke liye aaye hain
Laazim hai rajaz se pehle, maidan mein tum par
Madh-e-Ali sunaana
4
Jab saans tumhari, bachon ho ukharnay wali
Us waqt sarhaane, aayengi madar meri
Dil ki yeh meri khwaahish hai, us dam meri maa se
Zakhmon ko tum chhupaana
5
Qaatil pe karam, nana ki tarah kar dena
Yoon laaj mere, bhai ke naam ki rakhna
Jo waasta de bhai ka, maidan mein us par
Tum tegh na chalana
6
Jab laashe utha kar, kheme mein laye
Sarwar Zainab yeh boli, ashkon ko apne chupa kar
Main bhi na tumhe roongi, aur mere liye bhi
Aansoo na tum bahaana
7
Tazeem ki khatir, kyon uthte nahin ab beta
Dekho to sarhaane, aaye hain mere bhaiya
Jago mere shehzadon, kya bhool gaye ho
Qadmon pe sar jhukaana
8
Shabash mere bachon, hoon main tum se raazi
Yeh keh ke takallum, khamosh hui Shehzadi
Nezon pe safar kar ke, hamrah hamare
Tum ko hai Shaam jaana