مقتل کے سناٹے میں
Ae Mere Baba Jaan
Show
مقتل کے سناٹے میں
مقتل کے سناٹے میں
نوحہ کرتی ہے ناداں
اے میرے بابا جاں
اے میرے بابا جاں
۱
باقی نہیں اب میرے
جینے کا کوئی امکاں
اے میرے بابا جاں
اے میرے بابا جاں
۲
جنگل ہے گھر بھی نہیں ہے
کوئی یاور بھی نہیں ہے
اب تو اکبر بھی نہیں ہے
سر پر چادر بھی نہیں ہے
یوں ہی اب قیدی ہو کر
جانا ہے مجھ کو زنداں
۳
کب سے کھاتی ہوں طمانچے
دونوں عارض ہیں نیلے
پہنائے تھے جو بوندیں
وہ بھی اعدا نے چھینے
بیٹی کی حالت دیکھو
زخمی ہیں دونوں ہی کان
۴
لوٹا خیمہ بھی گھر بھی
گہوارہ بھی بستر بھی
مقنہ بھی اور چادر بھی
حاصل بھی اور گوہر بھی
اعدا نے آگ لگا کر
لوٹے ہیں گھر کے سامان
۵
یہ اکبر کی میت ہے
وہ اصغر کی تربت ہے
یہ فروہ کی حسرت ہے
وہ زینب کی غیرت ہے
بکھرے پڑے ہیں رن میں
زہرا کے دل کے ارماں
۶
تم تھے احمد کے نواسے
دوری تھی کیا دریا سے
زباں ہوے کیوں پیاسے
بتلاؤں کیا دنیا سے
تم کو کلمہ گویوں نے
مارا بلا کے مہماں
۷
وہ ہیں عمو کے بازو
یہ ہے اکبر کے گیسوں
قاسم بکھرے ہیں ہر سو
میں ہوں اور میرے آنسو
کل تک تھی اس مقتل میں
میرے کنبے کی کیا شان
۸
کوفے میں گھبراؤں گی
کیوں کر ہمت لاؤں گی
بلوے میں شرماؤں گی
غیرت سے مر جاؤں گی
رخ پر مٹی ہی مل دو
ہونے نہ پائے پہچان
۹
مجالس میں جب آتے ہیں
اشک غم برساتے ہیں
ماتم میں کھو جاتے ہیں
روتے ہیں رلواتے ہیں
نیر اور عامر کی تم
مشکل کر دینا آسان
Ae Mere Baba Jaan
Maqtal ke sannaate meiṅ
Nauha karti hai naadaaṅ
Ae mere baba jaaṅ
Ae mere baba jaaṅ
1
Baaqi nahiṅ ab mere
Jine ka koi imkaaṅ
Ae mere baba jaaṅ
Ae mere baba jaaṅ
2
Jangal hai ghar bhi nahiṅ hai
Koi yaawar bhi nahiṅ hai
Ab to Akbar bhi nahiṅ hai
Sar par chaadar bhi nahiṅ hai
Yuṅ hi ab qaidi ho kar
Jaana hai mujh ko zindaaṅ
3
Kab se khaati huṅ tamaanche
Donoṅ aariz haiṅ nile
Pehnaaye the jo bunde
Wo bhi aadaa ne chhine
Beti ki haalat dekho
Zakhmi haiṅ donoṅ hi kaan
4
Luta khaima bhi ghar bhi
Gehwaara bhi bistar bhi
Maqna bhi aur chaadar bhi
Hasli bhi aur gauhar bhi
Aadaa ne aag laga kar
Lute haiṅ ghar ke saamaan
5
Ye Akbar ki mayyat hai
Wo Asghar ki turbat hai
Ye Farwa ki hasrat hai
Wo Zainab ki ghairat hai
Bikhre pare haiṅ ran meiṅ
Zehra ke dil ke armaaṅ
6
Tum the Ahmad ke nawaase
Duri thi kya darya se
Zabha hue kiuṅ pyaase
Batlaauṅ kya duniya se
Tum ko kalma goyoṅ ne
Maara bula ke mehmaaṅ
7
Wo haiṅ ammu ke baazu
Ye hain Akbar ke gesu
Qasim bikhre haiṅ har su
Maiṅ huṅ aur mere aansu
Kal tak thi is maqtal meiṅ
Mere kunbe ki kya shaan
8
Kufe meiṅ ghabraauṅgi
Kiuṅ kar himmat laauṅgi
Balwe meiṅ sharmaauṅgi
Ghairat se mar jaauṅgi
Rukh par mitti hi mal do
Hone na paaye pehchaan
9
Majaalis meiṅ jab aate haiṅ
Ashk-e-gham barsaate haiṅ
Maatam meiṅ kho jaate haiṅ
Rote haiṅ rulwaate haiṅ
Nayyar aur Aamir ki tum
Mushkil kar dena aasaan