Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

اے مشک و علم حضرت عباس کہاں ہیں

Ae Mashk o Alam

Add to set
Show

اے مشک و علم حضرت عباس کہاں ہیں

اے مشک و علم حضرت عباس کہاں ہیں سقائے حرم حضرت عباس کہاں ہیں
۱ سب اہل حرم دیکھ رہیں ہیں شاہ دین کو ہر آنکھ ہے نم حضرت عباس کہاں ہیں
۲ یوں پیاس کی شدت سے بلکتی ہے سکینہ رک جائے نہ دم حضرت عباس کہاں ہیں
۳ شبیر جوان لاشے پسر کیسے اٹھائے گہرا ہے یہ غم حضرت عباس کہاں ہیں
۴ دل بندے علی فاطمہ زہرہ کے دلارے بہنوں کا بھرم حضرت عباس کہاں ہیں
۵ شبیر سے یہ غربت شبیر نہ پوچھا اے شاہ امم حضرت عباس کہاں ہیں
۶ حلقہ شاہ مظلوم ہے اور شمر کا خنجر اب وقت ہے کم حضرت عباس کہاں ہیں
۷ کچھ دہر میں ہو جائے گی اب شام غریباں اے دشت ستم حضرت عباس کہاں ہیں
۸ کانوں سے گوہر کھینچنے خیموں کو جلانے بڑھتے ہیں قدم حضرت عباس کہاں ہیں
۹ اک لشکر اشرار مقابل پہ ہے شہید نرغے میں ہم حضرت عباس کہاں ہیں

Ae Mashk o Alam

Ae mashk o alam Hazrat-e-Abbas kahaaṅ haiṅ Saqqa-e-haram Hazrat-e-Abbas kahaaṅ haiṅ
1 Sab ahl-e-haram dekh rahe haiṅ Shah-e-din ko Har aankh hai nam Hazrat-e-Abbas kahaaṅ haiṅ
2 Yuṅ pyaas ki shiddat se bilakti hai Sakina Ruk jaaye na dam Hazrat-e-Abbas kahaaṅ haiṅ
3 Shabbir jawaan laash-e-pisar kaise uthaaye Gehra hai ye gham Hazrat-e-Abbas kahaaṅ haiṅ
4 Dilband-e-Ali Fatema Zehra ke dulaare Behnoṅ ka bharam Hazrat-e-Abbas kahaaṅ haiṅ
5 Shabbir se ye ghurbat-e-Shabbir ne puchha Ae Shah-e-umam Hazrat-e-Abbas kahaaṅ haiṅ
6 Halq-e-Shah-e-mazlum hai aur Shimr ka khanjar Ab waqt hai kam Hazrat-e-Abbas kahaaṅ haiṅ
7 Kuch der meiṅ ho jaayegi ab shaam-e-gharibaaṅ Ae dasht-e-sitam Hazrat-e-Abbas kahaaṅ haiṅ
8 Kaanoṅ se gauhar khainchne khaimoṅ ko jalaane Barhte haiṅ qadam Hazrat-e-Abbas kahaaṅ haiṅ
9 Ek lashkar-e-ashraar muqaabil pe hai Shahid Narghe meiṅ haiṅ hum Hazrat-e-Abbas kahaaṅ haiṅ