اے کربلا اے کربلا
Ae Karbala Ae Karbala
Show
اے کربلا اے کربلا
اے کربلا اے کربلا
قتل ہوئی آل نبی گھر اجڑ گیا
۱
ہائے تیرے سامنے دریا کے کنارے
پیاسے رہے ساقیِ کوثر کے دلارے
خاک میں پوشیدہ ہوئے عرش کے تارے
روٹھ گئے زینب مضطر کے سہارے
سبط رسول دو سرا قتل ہو گیا
۲
ماں کو تھا ارمان بہت شادی کا جس کی
رات کو جس کی سر مقتل ہوئی شادی
صبح کو مارا گیا وہ شیر جری بھی
شب کو بنی تھی جو دلہن بیوہ ہو گئی
دشت میں پامال ہوا دولہا کا لاشہ
قتل ہوئی آل نبی گھر اجڑ گیا
۳
پرچم عباس جری خون میں ڈوبا
کٹ گئے اس شیر کے بازو لب دریا
پیاسا ہی مارا گیا سقائے سکینہ
ٹوٹ گئی شہ کی کمر وا مصیبتا
شہ نے کہا ہائے میرا شیر مر گیا
۴
زخمی ہوا اکبر ذیجاہ کا سینہ
برچھیاں پیوست ہوئی گڑھ گیا نیزہ
کوئی بھی اس وقت مددگار نہیں تھا
باپ نے خود بیٹے کے لاشے کو اٹھایا
ہائے کسی نے نہ دیا شہ کو سہارا
قتل ہوئی آل نبی گھر اجڑ گیا
۵
لوری یہ راتوں کو جسے سناتی تھی یہ ماں
گود کے جھولے میں جھلاتی تھی جسے ماں
دولہا تصور میں بناتی تھی جسے ماں
شیر جری کہہ کے بلاتی تھی جسے ماں
ماں سے جدا ہائے وہ شہزادہ ہو گیا
قتل ہوئی آل نبی گھر اجڑ گیا
۶
ہاشمی شیروں کا لہو بہہ گیا رن میں
لٹ گئی کونین کی شہزادیاں بن میں
آگ لگائی گئی زہرا کے چمن میں
جکڑا گیا ہائے یتیموں کو رسن میں
کتنے ہوئے ظلم و ستم اس قدر جفا
قتل ہوئی آل نبی گھر اجڑ گیا
۷
آج بھی ہے وقت کے گوہر یہی نالے
راکھ ہوئے جل گئے سادات کے خیمے
مارے گئے بالی سکینہ کے طمانچے
قید ہوئے سید کونین کے پیارے
ہو گئی مقتل میں نبی زادی بے ردا
قتل ہوئی آل نبی گھر اجڑ گیا
Ae Karbala Ae Karbala
Ae Karbala ae Karbala
Qatl hui Aal-e-Nabi ghar ujar gaya
1
Haaye tere saamne darya ke kinaare
Pyaase rahe saaqi-e-Kausar ke dulaare
Khaak meiṅ poshida hue arsh ke taare
Ruth gaye Zainab-e-muztar ke sahaare
Sibt-e-Rasul-e-do sara qatl ho gaya
2
Maaṅ ko tha armaan bahut shaadi ka jis ki
Raat ko jis ki sar-e-maqtal hui shaadi
Subh ko maara gaya wo sher-e-jari bhi
Shab ko bani thi jo dulhan bewa ho gayi
Dasht meiṅ paamaal hua dulha ka laasha
Qatl hui Aal-e-Nabi ghar ujar gaya
3
Parcham-e-Abbas-e-jari khun meiṅ duba
Kat gaye us sher ke baazu lab-e-darya
Pyaasa hi maara gaya saqqa-e-Sakina
Tut gayi Shah ki kamar waa musibata
Shah ne kaha haaye mera sher mar gaya
4
Zakhmi hua Akbar-e-zi jaah ka sina
Barchhiyaaṅ paiwast hui garh gaya neza
Koi bhi us waqt madadgaar nahiṅ tha
Baap ne khud bete ke laashe ko uthaaya
Haaye kisi ne na diya Shah ko sahaara
Qatl hui Aal-e-Nabi ghar ujar gaya
5
Lori ye raatoṅ ko jise sunaati thi ye maaṅ
God ke jhule meiṅ jhulaati thi jise maaṅ
Dulha tasawwur meiṅ banaati thi jise maaṅ
Sher-e-jari keh ke bulaati thi jise maaṅ
Maaṅ se juda haaye wo shahzaada ho gaya
Qatl hui Aal-e-Nabi ghar ujar gaya
6
Hashmi sheroṅ ka lahu beh gaya ran meiṅ
Lut gayi Kaunain ki shahzaadiyaaṅ ban meiṅ
Aag lagaai gayi Zehra ke chaman meiṅ
Jakra gaya haaye yatimoṅ ko rasan meiṅ
Kitne hue zulm o sitam is qadar jafa
Qatl hui Aal-e-Nabi ghar ujar gaya
7
Aaj bhi hai waqt ke Gohar yahi naale
Raakh hue jal gaye Saadaat ke khaime
Maare gaye baali Sakina ke tamaache
Qaid hue Sayyid-e-Kaunain ke pyaare
Ho gayi maqtal meiṅ Nabi zaadi berida
Qatl hui Aal-e-Nabi ghar ujar gaya