اے چچا میں تیرا سجاد ہوں پہچان مجھے
Ae Chacha Maiṅ Tera
Show
اے چچا میں تیرا سجاد ہوں پہچان مجھے
اے چچا میں تیرا سجاد ہوں پہچان مجھے
کھا گئے ہائے ستم شام کے زندان مجھے
۱
اے چچا سن لے یہ پر درد کہانی میری
ڈھل گئی رنج و الم سہتے جوانی میری
تازیانوں سے ستایا گیا ہر آن مجھے
۲
قرض یوں اجر رسالت کا چکاتے تھے لعیں
کلمہ پڑ پڑ کے مجھے درے لگاتے تھے لعیں
یاد ہے آج بھی امت کا یہ احسان مجھے
۳
اے چچا شام کی وہ راہیں عجب راہیں تھی
تیس تھی زخموں میں اور لب پر میرے آہیں تھی
جینا دشوار تھا اور مرنا تھا احسان مجھے
۴
کبھی زندانوں سے گزرا کبھی درباروں سے
درد صیحت ہوے گزرا ہوں میں بازاروں سے
گام در گام رلاتے تھے مسلمان مجھے
۵
جن کی حد کوئی نہیں ایسے الم دیکھے ہیں
بھرے بازار میں بے پردہ حرم دیکھے ہیں
سیکڑوں غم تھے جو کرتے تھے پریشان مجھے
۶
ظلم نے لوٹا ہے جنگل میں بھرا گھر میرا
اس طرح اجڑا ہے مقتل میں بھرا گھر میرا
بھری بستی بھی نظر آتی ہے ویران مجھے
۷
میں لہو روتا تھا وہ زخم لگاتے تھے مجھے
شامی پانی کی جگہ پیاس پلاتے تھے مجھے
قید خانوں میں رکھا جاتا تھا مہمان مجھے
۸
اے چچا یہ بھی قیامت کی گھڑی آئی ہے
جلے کرتے میں بہن قید میں دفنائی ہے
سونے دیتا نہیں ہمشیر کا یہ دھیان مجھے
۹
نوحہ عابد کا تھا جب آئے وطن نور علی
پیٹ کر سر یہی کرتے تھے سخن نور علی
دفن کرنا پڑے قد ہاتھوں سے ارمان مجھے
Ae Chacha Maiṅ Tera
Ae chacha maiṅ tera Sajjad huṅ pehchaan mujhe
Khaa gaye haaye sitam Shaam ke zindaan mujhe
1
Ae chacha sun le ye pur dard kahaani meri
Dhal gayi ranj o alam sehte jawaani meri
Taaziyaanoṅ se sataaya gaya har aan mujhe
2
Qarz yuṅ ajr-e-risaalat ka chukaate the laiṅ
Kalma parh parh ke mujhe durre lagaate the laiṅ
Yaad hai aaj bhi ummat ka ye ehsaan mujhe
3
Ae chacha Shaam ki wo raaheṅ ajab raaheṅ thi
Tis thi zakhmoṅ meiṅ aur lab par mere aaheṅ thi
Jina dushwaar tha aur marna tha aasaan mujhe
4
Kabhi zindaanoṅ se guzra kabhi darbaaroṅ se
Dard sehte hue guzra huṅ maiṅ bazaaroṅ se
Gaam dar gaam rulaate the Musalmaan mujhe
5
Jin ki had koi nahiṅ aise alam dekhe haiṅ
Bhare bazaar meiṅ beparda haram dekhe haiṅ
Saikroṅ gham the jo karte the pareshaan mujhe
6
Zulm ne luta hai jangal meiṅ bhara ghar mera
Is tarah ujra hai maqtal meiṅ bhara ghar mera
Bhari basti bhi nazar aati hai wiraan mujhe
7
Maiṅ lahu rota tha wo zakhm lagaate the mujhe
Shaami paani ki jagah pyaas pilaate the mujhe
Qaidkhaanoṅ meiṅ rakha jaata tha mehmaan mujhe
8
Ae chacha ye bhi qayaamat ki ghari aayi hai
Jale kurte meiṅ behan qaid meiṅ dafnaayi hai
Sone deta nahiṅ hamshir ka ye dhyaan mujhe
9
Nauha Aabid ka tha jab aaye watan Nur Ali
Pit kar sar yehi karte the sukhan Nur Ali
Dafn karna pare khud haathoṅ se armaan mujhe