اے اصغر ناداں
Ae Asghar-e-Naadaaṅ
Show
اے اصغر ناداں
اے اصغر ناداں
۱
دشمن کی نظر سے تمہیں اللہ بچائے
پھر ماں سے ملائے
تکتی ہے تیری راہ کو ڈیوڑھی پہ کھڑی ماں
۲
اے میرے پر ارماں میری آنکھوں کے تارے
اے راج دلارے
میداں کو تم جاتے ہو اللہ نگہباں
۳
رکھا تھا تمہی میں نے زمانے سے بچا کے
سینے سے لگا کے
اس دشت میں تم ماں سے بچھڑتے ہو میری جاں
۴
اے راحتِ جاں نور نظر گھر کے اجالے
اے ہسلیوں والے
میدان سے جلد آییو یہ ماں تیرے قرباں
۵
تم ہوتے جواں شان سے میں بیاہ رچاتی
اور دولہا بناتی
میں لٹتی ہوں ملتا ہے میرا خاک میں ارماں
Ae Asghar-e-Naadaaṅ
Ae Asghar-e-naadaaṅ
1
Dushman ki nazar se tumheiṅ Allah bachaaye
Phir maaṅ se milaaye
Takti hai teri raah ko deorhi pe khari maaṅ
2
Ae mere pur armaaṅ meri aankhoṅ ke taare
Ae raaj dulaare
Maidaaṅ ko tum jaate ho Allah nigahbaaṅ
3
Rakha tha tumheiṅ maiṅ ne zamaane se bacha ke
Sine se laga ke
Is dasht meiṅ tum maaṅ se bichharte ho meri jaaṅ
4
Ae raahat-e-jaaṅ nur-e-nazar ghar ke ujaale
Ae hasliyoṅ waale
Maidaan se jald aaiyo ye maaṅ tere qurbaaṅ
5
Tum hote jawaaṅ shaan se maiṅ byaah rachaati
Aur dulha banaati
Maiṅ lutti huṅ milta hai mera khaak meiṅ armaaṅ