Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

عطاے کبریا ہے اور میں ہوں

Ata-e-Kibriya Hai

Add to set
Show

عطاے کبریا ہے اور میں ہوں

عطاے کبریا ہے اور میں ہوں دعائے فاطمہ ہے اور میں ہوں
۱ پاے جبریل مدحت بیت دل کا در آمد کھلا ہے اور میں ہوں
۲ صف الفاظ ہے کاغذ قلم ہے عجب یہ تلخیاں ہیں اور میں ہوں
۳ نہیں احساس تنہائی ذرا بھی کوئی دل میں بسا ہے اور میں ہوں
۴ نہ سجدے سے مجھے کوئی اٹھاے یہاں میرا خدا ہے اور میں ہوں
۵ نہیں احساس اپنے غم کا مجھکو خیال فاطمہ ہے اور میں ہوں
۶ تمناے نبی کی روشنی میں ثناے مرتضیٰ ہے اور میں ہوں
۷ نظر چوکھٹ سے اٹھتی ہی نہیں ہے در مشکل کشاء ہے اور میں ہوں
۸ یہی آنا ہے تو پھر کیوں میں جاؤں یہاں خاک شفا ہے اور میں ہوں
۹ سر دین عقیدت ہر قدم پر الم عباس کا ہے اور میں ہوں
۱۰ فرات جان ہے اور اسکے کنارے وفاؤں کی فضا ہے اور میں ہوں
۱۱ یہ کہہ کر جھک گئے سجدے میں سرور میرے رب کی رضا ہے اور میں ہوں
۱۲ خدا سے کہتا تھا یہ قلب عابد تیرا بس آسرا ہے اور میں ہوں
۱۳ نبی کہتے تھے حیدر تمہارا شاہانہ اک خدا ہے اور میں ہوں
۱۴ عدیل اب اور کیا مجھکو طلب ہے زمین کربلا ہے اور میں ہوں

Ata-e-Kibriya Hai

Ata-e-Kibriya hai aur maiṅ huṅ Dua-e-Fatima hai aur maiṅ huṅ
1 Paa-e-Jibril-e-midhat bait-e-dil ka Dar-e-aamad khula hai aur maiṅ huṅ
2 Saf-e-alfaaz hai kaaghaz qalam hai Ajab ye takhliya hai aur maiṅ huṅ
3 Nahiṅ ehsaas-e-tanhaai zara bhi Koi dil meiṅ basa hai aur maiṅ huṅ
4 Na sajde se mujhe koi uthaye Yahaaṅ mera Khuda hai aur maiṅ huṅ
5 Nahiṅ ehsaas apne gham ka mujhko Khayal-e-Fatima hai aur maiṅ huṅ
6 Tamanna-e-Nabi ki roshni meiṅ Sana-e-Murtaza hai aur maiṅ huṅ
7 Nazar chaukhat se uthti hi nahiṅ hai Dar-e-Mushkil Kusha hai aur maiṅ huṅ
8 Yahiṅ aana hai to phir kiuṅ maiṅ jaauṅ Yahaaṅ khaak-e-shifa hai aur maiṅ huṅ
9 Sar-e-dosh-e-aqidat har qadam par Alam Abbas ka hai aur maiṅ huṅ
10 Furat-e-jaan hai aur is ke kinare Wafaaoṅ ki fiza hai aur maiṅ huṅ
11 Ye keh kar jhuk gaye sajde meiṅ Sarwar Mere Rab ki raza hai aur maiṅ huṅ
12 Khuda se kehta tha ye qalb-e-Abid Tera bas aasra hai aur maiṅ huṅ
13 Nabi kehte the Haider tumhara Shanaasa ek Khuda hai aur maiṅ huṅ
14 Adil ab aur kya mujhko talab ho Zamin-e-Karbala hai aur maiṅ huṅ