عسکری کی سامرہ میں ہائے شہادت ہو گئی
Askari Ki Saamra Mein
Show
عسکری کی سامرہ میں ہائے شہادت ہو گئی
عسکری کی سامرہ میں ہائے شہادت ہو گئی
آج پھر سے فاطمہ کے گھر قیامت ہو گئی
۱
خون میں اپنے ہی غلطاں ہیں غریبِ سامرہ
سرخ اپنے خون میں پھر سے امامت ہو گئی
۲
زہر پا کر یوں تڑپتے جا رہے ہیں عسکری
مجتبیٰ کی ذہن میں تازہ مصیبت ہو گئی
۳
ایک اور معصوم کو مارا ہے ظُلم و جور سے
یوں شہادت اِس گھرانے کی روایت ہو گئی
۴
چپکے چپکے رو رہے ہیں عسکری کے گھر میں سب
رونے پہ پہرہ لگا ایسی شقاوت ہو گئی
۵
پانچواں ہی سال تھا مہدی کا جب ظلم و ستم
اس قدر بڑھنے لگا ہر سُو عداوت ہو گئی
۶
محوِ گریہ حیدرِ کرار بھی ہیں زہرا بھی
غمزدہ شہرِ مدینہ میں رسالت ہو گئی
۷
رو رہے ہیں سب مُحب سُن کر مصیبت کا بیاں
اس طرح رضوان کی کامل عبادت ہو گئی
Askari Ki Saamra Mein
Askari ki Saamra meiṅ haye shahadat ho gayi
Aaj phir se Fatima ke ghar qayamat ho gayi
1
Khun meiṅ apne hi ghaltaaṅ haiṅ gharib-e-Saamra
Surkh apne khun meiṅ phir se imamat ho gayi
2
Zehr paa kar yuṅ tarapte jaa rahe haiṅ Askari
Mujtaba ki zehn meiṅ taaza musibat ho gayi
3
Ek aur maasum ko maara hai zulm o jaur se
Yuṅ shahadat is gharane ki riwayat ho gayi
4
Chupke chupke ro rahe haiṅ Askari ke ghar meiṅ sab
Rone pe pehra laga aisi shaqawat ho gayi
5
Paanchwaṅ hi saal tha Mehdi ka jab zulm o sitam
Is qadar barhne laga har su adawat ho gayi
6
Mahw-e-girya Haider-e-Karraar bhi haiṅ Zehra bhi
Ghamzada shehr-e-Madina meiṅ risalat ho gayi
7
Ro rahe haiṅ sab muhib sun kar musibat ka bayaaṅ
Is tarah Rizwan ki kaamil ibadat ho gayi