ایمان کے اجالے ہیں عاشور کی گرمی ہے
Ashur Ki Garmi Hai
Show
ایمان کے اجالے ہیں عاشور کی گرمی ہے
ایمان کے اجالے ہیں عاشور کی گرمی ہے
شبیر کی قسمت ہے اور گود کے پالے ہیں
ایمان کے اجالے ہیں عاشور کی گرمی ہے
۱
یہاں دل تہہ و بالا ہے وہاں جان کے لالے ہیں
شبیر ضعیفی میں اکبر کو سنبھالے ہیں
۲
جس طرح کوئی چاہے گھر لوٹتے پیاسوں کا
جلتی ہُوئی ریتی پر سب چاہنے والے ہیں
۳
عابد کو کوئی دیکھے دربار میں کوفے کے
بیڑی کو اٹھائے ہیں زنجیر سنبھالے ہیں
۴
سلجھایا تھا لیلیٰ نے الجھی ہوئی زلفوں کو
پھر موت نے اے اکبر بال گیسوؤں والے ہیں
۵
دیکھو تو علی اصغر آغوش میں بابا کی
کیا کانپتے ہاتھوں سے امت کو سنبھالے ہیں
۶
بے فیض زمانے سے کیا اسکو غرض کوئی
اب فضل کی دنیا کے شبیر اُجالے ہیں
Ashur Ki Garmi Hai
Iman ke ujaale haiṅ Ashur ki garmi hai
Shabbir ki qismat hai aur god ke paale haiṅ
Iman ke ujaale haiṅ Ashur ki garmi hai
1
Yahaṅ dil tah o baala hai wahaṅ jaan ke laale haiṅ
Shabbir zaifi meiṅ Akbar ko sambhaale haiṅ
2
Jis tarah koi chaahe ghar lutte pyasoṅ ka
Jalti hui reti par sab chaahne waale haiṅ
3
Abid ko koi dekhe darbaar meiṅ Kufe ke
Beri ko uthaaye haiṅ zanjir sambhaale haiṅ
4
Suljhaaya tha Laila ne uljhi hui zulfoṅ ko
Phir maut ne ae Akbar baal gesuoṅ waale haiṅ
5
Dekho to Ali Asghar aaghosh meiṅ baba ki
Kya kaampte haathoṅ se ummat ko sambhaale haiṅ
6
Befaiz zamaane se kya usko gharaz koi
Ab Fazl ki dunya ke Shabbir ujaale haiṅ