Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

اللّٰہ اکبر کی اذاں

Allahu Akbar Ki Azaaṅ

Add to set
Show

اللّٰہ اکبر کی اذاں

اللّٰہ اکبر کی اذاں یہ کہہ رہی ہے دشت میں رو رو کے ایک ماں
۱ ہائے ہائے تم نہ آئے اے میری آنکھوں کے چین ہائے وہ غم دس محرم اور سکینہ کے وہ بین اکبر بھی سن کے رو پڑا بہنوں کی سسکیاں
۲ کیا جوانی کیسا پانی تشنگی کی رات تھی ہائے اے رب آخری شب آنسوؤں کے ساتھ تھی ابھری تھی ہائے اس طرح عاشور کی اذاں
۳ مصطفیٰ کے چاند تارے شام تک گہنا گئے ہائے ہائے پھول سارے کس طرح مرجھا گئے یوں فاطمہ کے باغ میں آتی رہی خزاں
۴ ہائے ہائے غم اٹھائے اس طرح سادات نے آہ و زاری اشک واری کی غموں کی رات نے جیسے جواں لاش پر بیٹھی ہے بی‌بیاں
۵ ایسا منظر اس زمین پر پھر نظر آیا نہیں نوجواں کا یوں جنازہ ایسے اٹھتا ہے کہیں روتی ہے آج یہ زمین روتا ہے آسماں
۶ ہائے اکبر بولا روکر یہ اذان آخری سن رہے ہیں کربلا میں آج جس طرح سبھی صغرا بھی کاش سن سکے اے میرے بابا جاں
۷ ہائے ہائے سر کٹائے سب جوان سو جائیں گے دہر چھوڑ کے خاک اوڑھے دشت میں کھو جائیں گے قائم رہے گی حشر تک اللّٰہ کی اذاں
۸ وہ معظم موت کے دن گن رہا تھا اے ظفر شاہ کا دل کیسی مشکل میں تھا میثم رات بھر یوں قتل ہو کے رہ گیا شبیر کا بیاں

Allahu Akbar Ki Azaaṅ

Allahu Akbar ki azaaṅ Ye keh rahi hai dasht meiṅ Ro ro ke ek maaṅ
1 Haye haye tum na aaye Ae meri aankhoṅ ke chain Haye wo gham das moharam Aur Sakina ke wo bain Akbar bhi sun ke ro para Behnoṅ ki siskiyaṅ
2 Kya jawani kaisa pani Tashnagi ki raat thi Haye ae Rab aakhri shab Aansuoṅ ke saath thi Ubhri thi haye is tarha Aashur ki azaaṅ
3 Mustafa ke chaand taare Shaam tak gehna gaye Haye haye phul saare Kis tarha murjha gaye Yuṅ Fatima ke baagh meiṅ Aati rahi khizaṅ
4 Haye haye gham uthaye Is tarha saadat ne Aah o zaari ashk waari Ki ghamoṅ ki raat ne Jaise jawaaṅ laash par Baithi hai bibiyaṅ
5 Aisa manzar is zamin par Phir nazar aaya nahiṅ Naujavaaṅ ka yuṅ janaza Aise uthta hai kahiṅ Roti hai aaj ye zamin Rota hai aasmaṅ
6 Haye Akbar bola ro kar Ye azaan aakhri Sun rahe haiṅ Karbala meiṅ Aaj jis tarha sabhi Sughra bhi kaash sun sake Ae mere baba jaaṅ
7 Haye haye sar kataye Sab jawan so jaaeṅge Dehr chhor ke khaak orhe Dasht meiṅ kho jaaeṅge Qaayam rahegi hashr tak Allah ki azaaṅ
8 Wo muazzim maut ke din Gin raha tha ae Zafar Shaah ka dil kaisi mushkil Meiṅ tha Misum raat bhar Yuṅ qatl ho ke reh gaya Shabbir ka bayaaṅ