Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

علی کی ہے آمد

Ali Ki Hai Aamad

Add to set
Show

علی کی ہے آمد

علی کی ہے آمد کہ تیرہ رجب ہے قسم ہے خدا کی یہ منظر عجب ہے دیکھ کر خدا نے عرش سے نظارہ آسماں صدقہ کیا علی آئے اللہ علی آئے اللہ علی آئے اللہ علی آئے
۱ علی ہے ولی ہے یہ شیرِ جلی ہے یہ کلِ ایماں ہے نبی کا وصی ہے گھر سے چلی علی کی ماں ہے نا عمران پوچھا کہ جانا کہاں ہے یقیں تھا زمیں پر کوئی لا مکاں ہے مریم کو روکا گیا کہا رب نے میرا یہ گھر ہے قرآن نے کیا یہ عیاں ہے حیدر کعبے کی جان ہے
۲ سجدوں کی سر زمیں بن گیا ہے کعبہ جھوم کر مصطفیٰ کہا علی آئے جو آسماں کے رستوں کو زمینوں کے رستوں سے بہتر بتائے جو اسرارِ توحید بن کر ہو آئے کوئی بات ان کو بتائے نہ شان علی کی چھپائے مشکل میں وہ علی کو پکارے ہر مشکل حل ہو جائے
۳ گھر ہے وہ علی کا گھر ہے جو خدا کا اٹھی ہر طرف سے صدا علی آئے

Ali Ki Hai Aamad

Ali ki hai aamad ke terah Rajab hai qasam hai Khuda ki ye manzar ajab hai Dekh kar Khuda ne arsh se nazara aasmaṅ sadqa kiya Ali aaye Allah Ali aaye Allah Ali aaye Allah Ali aaye
1 Ali hai Wali hai ye Sher-e-Jali hai ye Kul-e-Imaṅ hai Nabi ka Wasi hai Ghar se chali Ali ki maaṅ hai na Imran puchha ke jana kahaṅ hai Yaqiṅ tha zamiṅ par koi la makaaṅ hai Mariyam ko roka gaya kaha Rab ne mera ye ghar hai Quran ne kiya ye ayaṅ hai Haider Kabe ki jaan hai
2 Sajdoṅ ki sar zamiṅ ban gaya hai Kaba jhum kar Mustafa kaha Ali aaye Jo aasmaṅ ke rastoṅ ko zaminoṅ ke rastoṅ se behtar batae Jo asrar-e-Tauhid ban kar ho aaye koi baat in ko batae na shaan Ali ki chhupae Mushkil meiṅ wo Ali ko pukare har mushkil hal ho jae
3 Ghar hai wo Ali ka ghar hai jo Khuda ka uthi har taraf se sada Ali aaye