Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

علی کے ساتھ ہے زہرا کی شادی

Ali Ke Sath Hai Zahra Ki Shadi

Add to set
Show

علی کے ساتھ ہے زہرا کی شادی

مرتضیٰ کو خانہ زادِ ربِ اکبر دیکھ کر بیاہ دی بیٹی پیغمبر نے بڑا گھر دیکھ کر
سبھی خوش ہیں خدائی بھی خدا بھی علی کے ساتھ ہے زہرا کی شادی
۱ دولہا ہے خدا کے گھر کا دلہن ہے نبی کے گھر کی وہ ارض و سما کا مالک یہ ملکہ بحر و بر کی زمیں رقصاں ہے رقصاں آسماں بھی
۲ جب حکمِ خدا کا پایا حوروں نے عرش سجایا عصمت نے بنایا سایہ اور نورِ ولا لہرایا ولایت نے حسیں مسند بچھا دی
۳ کئی بہاریں گزر گئی ہیں کھلا نہ ایسا چمن جہاں میں کہاں خدائی میں ایسا دولہا کہاں ہے ایسی دلہن جہاں میں
۴ حیدر ہیں کلِ ایماں اور کلِ عصمت زہرا اس سر پہ وفا کا سہرا اس سر پہ حیا کا سہرا وہ شہزادہ ہے اور یہ شہزادی
۵ تحفے میں ملے میکے سے انہیں کوثر اور جنت تو یہ سارا نمک اور پانی حق مہر ملا زہرا کو سلامی میں ملی مرضی خدا کی
۶ یہ انبیا ہیں یہ اولیا ہیں علی ولی کی بارات دیکھو چھڑکتا ہے خضر ہر باراتی کے رخ پہ آبِ حیات دیکھو یہ بزم دیکھو یہ لوگ دیکھو یہ رنگ دیکھو یہ رات دیکھو
۷ بارات چلی حیدر کی رحمت کے سائے سائے بارات کے آگے آگے ولیوں نے قصیدے گائے نبی سارے چلے بن کر باراتی
۸ تطہیر کے زیرِ سایہ رہیں شاد یہ دولہا دلہن اے باغِ جنا کے مالک آباد رہے یہ گلشن خداوندا مبارک ہو یہ شادی
۹ عطا کر کے حیدر کو زہرا سی زوجہ پکارا فلک پر یہ معبود میرا علی نے بنائی ہے قسمت جہاں کی علی کی میں قسمت بنانے چلا ہوں
۱۰ کھیتی نے بچھایا سبزہ سورج نے اجالے بانٹے خود دستِ خدا نے شب کے آنچل پہ ستارے ٹانکے ہوئی رنگین جو تھی تصویر سادی
۱۱ اب چاہے کوئی تڑپے اب چاہے کوئی بھڑکے اب میری بلا سے چاہے مر جائے کوئی جل جل کے خوشی کی بات تھی میں نے سنا دی
۱۲ رخصت کی گھڑی جب آئی تاروں نے مانگ سجائی حق نے رحمت برسائی نعروں نے دھوم مچائی اٹھی ڈولی چلی بادِ بہاری
۱۳ تھی ایسی مقدس محفل ایسے پاکیزہ جلوے اے میر حسن اور گوہر کہا سب نے یہ خوش ہو کے مبارک ہے مبارک ہے یہ شادی

Ali Ke Sath Hai Zahra Ki Shadi

Murtaza ko khaana zaad-e-Rabb-e-Akbar dekh kar Byah di beti Payambar ne bara ghar dekh kar
Sabhi khush haiṅ Khudaayi bhi Khuda bhi Ali ke saath hai Zahra ki shaadi
1 Dulha hai Khuda ke ghar ka dulhan hai Nabi ke ghar ki Wo arz o sama ka malik ye malka bahr o bar ki Zamiṅ raqsaaṅ hai raqsaaṅ aasmaaṅ bhi
2 Jab hukm Khuda ka paaya huroṅ ne arsh sajaaya Ismat ne banaaya saaya aur Nur-e-Wila lehraaya Wilaayat ne hasiṅ masnad bichha di
3 Kayi bahaareṅ guzar gayi haiṅ khila na aisa chaman jahaaṅ meiṅ Kahaaṅ Khudaayi meiṅ aisa dulha kahaaṅ hai aisi dulhan jahaaṅ meiṅ
4 Haider haiṅ Kul-e-Imaaṅ aur Kul-e-Ismat Zahra Us sar pe wafa ka sehra is sar pe haya ka sehra Wo shahzaada hai aur ye shahzaadi
5 Tohfe meiṅ mile maike se inheṅ Kausar aur Jannat to Ye saara namak aur paani Haq mehr mila Zahra ko Salaami meiṅ mili marzi Khuda ki
6 Ye Anbiya haiṅ ye Auliya haiṅ Ali Wali ki baaraat dekho Chhirakta hai Khizr har baaraati ke rukh pe Aab-e-Hayaat dekho Ye bazm dekho ye log dekho ye rang dekho ye raat dekho
7 Baaraat chali Haider ki rahmat ke saaye saaye Baaraat ke aage aage waliyoṅ ne qaside gaaye Nabi saare chale ban kar baaraati
8 Tathir ke zer-e-saaya raheṅ shaad ye dulha dulhan Ae Baagh-e-Jina ke maalik aabaad rahe ye gulshan Khudaawanda mubaarak ho ye shaadi
9 Ata kar ke Haider ko Zahra si zauja Pukaara falak par ye Mabud mera Ali ne banaayi hai qismat jahaaṅ ki Ali ki maiṅ qismat banaane chala huṅ
10 Kheti ne bichhaaya sabza suraj ne ujaale baaṅte Khud Dast-e-Khuda ne shab ke aaṅchal pe sitaare taaṅke Hui rangin jo thi tasvir saadi
11 Ab chahe koi tarpe ab chahe koi bharke Ab meri bala se chahe mar jae koi jal jal ke Khushi ki baat thi maiṅ ne suna di
12 Rukhsat ki ghari jab aayi taaroṅ ne maaṅg sajaayi Haq ne rahmat barsaayi naaroṅ ne dhum machaayi Uthi doli chali baad-e-bahaari
13 Thi aisi muqaddas mehfil aise paakiza jalwe Ae Mir Hasan aur Gohar kaha sab ne ye khush ho ke Mubaarak hai mubaarak hai ye shaadi