Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

ابو طالب کا حرم بیتِ حرم تک پہنچا

Ali Aatay Hain

Add to set
Show

ابو طالب کا حرم بیتِ حرم تک پہنچا

۱ ابو طالب کا حرم بیتِ حرم تک پہنچا یعنی خالق کا کرم بیتِ حرم تک پہنچا خانۂ رب کا بھرم بیتِ حرم تک پہنچا بنی ہاشم کا حشم بیتِ حرم تک پہنچا آئی آوازِ جلی رب کا ولی آتا ہے کعبہ دیوار کو در کر کے علی آتا ہے
۲ سن اے کعبہ حرمِ حضرتِ عمران ہے یہ دیکھ آئینۂ وحدت کا اک امکان ہے یہ دیکھ کعبہ سببِ ناطقِ قرآن ہے یہ یاد رکھ کعبہ کہ اللہ کی مہمان ہے یہ حاملِ نور ہے نورِ ازلی کی ماں ہے سر کو قدموں میں جھکا دے یہ علی کی ماں ہے
۳ یاد رکھ کعبہ یہ خاتون علی کی ماں ہے دو جہاں اس کے ہیں ممنون علی کی ماں ہے کل خدائی بھی ہے مرہون علی کی ماں ہے کیا رقم ہو کوئی مضمون علی کی ماں ہے اپنے ہاتھوں سے امامت کا گوہر ڈھالے گی یہ وہ ماں ہے جو نصیری کا خدا پالے گی
۴ دیکھ اے کعبہ یہ ہے قبلہ نمائی کا جواز لینے آئی ہے یہاں یہ میری توحید کا راز ماں اسے کہہ کے پکارے گا جو وحدت کا ہے ناز آج سے خانۂ رب تجھ پہ بھی واجب ہے نماز بام و در تیرے سبھی وقفِ تولّا ہوں گے اس کے قدموں کے نشاں تیرا مصلّیٰ ہوں گے
۵ دیکھ کعبہ تری عظمت کے نشاں ہیں یہ قدم وہ جگہ عرشِ معلّیٰ ہے جہاں ہیں یہ قدم کس کو معلوم بلندی میں کہاں ہیں یہ قدم جہاں قوسین کی منزل ہے وہاں ہیں یہ قدم ربِ اکبر نے ہر اک ماں کو عطا کی جنت ان کے نیچے ہے نصیری کے خدا کی جنت
۶ مرتبہ تیرا بڑھانے یہ قدم آئے ہیں رازِ توحید بتانے یہ قدم آئے ہیں بام و در تیرے سجانے یہ قدم آئے ہیں تجھ کو اب قبلہ بنانے یہ قدم آئے ہیں یہ نہیں آتے تو پھر سوچ ذرا کیا ہوتا جس جگہ آتے علی پھر وہی کعبہ ہوتا
۷ کلمۂ ربِ جلی ہے یہ کلموں کی ہے ماں یہ درودوں کی ہے ماں اور سلاموں کی ہے ماں وہ جو اسمائے خدا ہیں انہی ناموں کی ہے ماں بس علی کی نہیں یہ بارہ اماموں کی ہے ماں سارے عالم کی اماں اپنی اماں کہتا ہے سوچ وہ کیا ہے محمد جسے ماں کہتا ہے
۸ نورِ اللہ کا مسکن بنا اس ماں کا وجود مریم و سارہ کریں نقشِ کفِ پا پہ سجود مقصدِ ذاتِ الٰہی کا یہی ہے مقصود اس کے فرزندوں پہ خود پڑھتا ہے اللہ درود بے نیازانہ سرِ کوئے نیاز آتی ہے یوں سمجھ لیجیے کعبے میں نماز آتی ہے
۹ کلِ ایمان کا ایمان ہے اس کی جھولی پردۂ وحدتِ امکان ہے اس کی جھولی آیتِ کبریٰ کا جزدان ہے اس کی جھولی خود میں ڈھانپے ہوئے قرآن ہے اس کی جھولی یہ وہ ممکن جسے امکان کی ضرورت ہی نہیں اس کی ماں ہے کہ جسے ماں کی ضرورت ہی نہیں
۱۰ سن کے آواز یہ کعبے نے نیا در کھولا در جو کھولا تو وہ دیوار کے اندر کھولا وہ جو منظر میں نہ تھا وہ پسِ منظر کھولا ولی اللہ نے اللہ کا یوں گھر کھولا آئی آوازِ خدا گھر کے مکین آتے ہیں وہ جو پردوں میں نہاں تھے وہ یہیں آتے ہیں
۱۱ درِ کعبہ نے کہا بنتِ اسد بسم اللہ لائی ہیں ساتھ خدائی کی سند بسم اللہ لائی ہیں جھوٹے خداؤں کی بھی رد بسم اللہ قابِ قوسین سے اب مل گئی حد بسم اللہ آمدِ نورِ مبیں آج یہاں ہونی ہے آج معراج کو معراج یہاں ہونی ہے
۱۲ بولی دیوارِ حرم آپ پہ ہوں لاکھ سلام آپ کا ہے یہ کرم آپ پہ ہوں لاکھ سلام آپ سے ہے یہ بھرم آپ پہ ہوں لاکھ سلام آپ کے آئے قدم آپ پہ ہوں لاکھ سلام میری دہلیز پہ انوار اتر آئے ہیں اصل وارث ہیں جو اس گھر کے وہ گھر آئے ہیں

Ali Aatay Hain

1 Abu Talib ka haram, Bait-e-Haram tak pahuncha Yani Khaliq ka karam Bait-e-Haram tak pahuncha Khana-e-Rab ka bharam Bait-e-Haram tak pahuncha Bani Hashim ka hasham Bait-e-Haram tak pahuncha Aayi aawaz-e-jali Rab ka wali aata hai Kaba diwar ko dar kar ke Ali aata hai
2 Sun Ae Kaba haram-e-Hazrat-e-Imran hai yeh Dekh aaina-e-wahdat ka ik imkan hai yeh Dekh Kaba sabab-e-natiq-e-Quran hai yeh Yaad rakh Kaba ke Allah ki mehman hai yeh Hamil-e-nur hai Nur-e-Azali ki maaṅ hai Sar ko qadmoṅ meiṅ jhuka de yeh Ali ki maaṅ hai
3 Yaad rakh Kaba yeh khatun Ali ki maaṅ hai Do jahaṅ is ke haiṅ mamnun Ali ki maaṅ hai Kul Khudayi bhi hai Marhon Ali ki maaṅ hai Kya raqam ho koi mazmun Ali ki maaṅ hai Apne hathoṅ se imamat ka gohar dhale gi Yeh woh maaṅ hai jo Nuseri ka Khuda pale gi
4 Dekh Ae Kaba yeh hai qibla numayi ka jawaz Lene aayi hai yahaṅ yeh meri tauhid ka raaz Maaṅ ise keh ke pukare ga jo wahdat ka hai naaz Aaj se Khana-e-Rab tujh pe bhi wajib hai namaz Baam o dar tere sabhi waqf-e-tawalla hoṅ ge Is ke qadmoṅ ke nishaṅ tera musalla hoṅ ge
5 Dekh Kaba teri azmat ke nishaṅ haiṅ yeh qadam Woh jagah Arsh-e-Mualla hai jahaṅ haiṅ yeh qadam Kis ko malum bulandi meiṅ kahaṅ haiṅ yeh qadam Jahaṅ Qausain ki manzil hai wahaṅ haiṅ yeh qadam Rab-e-Akbar ne har ik maaṅ ko ata ki jannat In ke niche hai Nuseri ke Khuda ki jannat
6 Martaba tera barhane yeh qadam aaye haiṅ Raaz-e-tauhid batane yeh qadam aaye haiṅ Baam o dar tere sajane yeh qadam aaye haiṅ Tujh ko ab qibla banane yeh qadam aaye haiṅ Yeh nahiṅ aate to phir soch zara kya hota Jis jagah aate Ali phir wohi Kaba hota
7 Kalma-e-Rab-e-Jali hai yeh kalmoṅ ki hai maaṅ Yeh durodoṅ ki hai maaṅ aur salamoṅ ki hai maaṅ Woh jo asma-e-Khuda haiṅ unhi namoṅ ki hai maaṅ Bas Ali ki nahiṅ yeh barah Imamoṅ ki hai maaṅ Sare aalam ki Amma apni Amma kehta hai Soch woh kya hai Muhammad jise maaṅ kehta hai
8 Nur-e-Allah ka maskan bana is maaṅ ka wujud Maryam o Sarah kareṅ naqsh-e-kaf-e-pa pe sujud Maqsad-e-zaat-e-Ilahi ka yehi hai maqsud Is ke farzandoṅ pe khud parhta hai Allah durud Beniyazana sar-e-ku-e-niyaz aati hai Yuṅ samajh lijiye Kabe meiṅ namaz aati hai
9 Kul-e-iman ka iman hai is ki jholi Parda-e-wahdat-e-imkan hai is ki jholi Aayat-e-Kubra ka juzdan hai is ki jholi Khud meiṅ dhaṅpe hue Quran hai is ki jholi Yeh woh mumkin jise imkan ki zarurat hi nahiṅ Us ki maaṅ hai ke jise maaṅ ki zarurat hi nahiṅ
10 Sun ke aawaz yeh Kabe ne naya dar khola Dar jo khola to woh diwar ke andar khola Woh jo manzar meiṅ na tha woh pas-e-manzar khola Wali Allah ne Allah ka yuṅ ghar khola Aayi aawaz-e-Khuda ghar ke makin aate haiṅ Woh jo pardoṅ meiṅ nihaṅ the woh yahiṅ aate haiṅ
11 Dar-e-Kaba ne kaha Bint-e-Asad Bismillah Layi haiṅ sath Khudayi ki sanad Bismillah Layi haiṅ jhute khudaoṅ ki bhi rad Bismillah Qab-e-Qausain se ab mil gayi had Bismillah Aamad-e-Nur-e-Mubiṅ aaj yahaṅ honi hai Aaj meraj ko meraj yahaṅ honi hai
12 Boli diwar-e-haram aap pe hoṅ lakh salam Aap ka hai yeh karam aap pe hoṅ lakh salam Aap se hai yeh bharam aap pe hoṅ lakh salam Aap ke aaye qadam aap pe hoṅ lakh salam Meri dehliz pe anwar utar aaye haiṅ Asal waris haiṅ jo is ghar ke woh ghar aaye haiṅ