Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

علمدار کہاں ہو

Alamdar Kahaṅ Ho

Add to set
Show

علمدار کہاں ہو

علمدار کہاں ہو زینب کی بکا تھی میرے غم خوار کہاں ہو علمدار کہاں ہو علمدار علمدار علمدار کہاں ہو
۱ عاشور گیا آئی ہے اب گیارہ محرم ناقے پہ رسن بستہ سوئے شام چلے ہم ہے آلِ نبی غم میں گرفتار کہاں ہو
۲ جب گھر سے چلی تم نے عماری میں بٹھایا بازار کرو بند یہ اعلان کرایا میں جاتی ہوں اب شام کے بازار کہاں ہو
۳ معلوم ہے تجھ کو یہ بڑا سخت سفر ہے انیس مقامات سے زینب کا گزر ہے ہر گام وہاں ہوں گے ستمگار کہاں ہو
۴ وہ دیکھو برسنے لگے سادات پہ پتھر جب روتے ہیں سادات تو ہنستے ہیں ستمگر ہے آلِ نبی بے کس و لاچار کہاں ہو
۵ لمحوں کی مسافت ہوئی صدیوں کے برابر دروازۂ سعد پہ کھڑے ہم ہیں کھلے سر آواز تمہیں دیتا ہے بیمار کہاں ہو
۶ خاموش ہیں سب حاکمِ بدکار کے ڈر سے گستاخی لعیں کرتا ہے شبیر کے سر سے اے بازوئے شبیر وفادار کہاں ہو
۷ فریاد تھی زینب کی یہی صفدر و مظہر کس طرح بیاں ہوگا وہ دربار کا منظر آؤ میرے پردے کے نگہدار کہاں ہو

Alamdar Kahaṅ Ho

Alamdar kahaṅ ho Zainab ki bukaa thi mere ghamkhwaar kahaṅ ho Alamdar kahaṅ ho Alamdar Alamdar Alamdar kahaṅ ho
1 Ashur gaya aai hai ab gyarah Muharram Naaqe pe rasan basta su-e-Shaam chale hum Hai Aal-e-Nabi gham meiṅ giraftaar kahaṅ ho
2 Jab ghar se chali tum ne amaari meiṅ bithaaya Baazaar karo band ye elaan karaaya Maiṅ jaati huṅ ab Shaam ke baazaar kahaṅ ho
3 Maalum hai tujh ko ye bara sakht safar hai Unnis maqaamaat se Zainab ka guzar hai Har gaam wahaṅ hoṅge sitamgaar kahaṅ ho
4 Wo dekho barasne lage Saadaat pe patthar Jab rote haiṅ Saadaat to haṅste haiṅ sitamgar Hai Aal-e-Nabi bekas o laachaar kahaṅ ho
5 Lamhoṅ ki musaafat hui sadiyoṅ ke baraabar Darwaaza-e-Saad pe khare hum haiṅ khule sar Aawaaz tumheṅ deta hai bimaar kahaṅ ho
6 Khaamosh haiṅ sab haakim-e-badkaar ke dar se Gustaakhi laiṅ karta hai Shabbir ke sar se Ae baazu-e-Shabbir wafaadaar kahaṅ ho
7 Faryaad thi Zainab ki yehi Safdar o Mazhar Kis tarah bayaaṅ hoga wo darbaar ka manzar Aao mere parde ke nigehdaar kahaṅ ho