کہتی ہے سحر غم کی اکبر تو کہاں ہے
Akbar Tu Kahan Hai
Show
کہتی ہے سحر غم کی اکبر تو کہاں ہے
کہتی ہے سحر غم کی اکبر تو کہاں ہے
سجدے بھی ہیں افسردہ بیتاب اذاں ہے
۱
شادی کا تیری وقت ہے یا وقتِ شہادت
سہرا ہے دعاؤں کا اور ماں کی زباں ہے
۲
لڑیاں تیرے سہرے کی چومیں تیرے سینے کو
افسوس مگر تیرے سینے میں سناں ہے
۳
اور اس کے سوا کیا ہے اسلام کے دامن میں
اک سجدہ ہے ایک ضربت اور ایک اذاں ہے
۴
ہے پیاس کے عالم میں اکبر کو اجل آئی
اور سامنے آنکھوں کے دریا بھی رواں ہے
۵
ریحان یہ کہتی تھی مادر علی اکبر کی
کیا ڈر ہے لعینوں کا میرا لال جواں ہے
Akbar Tu Kahan Hai
Kehti hai sahar gham ki Akbar tu kahaṅ hai
Sajde bhi haiṅ afsurda betab azaṅ hai
1
Shaadi ka teri waqt hai ya waqt-e-shahadat
Sehra hai duaoṅ ka aur maaṅ ki zabaṅ hai
2
Lariyaṅ tere sehre ki chumeṅ tere sine ko
Afsos magar tere sine meiṅ sinaṅ hai
3
Aur is ke siwa kya hai Islam ke daman meiṅ
Ek sajda hai ek zarbat aur ek azaṅ hai
4
Hai pyas ke alam meiṅ Akbar ko ajal aai
Aur samne aankhoṅ ke darya bhi rawaṅ hai
5
Rehaan ye kehti thi madar Ali Akbar ki
Kya dar hai lainoṅ ka mera laal jawaaṅ hai