ابو طالب کا بیٹا
abu talib ka beta

- Language
- Urdu
Roman Urdu
1
Ali murdon ko jilaye, Ali sooraj palataye
Karishme dekh ke jis ke, zamana dhoka khaye
Naseeri samajh na paye, Khuda hai ya hai banda
Abu Talib ka beta
2
Nabi ne sab ko rukaya, Ghadeer-e Khum mein bataya
Ke jis ka main hoon Maula, Ali hai us ka Maula
Ghadeer-e Khum ka dulha, Abu Talib ka beta
3
Nasab kuch aisa paya, Nabi ne beti de di
Shab-e hijrat jo soya, Khuda ne marzi de di
Sharaf ka arsh-e mualla, Abu Talib ka beta
4
Jo un se bughz rakhega, bari mushkil se marega
Yahan bhi haath malega, wahan bhi haath malega
Hai bakhshish ka darwaza, Abu Talib ka beta
5
Use kehte ho kafir, Payambar ka jo chacha hai
Ay farzi baap ke beton, woh sab kuch dekh raha hai
Hai ab bhi ghaib mein baitha, Abu Talib ka beta
6
Mera iman Ali hai, meri pehchan Ali hai
Zamane walon sun lo, mera Sultan Ali hai
Shehenshahi ka idara, Abu Talib ka beta
7
Hui jab in ki wiladat, buton ki aayi shamat
Muqaddar deen ka jaga, mili Kaabe ko taharat
Waqar-e khana-e Kaaba, Abu Talib ka beta
8
Yahi hai Fateh-e Khyber, yahi hai Saqi-e Kausar
Yeh sooraj chaand sitare, is ke qadmon ki thokar
Fazeelat ka minara, Abu Talib ka beta
9
Mila jab maal-e ghaneemat, ikattha ho gayi ummat
Magar jab deen-e Nabi ko, pari hai khoon ki zaroorat
Nikal kar samne aaya, Abu Talib ka beta
10
Woh nikla khaima-e haq se, Bani Hashim ka jiyala
Batati hai yeh jalalat, bitha do kitna hi pehra
Utha le jayega darya, Abu Talib ka beta
11
Jab ek halka sa tabassum, bana shamsheer-e jalalat
To phir Fayyaz na jane, woh hoti kaisi qayamat
Agar khul kar hans deta, Abu Talib ka beta