عابد کی نگاہوں میں ہر کرب کا منظر ہے
Abid Ki Nigahoṅ Meiṅ
Show
عابد کی نگاہوں میں ہر کرب کا منظر ہے
عابد کی نگاہوں میں ہر کرب کا منظر ہے
۱
یلغار ہے گھوڑوں کی اور قاسم بے پر ہے
ٹوٹی ہوئی برچھی ہے اور سینۂ اکبر ہے
حلقوم علی اصغر اور تیر ستمگر ہے
نیزے کی بلندی ہے اور پھول سا اک سر ہے
۲
ہے عالم تنہائی اور ظلم کا لشکر ہے
نرغہ ہے لعینوں کا اور جان پیمبر ہے
تیغوں سے بدن زخمی اور تیروں کا بستر ہے
شبیر کی گردن ہے اور شمر کا خنجر ہے
۳
اٹھتی ہوئی تلواریں چلتے ہوئے نیزے ہیں
سب زخمی بدن گویا مشکوں کے دہانے ہیں
ہر سمت سے حملے ہیں عباس اکیلے ہیں
پیاسے کا سر زخمی اور گرز ستمگر ہے
۴
کربل کے بیاباں میں آثار ہیں محشر کے
بکھرے ہوئے میداں میں لاشے ہیں بہتر کے
زینب کی نگاہوں میں سب زخم ہیں سرور کے
جلتی ہُوئی ریتی ہے اور لاشہء بے سر ہے
۵
خاموش بیاباں ہے اور شام غریباں ہے
ہر آنکھ میں اشکوں کا ٹھہرا ہوا طوفاں ہے
بیوؤں کا یتیموں کا اب کون نگہباں ہے
جلتے ہوئے خیمے ہیں چھنتی ہوئی چادر ہے
۶
بازار میں سر ننگے احمد کا گھرانہ ہے
جکڑا ہوا رسی میں ہر بیبی کا شانہ ہے
اس حال میں زینب کو دربار بھی جانا ہے
ہر سمت تماشائی زینب کا کھلا سر ہے
۷
ہے پشت سکینہ پر دروں کے نشاں سارے
کانوں سے لہو جاری رخسار بھی ہیں سوجھے
زخموں میں جلن جیسے بھر دے کوئی انگارے
ہر لمحہ طمانچے ہیں ہر گام پہ محشر ہے
۸
دربار میں قیدی ہے اولاد پیمبر کی
سر طشت میں سرور کا کیسی یہ عداوت تھی
ہونٹوں پہ شہ دیں کے ظالم نے چھڑی رکھی
زینب کی نظر ہر دم بھائی کے لبوں پر ہے
۹
وہ سجدۂ شکرانہ ہنگام قیامت میں
چلتا رہا کانٹوں پر جو دھوپ کی شدت میں
روتے ہیں سدا احسن ہم جس کی مصیبت میں
اس کے لئے نذرانہ اشکوں کا سمندر ہے
Abid Ki Nigahoṅ Meiṅ
Abid ki nigahoṅ meiṅ har karb ka manzar hai
1
Yalghaar hai ghoroṅ ki aur Qasim-e-bepar hai
Tuti hui barchhi hai aur sina-e-Akbar hai
Hulqum-e-Ali Asghar aur tir-e-sitamgar hai
Naize ki bulandi hai aur phul sa ek sar hai
2
Hai aalam-e-tanhai aur zulm ka lashkar hai
Nargha hai lainoṅ ka aur jaan-e-Payambar hai
Teghoṅ se badan zakhmi aur tiroṅ ka bistar hai
Shabbir ki gardan hai aur Shimr ka khanjar hai
3
Uthti hui talwareṅ chalte hue neze haiṅ
Sab zakhmi badan goya mashkoṅ ke dahaane haiṅ
Har simt se hamle haiṅ Abbas akele haiṅ
Pyase ka sar zakhmi aur gurz-e-sitamgar hai
4
Karbal ke biyabaṅ meiṅ aasaar haiṅ mahshar ke
Bikhre hue maidaṅ meiṅ laashe haiṅ bahattar ke
Zainab ki nigahoṅ meiṅ sab zakhm haiṅ Sarwar ke
Jalti hui reti hai aur laasha-e-besar hai
5
Khamosh biyabaṅ hai aur shaam-e-gharibaṅ hai
Har aankh meiṅ ashkoṅ ka thehra hua tufaṅ hai
Bewaoṅ ka yatimoṅ ka ab kaun nigehbaṅ hai
Jalte hue khaime haiṅ chhinti hui chadar hai
6
Bazaar meiṅ sar nange Ahmad ka gharana hai
Jakra hua rassi meiṅ har Bibi ka shaana hai
Is haal meiṅ Zainab ko darbar bhi jaana hai
Har simt tamashai Zainab ka khula sar hai
7
Hai pusht-e-Sakina par durroṅ ke nishaṅ saare
Kaanoṅ se lahu jaari rukhsar bhi haiṅ sujhe
Zakhmoṅ meiṅ jalan jaise bhar de koi angaare
Har lamha tamaanche haiṅ har gaam pe mahshar hai
8
Darbar meiṅ qaidi hai aulad-e-Payambar ki
Sar tasht meiṅ Sarwar ka kaisi ye adawat thi
Hontoṅ pe Shah-e-diṅ ke zaalim ne chhari rakhi
Zainab ki nazar har dam bhai ke laboṅ par hai
9
Wo sajda-e-shukrana hangaam-e-qayamat meiṅ
Chalta raha kaantoṅ par jo dhup ki shiddat meiṅ
Rote haiṅ sada Ahsan hum jis ki musibat meiṅ
Us ke liye nazrana ashkoṅ ka samandar hai