Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

جنازہ جس کا چھپاے تھے شب کی تاریکی

Abhi Tak Shaam Ke

Add to set
Show

جنازہ جس کا چھپاے تھے شب کی تاریکی

جنازہ جس کا چھپاے تھے شب کی تاریکی دمشق میں یہ اسی فاطمہ کی ہے بیٹی نہ کل تو شام میں پردہ بچا سکا تھا کوی دکھی حسین کی ماں کہہ رہی ہے یا مہدی دعا کو ہاتھ اٹھائے ہیں مادر زینب بچاے روضے کو روضہ ہے چادر زینب سروں کو ڈھانپ کر آؤ تمہیں زینب بلاتی ہے ابھی تک شام کے بازار سے آواز آتی ہے
۱ بتاتے ہیں یہ رستے جو ابھی تک خوں میں ڈوبے ہیں یہاں سے سید سجاد زنجیروں میں گزرے ہیں طمانچوں سے سکینہ کو کبھی زینب بچاتی ہے
۲ کہیں دروں کی بارش ہے کہیں ہے مارتے پتھر زمیں کیوں پھٹ نہیں جاتی تماشے کو کھلے ہیں گھر کبھی بالوں سے زینب اپنے چہرے کو چھپاتی ہے
۳ نہ خود ہے زینب ناچار بھی اس ایک رسی میں بندھے ہیں عابد بیمار بھی اس ایک رسی میں سکینہ کس طرح پنجوں کے بل پر چل کے جاتی ہے
۴ بہت روتے ہیں عابد دیکھ کر یہ حالت زینب کہ ایسا امتحاں نبیوں سے بھی لیتا نہیں یا رب امامت سر جھکا کر خون کے آنسوں بہاتی ہے
۵ خدایا ہے یہی مشکل کشاے وقت کی پوتی یہ سارا شام کہتا ہے سکینہ چپ نہیں ہوتی لہو کانوں سے بہتا ہے طمانچے منہ پہ کھاتی ہے
۶ خدا اور مصطفیٰ کے دین کا پابند ہے کوی نہ مجمے میں ہزاروں کے بھی غیرت مند ہے کوی مسلمانوں کی غیرت پر بہت آنسوں بہاتی ہے
۷ شرابی بد نصب دربار میں کتنے لعیں دیکھے کھڑی زینب تھی جس نے سات سو کرسی نشیں دیکھے مدد کو ساتویں در پر علی کو یہ بلاتی ہے
۸ ہے جاری شام و کوفہ میں جفا کا سلسلہ اب تک کہ بھای بیکفن اور بہن ہے بے ردا اب تک نکل کر قید خانے سے سکینہ یاد آتی ہے
۹ یہی زہرا کی خواہش ہے زیارت شام کی کرنا وہاں روضے پہ جا کر بھای کا پرسہ اسے دینا عزا کا فرش روضے پر یہی بی‌بی بچھاتی ہے
۱۰ سفر ہوتا نہیں ہے ختم اب بھی کرب زینب کا ہماری ماییں بہنیں کیوں قمر ہے آج بے پردہ مشیعت یہ امام عصر کی گردن جھکاتی ہے

Abhi Tak Shaam Ke

Janaza jis ka chhupaae the shab ki tariki Damishq meiṅ ye usi Fatima ki hai beti Na kal to Shaam meiṅ parda bacha saka tha koi Dukhi Husain ki maaṅ keh rahi hai Ya Mahdi Dua ko haath uthaye haiṅ Madar-e-Zainab Bachaae rauze ko rauza hai chadar-e-Zainab Saroṅ ko dhaanp kar aao tumheiṅ Zainab bulati hai Abhi tak Shaam ke bazaar se awaaz aati hai
1 Batate haiṅ ye raste jo abhi tak khuṅ meiṅ dube haiṅ Yahaṅ se Sayyad Sajjad zanjiroṅ meiṅ guzre haiṅ Tamaanchoṅ se Sakina ko kabhi Zainab bachati hai
2 Kahiṅ durroṅ ki baarish hai kahiṅ hai maarte pathar Zamiṅ kiuṅ phat nahiṅ jaati tamashe ko khule haiṅ ghar Kabhi baaloṅ se Zainab apne chehre ko chhupati hai
3 Na khud hai Zainab-e-nachaar bhi us ek rassi meiṅ Bandhe haiṅ Abid-e-bimaar bhi is ek rassi meiṅ Sakina kis tarha panjoṅ ke bal par chal ke jaati hai
4 Bahut rote haiṅ Abid dekh kar ye haalat-e-Zainab Ke aisa imtehaṅ nabiyoṅ se bhi leta nahiṅ Ya Rab Imamat sar jhuka kar khun ke aansuṅ bahati hai
5 Khudaya hai yehi mushkil kusha-e-waqt ki poti Ye saara Shaam kehta hai Sakina chup nahiṅ hoti Lahu kaanoṅ se behta hai tamaanche muṅh pe khaati hai
6 Khuda aur Mustafa ke din ka paband hai koi Na majme meiṅ hazaroṅ ke bhi ghairatmand hai koi Musalmanoṅ ki ghairat par bahut aansuṅ bahati hai
7 Sharabi bad nasab darbaar meiṅ kitne laiṅ dekhe Khari Zainab thi jis ne saat sau kursi nashiṅ dekhe Madad ko saatveṅ dar par Ali ko ye bulaati hai
8 Hai jaari Shaam o Kufa meiṅ jafa ka silsila ab tak Ke bhai bekafan aur behan hai berida ab tak Nikal kar qaid khane se Sakina yaad aati hai
9 Yehi Zehra ki khwahish hai ziyarat Shaam ki karna Wahaṅ rauze pe jaa kar bhai ka pursa use dena Aza ka farsh rauze par yehi Bibi bichati hai
10 Safar hota nahiṅ hai khatm ab bhi karb-e-Zainab ka Hamari maaeṅ behneṅ kiuṅ Qamar hai aaj beparda Musiat ye Imam-e-Asr ki gardan jhukaati hai