کھا گیا شہزادیوں کو غم اسی احساس کا
Abbas Ki Behnein
Show
کھا گیا شہزادیوں کو غم اسی احساس کا
کھا گیا شہزادیوں کو غم اسی احساس کا
ہائے تھا رہوار کی گردن میں سر عباس کا
کہاں ناپاک نظریں اور کہاں عباس کی بہنیں
پریشاں ہیں علی کی بیٹیاں عباس کی بہنیں
۱
اسی خاطر تھا سر رہوار کی گردن میں غازی کا
کہ دیکھے نہ سر نوکِ سِناں عباس کی بہنیں
۲
اسیری بے ردائی شام کے بازار کا عالم
نہ جانے دے گی کتنے امتحان عباس کی بہنیں
۳
کھڑی ہے باب ساعت پر نہ جانے کتنے پہروں سے
مسلمانوں تمہارے درمیاں عباس کی بہنیں
۴
تلاوت کر رہی ہیں خون میں ڈوبی ہوئی آنکھیں
سنیں گی کیسے ننگے سر اذاں عباس کی بہنیں
۵
کھجوریں پھینکتے ہیں لوگ صدقے کی اسیروں پہ
کرے کس سے مصیبت یہ بیاں عباس کی بہنیں
۶
کھڑی ہے سر چھپائے پتھروں کی تیز بارش میں
شہیدوں کے سروں کے درمیاں عباس کی بہنیں
۷
کھلے سر جس نجس ماحول سے ہو آئی لوگوں
رہیں گی اب سدا گریہ کناں عباس کی بہنیں
۸
چلی ہے معرکہ سر شام کا کرنے غریبی میں
بندھائے بازوؤں میں رسیاں عباس کی بہنیں
۹
دکھا کر نیل بولی بیٹیاں زہرا کے مرقد پر
اجڑ کے آئی ہے گھر دیکھ ماں عباس کی بہنیں
۱۰
چھپائیں گی بھلا اب مادر عباس سے کیسے
یہ دروں کی اذیت کے نشاں عباس کی بہنیں
۱۱
بیاں رضوان و مظہر ہو نہیں سکتی قیامت تک
غموں کی ہے مجسم داستاں عباس کی بہنیں
Abbas Ki Behnein
Kha gaya Shahzadiyoṅ ko gham isi ehsas ka
Haaye tha rahwar ki gardan meiṅ sar Abbas ka
Kahaaṅ napak nazreṅ aur kahaaṅ Abbas ki behneṅ
Pareshaaṅ haiṅ Ali ki betiyaṅ Abbas ki behneṅ
1
Isi khatir tha sar rahwar ki gardan meiṅ Ghazi ka
Ke dekhe na sar nok-e-sinaṅ Abbas ki behneṅ
2
Asiri beridai Shaam ke bazar ka aalam
Na jaane degi kitne imtihan Abbas ki behneṅ
3
Khari hai Bab-e-Saat par na jaane kitne pehroṅ se
Musalmano tumhare darmiyaṅ Abbas ki behneṅ
4
Tilawat kar rahi haiṅ khun meiṅ dubi hui aankheṅ
Suneṅgi kaise nange sar azaṅ Abbas ki behneṅ
5
Khajureṅ pheṅkte haiṅ log sadqe ki asiroṅ pe
Kare kis se musibat ye bayaṅ Abbas ki behneṅ
6
Khari hai sar chhupaye pattharoṅ ki tez barish meiṅ
Shahidoṅ ke saroṅ ke darmiyaṅ Abbas ki behneṅ
7
Khule sar jis najis mahaul se ho aayi logoṅ
Raheṅgi ab sada girya kunaṅ Abbas ki behneṅ
8
Chali hai maarka sar Shaam ka karne gharibi meiṅ
Bandhaye bazuoṅ meiṅ rassiyaṅ Abbas ki behneṅ
9
Dikha kar nil boli betiyaṅ Zehra ke marqad par
Ujar ke aayi hai ghar dekh Maaṅ Abbas ki behneṅ
10
Chhupaeṅgi bhala ab Madar-e-Abbas se kaise
Ye durroṅ ki aziyat ke nishaṅ Abbas ki behneṅ
11
Bayaṅ Rizwan o Mazhar ho nahiṅ sakti qayamat tak
Ghamoṅ ki hai mujassam dastaṅ Abbas ki behneṅ