اے میرے برادر میرے عباس
Abbas Ke Laashe Par
Show
اے میرے برادر میرے عباس
اے میرے برادر میرے عباس
عباس کے لاشے پر یہ بین تھے سرور کے
لگ جاؤ بھیا تم اپنے برادر کے
۱
کیا تم کو گوارا ہے زینب کی چھنی چادر
زنجیر ہے پیروں میں بیمار کے مضطر کے
۲
پامال ہوئے قاسم اکبر نے سناں کھائی
تم نے بھی ہمیں چھوڑا آثار ہے محشر کے
۳
شبیر نے بچی کو پہنائے تھے جو بندے
چھینے گئے مقتل میں وہ دست ستمگر کے
۴
زینب نے کہا بھیا کس پر ہمیں چھوڑا ہے
ہے کون بچائے جو اب ظالموں کے شر سے
۵
جس گھر میں فرشتے بھی آتے ہیں سلامی کو
ماتم کی صدائیں اب آتی ہیں اسی گھر سے
۶
اے ظالموں زینب کو درے تو نہیں مارو
کیا بھائی کا بدلہ بھی یوں لیتے ہیں خواہر سے
۷
تھا خشک گلا اتنا فرزند پیمبر کا
رونے کی صدا پیہم آتی رہی خنجر سے
۸
جو مجلس سرور میں کرتا ہے بپا ماتم
لیتا ہے دعائیں وہ شبیر کی دختر سے
Abbas Ke Laashe Par
Ae mere baradar mere Abbas
Abbas ke laashe par ye bain the Sarwar ke
Lag jao bhaiya tum apne baradar ke
1
Kya tum ko gawara hai Zainab ki chhini chadar
Zanjir hai pairoṅ meiṅ bimar ke muztar ke
2
Pamal hue Qasim Akbar ne sinaṅ khai
Tum ne bhi hameṅ chhora aasaar hai mahshar ke
3
Shabbir ne bachchi ko pehnaye the jo bunde
Chhine gaye maqtal meiṅ wo dast-e-sitamgar ke
4
Zainab ne kaha bhaiya kis par hameṅ chhora hai
Hai kaun bachaye jo ab zalimoṅ ke shar se
5
Jis ghar meiṅ farishte bhi aate haiṅ salami ko
Matam ki sadaeṅ ab aati haiṅ usi ghar se
6
Ae zalimoṅ Zainab ko durre to nahiṅ maaro
Kya bhai ka badla bhi yuṅ lete haiṅ khwahar se
7
Tha khushk gala itna farzand-e-Payambar ka
Rone ki sada paiham aati rahi khanjar se
8
Jo majlis-e-Sarwar meiṅ karta hai bapa matam
Leta hai duaeṅ wo Shabbir ki dukhtar se