Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

عباس دیکھتے ہیں

Abbas Dekhte Haiṅ

Add to set
Show

عباس دیکھتے ہیں

غازی جری غضنفر شیرِ خدا کے دلبر عینِ خدا کے مظہر عباس دیکھتے ہیں غیظ و غضب میں آ کر عباس دیکھتے ہیں رن میں بپا ہے محشر عباس دیکھتے ہیں
۱ یہ کہہ کے بھاگتے تھے دریا سے گھاٹ والے لڑنا تو دور یہاں پر ہیں زندگی کے لالے ہے سانس لینا دوبھر عباس دیکھتے ہیں
۲ زینب کے لاڈلے جب میدان میں لڑنے آئے یہ بول کر جری نے ہیں حوصلے بڑھائے حملہ کرو برابر عباس دیکھتے ہیں
۳ دشمن کا جب رسالہ خیمے ہٹانے آیا خط کھینچ کر جری نے غیظ و غضب میں بولا اب آئے کوئی بڑھ کر عباس دیکھتے ہیں
۴ کرب و بلا کے بن کو یاد آ گیا ہے خیبر حیدر کے لاڈلے میں حیدر کے ہی ہیں تیور سب کانپتے ہیں تھر تھر عباس دیکھتے ہیں
۵ ہے خوف سے کلیجہ دشمن کا پانی پانی حیرت سے رک گئی ہے موجوں کی بھی روانی سکتے میں ہے سمندر عباس دیکھتے ہیں
۶ دشمن پکار اٹھے سالار ہو تو ایسا لشکر بنا دیا ہے غازی نے اپنے جیسا لگتا ہے یوں بہتر عباس دیکھتے ہیں
۷ کب کس کو ہے بلانا چلتی ہے ان کی مرضی کرنی ہو گر زیارت بھیجو انہی کو عرضی کرب و بلا کا دفتر عباس دیکھتے ہیں
۸ اتنی پسند آئی سقائیِ سکینہ حق نے انہیں نوازا محشر میں ایسا رتبہ سب انتظامِ کوثر عباس دیکھتے ہیں

Abbas Dekhte Haiṅ

Ghazi Jari Ghazanfar Sher-e-Khuda ke dilbar Ain-e-Khuda ke mazhar Abbas dekhte haiṅ Ghaiz o ghazab meiṅ aa kar Abbas dekhte haiṅ Ran meiṅ bapa hai mahshar Abbas dekhte haiṅ
1 Ye keh ke bhagte the darya se ghaat wale Larna to dur yahaṅ par haiṅ zindagi ke lale Hai saans lena dubhar Abbas dekhte haiṅ
2 Zainab ke ladle jab maidan meiṅ larne aaye Ye bol kar Jari ne haiṅ hausle barhaye Hamla karo barabar Abbas dekhte haiṅ
3 Dushman ka jab risala khaime hatane aaya Khat khench kar Jari ne ghaiz o ghazab meiṅ bola Ab aaye koi barh kar Abbas dekhte haiṅ
4 Karb o Bala ke ban ko yaad aa gaya hai Khaibar Haider ke ladle meiṅ Haider ke hi haiṅ tewar Sab kaanpte haiṅ thar thar Abbas dekhte haiṅ
5 Hai khauf se kaleja dushman ka pani pani Hairat se ruk gayi hai maujoṅ ki bhi ravani Sakte meiṅ hai samandar Abbas dekhte haiṅ
6 Dushman pukar uthe salar ho to aisa Lashkar bana diya hai Ghazi ne apne jaisa Lagta hai yuṅ bahattar Abbas dekhte haiṅ
7 Kab kis ko hai bulana chalti hai in ki marzi Karni ho gar ziyarat bhejo inhi ko arzi Karb o Bala ka daftar Abbas dekhte haiṅ
8 Itni pasand aayi saqqai-e-Sakina Haq ne inheṅ nawaza mahshar meiṅ aisa rutba Sab intizam-e-Kausar Abbas dekhte haiṅ