آقائے دو جہاں ہے مشکل کشا بھی ہے
Aaqa-e-Do Jahaaṅ Bhi
Show
آقائے دو جہاں ہے مشکل کشا بھی ہے
آقائے دو جہاں ہے مشکل کشا بھی ہے
حیدر بہ قولِ قوم نصیری خدا بھی ہے
۱
کعبے میں بت شکن ہیں تو مسجد میں ہیں امام
جبریل کہہ رہے ہیں علی لافتی بھی ہے
۲
عباس اب نہ پلٹے گا دریا لیے بغیر
بڑھتا ہوا قدم کبھی پیچھے ہٹا بھی ہے
۳
سقائے اہل بیت ہے عباس نام ہے
تلوار کھینچ لے تو یہ شیر خدا بھی ہے
۴
خیبر میں کیسے وار سے شہ پر نہیں کٹے
حیدر کی ذوالفقار سے کوئی بچا بھی ہے
۵
طوفان اٹھ رہا ہے تو اٹھے ہزار بار
کشتی کے ساتھ ساتھ میرا ناخدا بھی ہے
۶
اکبر نہ کیوں ہو اپنے مقابل پہ فتح یاب
زور علی ہے ہاتھ میں ماں کی دعا بھی ہے
۷
خندق میں کون جائے گا دشمن کے سامنے
اسلام میں علی کے سوا دوسرا بھی ہے
۸
دیکھو ادب سے روضۂ شبیر کی طرف
ماہر خیال عظمت کربوبلا بھی ہے
Aaqa-e-Do Jahaaṅ Bhi
Aaqa-e-do jahaaṅ hai Mushkilkusha bhi hai
Haider ba-qaul-e-qaum-e-Nusairi Khuda bhi hai
1
Kaabe meiṅ but shikan haiṅ to masjid meiṅ haiṅ Imam
Jibrail keh rahe haiṅ Ali La Fata bhi hai
2
Abbas ab na palte ga darya liye baghair
Barhta hua qadam kabhi pichhe hata bhi hai
3
Saqqa-e-Ahl-e-Bait hai Abbas naam hai
Talwaar khench le to ye Sher-e-Khuda bhi hai
4
Khaibar meiṅ kaise waar se shah par nahiṅ kate
Haider ki Zulfiqar se koi bacha bhi hai
5
Tufan uth raha hai to uthe hazaar baar
Kashti ke saath saath mera nakhuda bhi hai
6
Akbar na kiuṅ ho apne muqabil pe fath yaab
Zor-e-Ali hai haath meiṅ maaṅ ki dua bhi hai
7
Khandaq meiṅ kaun jayega dushman ke saamne
Islam meiṅ Ali ke siwa dusra bhi hai
8
Dekho adab se rauza-e-Shabbir ki taraf
Mahir khayal-e-azmat-e-Karbobala bhi hai