جو بھی گرتا ہے اِس غم میں آنسو
aao ro lein shahe karbala ko

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Aao ro len Shah-e Karbala ko
Zindagi ka bharosa nahin hai
Jo bhi girta hai is gham mein aansu
Koi bekaar jata nahin hai
Jab jale honge khaime haram ke
Jab chhini hongi sar se ridayen
Kya bani hogi Sayyidaniyon par
Woh samaan dil se jata nahin hai
Bahr-e tazeem utho ay Akbar
Parda dari karo mere dilbar
Aa rahi hai sawari phuphi ki
Jis ka koi sahara nahin hai
Karbala mein jo jayegi Zainab
Kya batayegi bhai ko Zainab
Chhut ke zindan se jo aa rahi hain
Un mein pyari Sakina nahin hai
Jab Madine mein jayegi Zainab
Kya batayegi Sughra ko Zainab
Woh nishan-e rasan bazuon par
Neel ab tak bhi chhuta nahin hai