بنت علی کے لئے حشر کا ہے سامنا
Aao Alamdar
Show
بنت علی کے لئے حشر کا ہے سامنا
بنت علی کے لئے حشر کا ہے سامنا
نرغہء اعدا میں ہے آل نبی بے ردا
آگیا بازار آؤ علمدار
ناقوں پہ محمل نہیں سر پہ بھی چادر نہیں
کون دلائے ردا کوئی برادر نہیں
شانے کٹائے ہوئے شیر جری سو گیا
۱
ہائے کہاں آ گئی فاطمہ کی بیٹیاں
آئینہ بندی کہاں اور کہاں سیدانیاں
ختم بھلا ہو گا کب ظلم کا یہ سلسلہ
۲
شور قیامت کا ہے شام کے بازار میں
کافروں کی کرسیاں سجتی ہے دربار میں
سر کو اٹھاتے نہیں حضرت زین العباء
۳
فکر ہے بیمار کو کیسے بتاؤں گا میں
دل پہ گزرتی ہے جو کیسے سناؤں گا میں
چاہنے والا کوئی ایسے میں گر مل گیا
۴
آل پیمبر ہے وہ قید جو رسی میں ہے
وارث کوثر ہے وہ قید جو رسی میں ہے
اور سکینہ ہے وہ کستا ہے جس کا گلا
۵
بیبیاں جو قید ہے وارث تطہیر ہے
دختر خیرالوریٰ خواہر شبیر ہے
بین سنے تو کوئی روتی ہے خود فاطمہ
۶
آنکھوں میں لیلیٰ کی ہے خوں بھری اکبر کی لاش
دشت میں چھوڑ آئی ہے بانو بھی اصغر کی لاش
لاڈلوں کی صورتیں ڈھونڈتی ہے مامتا
۷
نیزوں پہ اکبر بھی ہے اصغر بے شیر بھی
عون و محمد بھی ہے قاسم دلگیر بھی
وہ سر عباس ہے نیزے سے جو گر پڑا
۸
ضبط کہاں تک کرے بنت علی کا جگر
کب سے یہ سیدانیاں ہے در ساعات پر
اٹھ کے نجف سے ذرا دیکھ لو مشکل کشا
۹
نیر و عامر یہ دل غم وہ بھلاتا نہیں
صاحبِ غیرت وہاں سر کو اٹھاتا نہیں
آج بھی ہم شام میں پہنچے تو نوحہ پڑھا
Aao Alamdar
Bint-e-Ali ke liye hashr ka hai saamna
Nargha-e-aada meiṅ hai Aal-e-Nabi berida
Aa gaya bazaar aao Alamdar
Naaqoṅ pe mehmil nahiṅ sar pe bhi chadar nahiṅ
Kaun dilaaye rida koi baradar nahiṅ
Shaane kataaye huwe Sher-e-Jari so gaya
1
Haaye kahaaṅ aa gayi Fatima ki betiyaaṅ
Aayi na bandi kahaaṅ aur kahaaṅ sayyidaniyaaṅ
Khatm bhala hoga kab zulm ka ye silsila
2
Shor qayamat ka hai shaam ke bazaar meiṅ
Kaafiroṅ ki kursiyaaṅ sajti hai darbaar meiṅ
Sar ko uthaate nahiṅ Hazrat-e-Zain-ul-Abaa
3
Fikr hai bimar ko kaise bataauṅ ga maiṅ
Dil pe guzarti hai jo kaise sunaauṅ ga maiṅ
Chaahne waala koi aise meiṅ gar mil gaya
4
Aal-e-Payambar hai wo qaid jo rassi meiṅ hai
Waris-e-Kausar hai wo qaid jo rassi meiṅ hai
Aur Sakina hai wo kasta hai jis ka gala
5
Bibiyaaṅ jo qaid hai waaris-e-Tathir hai
Dukhtar-e-Khair-ul-Wara khwahar-e-Shabbir hai
Bain sune to koi roti hai khud Fatima
6
Aankhoṅ meiṅ Laila ki hai khuṅ bhari Akbar ki laash
Dasht meiṅ chhor aayi hai Bano bhi Asghar ki laash
Laadloṅ ki surateṅ dhundhti hai maamta
7
Nezoṅ pe Akbar bhi hai Asghar-e-beshir bhi
Aun o Muhammad bhi hai Qasim-e-dilgir bhi
Wo sar-e-Abbas hai naize se jo gir para
8
Zabt kahaaṅ tak kare Bint-e-Ali ka jigar
Kab se ye sayyidaniyaaṅ hai dar-e-Saaat par
Uth ke Najaf se zara dekh lo Mushkilkusha
9
Nayyar o Aamir ye dil gham wo bhulaata nahiṅ
Saahib-e-ghairat wahaaṅ sar ko uthaata nahiṅ
Aaj bhi hum shaam meiṅ pahunche to nauha parha