Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

آنکھیں ترس گئیں ہیں اکبر کے دیکھنے کو

Aankheṅ Taras Gayiṅ

Add to set
Show

آنکھیں ترس گئیں ہیں اکبر کے دیکھنے کو

علی اکبرؑ علی اکبرؑ صغراؑ نے خط میں لکھا دل مضطرب ہے میرا رہ رہ کے چھا رہا ہے آنکھوں تلے اندھیرا آنکھیں ترس گئیں ہیں اکبرؑ کے دیکھنے کو علی اکبرؑ علی اکبرؑ، علی اکبرؑ علی اکبرؑ
۱ لیلیٰ کے لب پہ ہردم، رہتا تھا ایک نالہ ہوتا تو اس کے دم سے، گھر میں تھا ایک اُجالہ آنکھیں ترس گئیں ہیں اکبرؑ کے دیکھنے کو
۲ اٹ جائیں گے وہ گیسو، سب خاک میں لہو میں یہ دن بھی دیکھنا تھے سہرے کی آرزو میں آنکھیں ترس گئیں ہیں اکبرؑ کے دیکھنے کو
۳ زینبؑ سے ہو کے رخصت، جب رن کو وہ چلا تھا ہر کوئی بڑھ کے اس کے، ماتھے کو چومتا تھا آنکھیں ترس گئیں ہیں اکبرؑ کے دیکھنے کو
۴ سنتے ہیں اس کا چہرا، سب خوں میں بھرگیا تھا کہتے ہیں اس کے سر میں، نیزہ اتر گیا تھا آنکھیں ترس گئیں ہیں اکبرؑ کے دیکھنے کو
۵ پھر عید آئی سب نے، پہنے نئے لبادے آئے نہیں پلٹ کے، امت کے شاہزادے آنکھیں ترس گئیں ہیں اکبرؑ کے دیکھنے کو
۶ خورشید سا وہ چہرہ رنگت میں تھا سنہرا پلکوں کی چلمنوں پر تھا ابرو کا پہرہ آنکھیں ترس گئیں ہیں اکبرؑ کے دیکھنے کو

Aankheṅ Taras Gayiṅ

Ali Akbar Ali Akbar Sughra ne khat meiṅ likha dil muztarib hai mera Reh reh ke chha raha hai aankhoṅ tale andhera Aankheṅ taras gayiṅ haiṅ Akbar ke dekhne ko Ali Akbar Ali Akbar, Ali Akbar Ali Akbar
1 Laila ke lab pe har dam rehta tha ek naala Hota to us ke dam se ghar meiṅ tha ek ujala Aankheṅ taras gayiṅ haiṅ Akbar ke dekhne ko
2 At jaeṅge wo gesu sab khaak meiṅ lahu meiṅ Ye din bhi dekhna the sehre ki aarzu meiṅ Aankheṅ taras gayiṅ haiṅ Akbar ke dekhne ko
3 Zainab se ho ke rukhsat jab ran ko wo chala tha Har koi barh ke us ke maathe ko chumta tha Aankheṅ taras gayiṅ haiṅ Akbar ke dekhne ko
4 Sunte haiṅ uska chehra sab khuṅ meiṅ bhar gaya tha Kehte haiṅ uske sar meiṅ neza utar gaya tha Aankheṅ taras gayiṅ haiṅ Akbar ke dekhne ko
5 Phir Eid aayi sab ne pehne naye libade Aaye nahiṅ palat ke ummat ke shahzade Aankheṅ taras gayiṅ haiṅ Akbar ke dekhne ko
6 Khurshid sa wo chehra rangat meiṅ tha sunehra Palkoṅ ki chilmanoṅ par tha abru ka pehra Aankheṅ taras gayiṅ haiṅ Akbar ke dekhne ko