Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

آمد آمد حرم شاہ کی دربار میں ہے

Aamad Aamad Harame

Add to set
Show

آمد آمد حرم شاہ کی دربار میں ہے

آمد آمد حرمِ شاہ کی دربار میں ہے
صبح سے جشن کا غل شام کے بازار میں ہے شورِ فریاد و بکا عترتِ اطہار میں ہے
۱ حکم آیا ہے اسیروں کو برابر مارو جشن کا وقت ہے درے انہیں ہنس کر مارو اک منادی یہ ندا دیتا ہے آؤ لوگوں باغی آئے ہیں انہیں شوق سے پتھر مارو صبح سے جشن کا غل شام کے بازار میں ہے شورِ فریاد و بکا عترتِ اطہار میں ہے
۲ خون میں ڈوبا ہوا سادات کا ہر چہرہ ہے گریہ کر سکتے نہیں آہ پہ بھی پہرہ ہے سنگ باری کی اذیت بھی بڑی ہے لیکن زخم صدقے کی کھجوروں کا بہت گہرا ہے صبح سے جشن کا غل شام کے بازار میں ہے شورِ فریاد و بکا عترتِ اطہار میں ہے
۳ دیکھ کر آلِ محمد کو ہنسے جاتے ہیں لوگ ہر موڑ پہ بس طعنے دیے جاتے ہیں چادریں کیا ہے کفن بھی نہیں دیتا کوئی زندہ لاشے لیے سجاد چلے جاتے ہیں صبح سے جشن کا غل شام کے بازار میں ہے شورِ فریاد و بکا عترتِ اطہار میں ہے
۴ مستقل آلِ محمد میں عزاداری ہے اور بیمار کی آنکھوں سے لہو جاری ہے بے ردا شام کے بازار میں آتے ہیں حرم ایسا لگتا ہے کسی عید کی تیاری ہے صبح سے جشن کا غل شام کے بازار میں ہے شورِ فریاد و بکا عترتِ اطہار میں ہے
۵ جھولی بھر بھر کے ستمگار ہیں لائے پتھر پتھروں نے بھی ہے ہاتھوں میں اٹھائے پتھر نوکِ نیزہ سے گرا خاک پہ سر اصغر کا ارے چھوٹے بچوں سے سکینہ نے جو کھائے پتھر صبح سے جشن کا غل شام کے بازار میں ہے شورِ فریاد و بکا عترتِ اطہار میں ہے
۶ بابِ ساعت پہ بھی زخموں سے بھرے ہیں قیدی ہے ورم پاؤں پہ پیدل جو چلے ہیں قیدی ارے لوگ تشہیر کے خنجر لیے آمادہ ہیں تین دن ہو گئے مقتل میں کھڑے ہیں قیدی صبح سے جشن کا غل شام کے بازار میں ہے شورِ فریاد و بکا عترتِ اطہار میں ہے
۷ ہائے دربار میں جانے کی گھڑی کیسی تھی حوصلہ دیتی رہی سب کو علی کی بیٹی سات سو کرسی نشیں دور سے دیکھے جس دم تھام کر اپنی کمر بنتِ علی بیٹھ گئی صبح سے جشن کا غل شام کے بازار میں ہے شورِ فریاد و بکا عترتِ اطہار میں ہے
۸ وعدہ بیٹی سے نبھانے کے لیے آئے علی ثانیِ زہرا تکلم پائے تعظیم اٹھی اس غریبی پہ تڑپنے لگی روحِ زہرا باپ کے ساتھ جو بیٹی سرِ دربار گئی صبح سے جشن کا غل شام کے بازار میں ہے شورِ فریاد و بکا عترتِ اطہار میں ہے

Aamad Aamad Harame

Aamad aamad haram-e-Shah ki darbar meiṅ hai
Subh se jashn ka ghul Shaam ke bazaar meiṅ hai Shor-e-faryad o buka Itrat-e-Athar meiṅ hai
1 Hukm aaya hai asiroṅ ko barabar maaro Jashn ka waqt hai durre inheṅ haṅs kar maaro Ek munadi ye nida deta hai aao logoṅ Baghi aaye haiṅ inheṅ shauq se patthar maaro Subh se jashn ka ghul Shaam ke bazaar meiṅ hai Shor-e-faryad o buka Itrat-e-Athar meiṅ hai
2 Khun meiṅ duba hua sadat ka har chehra hai Girya kar sakte nahiṅ aah pe bhi pehra hai Sangbari ki aziyat bhi bari hai lekin Zakhm sadqe ki khajuroṅ ka bahot gehra hai Subh se jashn ka ghul Shaam ke bazaar meiṅ hai Shor-e-faryad o buka Itrat-e-Athar meiṅ hai
3 Dekh kar Aal-e-Muhammad ko haṅse jaate haiṅ Log har mor pe bas taane diye jaate haiṅ Chadareṅ kya hai kafan bhi nahiṅ deta koi Zinda laashe liye Sajjad chale jaate haiṅ Subh se jashn ka ghul Shaam ke bazaar meiṅ hai Shor-e-faryad o buka Itrat-e-Athar meiṅ hai
4 Mustaqil Aal-e-Muhammad meiṅ azadari hai Aur bimar ki aankhoṅ se lahu jaari hai Berida Shaam ke bazaar meiṅ aate haiṅ haram Aisa lagta hai kisi Eid ki tayyari hai Subh se jashn ka ghul Shaam ke bazaar meiṅ hai Shor-e-faryad o buka Itrat-e-Athar meiṅ hai
5 Jholi bhar bhar ke sitamgar haiṅ laaye patthar Pattharoṅ ne bhi hai haathoṅ meiṅ uthaye patthar Nok-e-neza se gira khaak pe sar Asghar ka Are chhote bachchoṅ se Sakina ne jo khaaye patthar Subh se jashn ka ghul Shaam ke bazaar meiṅ hai Shor-e-faryad o buka Itrat-e-Athar meiṅ hai
6 Bab-e-Saat pe bhi zakhmoṅ se bhare haiṅ qaidi Hai waram paoṅ pe paidal jo chale haiṅ qaidi Are log tashhir ke khanjar liye aamada haiṅ Tin din ho gaye maqtal meiṅ khare haiṅ qaidi Subh se jashn ka ghul Shaam ke bazaar meiṅ hai Shor-e-faryad o buka Itrat-e-Athar meiṅ hai
7 Haye darbar meiṅ jaane ki ghari kaisi thi Hausla deti rahi sab ko Ali ki beti Saat sau kursi nashiṅ dur se dekhe jis dam Thaam kar apni kamar bint-e-Ali baith gayi Subh se jashn ka ghul Shaam ke bazaar meiṅ hai Shor-e-faryad o buka Itrat-e-Athar meiṅ hai
8 Waada beti se nibhane ke liye aaye Ali Saani-e-Zehra Takallum pa-e-tazim uthi Is gharibi pe tarapne lagi ruh-e-Zehra Baap ke saath jo beti sar-e-darbar gayi Subh se jashn ka ghul Shaam ke bazaar meiṅ hai Shor-e-faryad o buka Itrat-e-Athar meiṅ hai