کوفے کی شہزادیاں شام کے بازار میں
Aal-e-Rasul Par
Show
کوفے کی شہزادیاں شام کے بازار میں
کوفے کی شہزادیاں شام کے بازار میں
زینب و کلثوم ہیں مجمعٔ مے خوار میں
جس طرح آلِ نبی بے ردا ہو کر گئیں
اس طرح کوئی نہ ہو بے ردا دربار میں
ہر جانب ہے خاص و عام
زینب اور بازار شام
بے مقنہ بے چادر ہائے
فاطمہ زہرا کے گل بار
نوحہ تھا عابد کے لب پر
ہائے ہائے زینب ہائے ہائے شام
۱
آل رسول پر یہ کیسا مقام آیا
چادر نہیں ہے سر پر بازارِ شام آیا
آل رسول پر یہ کیسا مقام آیا
۲
غیرت سے سر جھکائے سیدانیوں کو لے کر
طوقِ گراں میں جکڑا چوتھا امام آیا
چادر نہیں ہے سر پر بازارِ شام آیا
۳
سب بیبیوں کے پیچھے غیرت سے چھپ رہی تھی
دربار شام میں جب زینب کا نام آیا
چادر نہیں ہے سر پر بازارِ شام آیا
۴
ماں بہنیں سر کھلے ہیں اور سر جھکائے عابد
اک امتحان دینے بازار شام آیا
چادر نہیں ہے سر پر بازارِ شام آیا
۵
بازار اشقیاء میں اشک عزا بہاتا
دروں پہ درے کھاتا میرا امام آیا
چادر نہیں ہے سر پر بازارِ شام آیا
۶
یاد آئی وہ سکینہ جو قید ہے مسلسل
جب سامنے ہمارے زندان شام آیا
چادر نہیں ہے سر پر بازارِ شام آیا
۷
قیصر کا نوحہ کہنا اور شادماں کا پڑھنا
بخشش کے ساعتوں میں دونوں کے کام آیا
چادر نہیں ہے سر پر بازارِ شام آیا
Aal-e-Rasul Par
Kufe ki shahzaadiyaaṅ Shaam ke bazaar meiṅ
Zainab o Kulsum haiṅ majma-e-maikhwaar meiṅ
Jis tarah Aal-e-Nabi berida ho kar gaiṅ
Is tarah koi na ho berida darbaar meiṅ
Har jaanib hai khaas o aam
Zainab aur bazaar-e-Shaam
Bemaqna bechaadar haaye
Fatima Zehra ke gulbaar
Nauha tha Abid ke lab par
Haaye haaye Zainab haaye haaye Shaam
1
Aal-e-Rasul par ye kaisa maqam aaya
Chaadar nahiṅ hai sar par bazaar-e-Shaam aaya
Aal-e-Rasul par ye kaisa maqam aaya
2
Ghairat se sar jhukaaye saiyyidaaniyoṅ ko le kar
Tauq-e-giraaṅ meiṅ jakra chautha Imam aaya
Chaadar nahiṅ hai sar par bazaar-e-Shaam aaya
3
Sab Bibiyoṅ ke pichhe ghairat se chhup rahi thi
Darbaar-e-Shaam meiṅ jab Zainab ka naam aaya
Chaadar nahiṅ hai sar par bazaar-e-Shaam aaya
4
Maaṅ bahneṅ sar khule haiṅ aur sar jhukaaye Abid
Ek imtehaan dene bazaar-e-Shaam aaya
Chaadar nahiṅ hai sar par bazaar-e-Shaam aaya
5
Bazaar-e-ashqiya meiṅ ashk-e-aza bahaata
Durroṅ pe durre khaata mera Imam aaya
Chaadar nahiṅ hai sar par bazaar-e-Shaam aaya
6
Yaad aayi wo Sakina jo qaid hai musalsal
Jab saamne hamaare zindaan-e-Shaam aaya
Chaadar nahiṅ hai sar par bazaar-e-Shaam aaya
7
Qaisar ka nauha kehna aur Shadmaaṅ ka parhna
Bakhshish ke saaatoṅ meiṅ donoṅ ke kaam aaya
Chaadar nahiṅ hai sar par bazaar-e-Shaam aaya