آ گیا بازار شام آ گیا بازار شام
Aa Gaya Bazaar-e-Shaam
Show
آ گیا بازار شام آ گیا بازار شام
آ گیا بازار شام آ گیا بازار شام
بیبیوں میں ہے کہرام آ گیا بازار شام
۱
سنگ کی برسات ہے قہقہے ہیں چار سوں
بے ردا ہے بیبیاں سر سے بہتا ہے لہو
ہنس رہے ہیں اہلِ شام آ گیا بازار شام
۲
اہلِ شر ہے ہر طرف ہاتھ میں پتھر لیے
ہے کوئی نیزے لیے ہے کوئی نشتر لیے
ہر طرف ہے ایک کہرام آ گیا بازار شام
۳
طوق ہے نوحہ کناں رو رہی ہے بیڑیاں
ہائے رسی میں بندھی دیکھتی ہے بیبیاں
تازیانے اور امام آ گیا بازار شام
۴
چھن گئی تیری ردا بچ گیا ہے لا الہ
اب تجھے دربار میں ہے بچانا کربلا
اب ہے زینب تیرا کام آ گیا بازار شام
۵
آسماں ہائے زمیں پر ٹوٹ کر گرنے کو ہے
دیکھ کر بیمار کو خاک پر گرنے کو ہے
ہے کوئی زینب کو تھام آ گیا بازار شام
۶
تیرے بازو چوم کر روئے تھے جس کو علی
جس کو روتے آئے ہیں آج تک سارے ولی
ہائے یہی ہے وہ مقام آ گیا بازار شام
۷
رو دیے اہلِ حرم طوق کے اعزار پر
شام کے بازار میں ہائے اک بیمار پر
ہو گئی مشکل تمام آ گیا بازار شام
۸
رسیاں ہیں بازوؤں میں اور ناقے تیز تر
گود سے ماؤں کے بچے گر رہے ہیں خاک پر
حشر ہے ہر ایک گام آ گیا بازار شام
۹
خونِ دل میں ڈوب کر تو نے جو لکھا نوید
جب تلک ہے کربلا ہے تیرا نوحہ نوید
کربلا تو ہے دوام آ گیا بازار شام
Aa Gaya Bazaar-e-Shaam
Aa gaya bazaar-e-Shaam aa gaya bazaar-e-Shaam
Bibiyoṅ meiṅ hai kohraam aa gaya bazaar-e-Shaam
1
Sang ki barsaat hai qahqahe haiṅ chaar suṅ
Berida hai bibiyaṅ sar se behta hai lahu
Hans rahe haiṅ Ahl-e-Shaam aa gaya bazaar-e-Shaam
2
Ahl-e-shar hai har taraf haath meiṅ pathar liye
Hai koi naiza liye hai koi nashtar liye
Har taraf hai ek kohraam aa gaya bazaar-e-Shaam
3
Tauq hai nauha kunaṅ ro rahi hai beriyaṅ
Haye rassi meiṅ bandhi dekhti hai bibiyaṅ
Taaziyane aur Imam aa gaya bazaar-e-Shaam
4
Chhin gayi teri rida bach gaya hai la ilaah
Ab tujhe darbaar meiṅ hai bachaana Karbala
Ab hai Zainab tera kaam aa gaya bazaar-e-Shaam
5
Aasmaṅ haye zamiṅ par tut kar girne ko hai
Dekh kar bemaar ko khaak par girne ko hai
Hai koi Zainab ko thaam aa gaya bazaar-e-Shaam
6
Tere baazu chum kar roye the jis ko Ali
Jis ko rote aaye haiṅ aaj tak saare wali
Haye yehi hai wo maqaam aa gaya bazaar-e-Shaam
7
Ro diye Ahl-e-haram tauq ke aazaar par
Shaam ke bazaar meiṅ haye ek bemaar par
Ho gayi mushkil tamaam aa gaya bazaar-e-Shaam
8
Rassiyaṅ haiṅ baazuoṅ meiṅ aur naaqe tez tar
God se maaoṅ ke bachche gir rahe haiṅ khaak par
Hashr hai har ek gaam aa gaya bazaar-e-Shaam
9
Khun-e-dil meiṅ dub kar tu ne jo likha Naved
Jab talak hai Karbala hai tera nauha Naved
Karbala to hai dawaam aa gaya bazaar-e-Shaam