آ رہے ہیں تیری جانب اے زمین کربلا
Aa Rahe Haiṅ Teri Jaanib
Show
آ رہے ہیں تیری جانب اے زمین کربلا
آ رہے ہیں تیری جانب اے زمین کربلا
مشک نصرت کے لئے ہے اربعین کربلا
آ رہے ہیں تیری جانب اے زمین کربلا
۱
عورتیں بچے ہیں بوڑھے اور جواں بھی ساتھ ہیں
قدسی و جن و ملک کون و مکاں بھی ساتھ ہیں
زائر کربوبلا مہدیء جاں بھی ساتھ ہیں
بڑھ رہے ہیں شوق سے سب شائقین کربلا
۲
روضہء حیدر سے ہوتی ہے وفا کی ابتدا
معجزہ جس کو ہے سمجھا یہ ہے زہرا کی دعا
ہے کروڑوں کا جلوس اور ساتھ ہے فرش عزا
اب نجف تک بچھ گئی ہے سر زمین کربلا
۳
اس زیارت کے سفر میں صاحب کردار ہے
پرچم عباس ہاتھوں میں ہے سب بیدار ہیں
اے امام عصر نصرت کے لئے تیار ہیں
منتقم کے منتظر ہیں مومنین کربلا
۴
لشکر مہدی کا رعب و دبدبہ یہ منزلت
یہ نجف سے کربلا تک کا سفر ہے معرفت
مرگ بر طاغوت ہے یہ مرگ بر سفیانیت
نصرتِ مہدی کرو زیر نگین کربلا
۵
خانۂ کعبہ کی دیواروں سے اٹھا شور و شین
آسماں کو دیکھتا ہے فاطمہ کا نورِ عین
حج کو عمرے میں بدل کر چل دیے مولا حسین
عازمین حج ہوئے ہیں عازمین کربلا
۶
پردہء غیبت اٹھے گا میرے مولا آئیں گے
گر بلایا آپ نے پیدل بھی چل کر جائیں گے
ساتھ میں ماں باپ بچے اور بھائی لائیں گے
کر قبول ان زحمتوں کو اے مکین کربلا
۷
ایک مجلس ہوگی روضوں پر پہنچ کر اور بین
اک طرف عباس ہوں گے اک طرف مولا حسین
کیسا گریہ ہوگا کیا ذاکر کی ہوگی زیب و زین
اک جگہ ہوں گے بہتر سامعین کربلا
۸
چودہ فرسخ تک ہمیں کھانا کھلاتا کون ہے
زائر شبیر کو پانی پلاتا کون ہے
صاف جوتے کر کے یہ آنسو بہاتا کون ہے
اللّٰہ اللّٰہ دیکھو شان زائرین کربلا
۹
ہو شرف حاصل زیارت کا قمر مانگو دعا
شادماں ہر ایک قدم پر بس یہی ہے سوچتا
روضہء عباس دیکھوں گا تو حالت ہوگی کیا
سامنے جب آئے گی میرے زمین کربلا
Aa Rahe Haiṅ Teri Jaanib
Aa rahe haiṅ teri jaanib ae zamin-e-Karbala
Mashk-e-nusrat ke liye hai Arbain-e-Karbala
Aa rahe haiṅ teri jaanib ae zamin-e-Karbala
1
Aurateṅ bachche haiṅ burhe aur jawaaṅ bhi saath haiṅ
Qudsi o jinn o malak kaun o makaaṅ bhi saath haiṅ
Zaair-e-Karbobala Mehdi-e-jaaṅ bhi saath haiṅ
Barh rahe haiṅ shauq se sab shaaiqin-e-Karbala
2
Rauza-e-Haidar se hoti hai wafa ki ibteda
Maujiza jisko hai samjha ye hai Zahra ki dua
Hai karoroṅ ka julus aur saath hai farsh-e-aza
Ab Najaf tak bichh gayi hai sar-zamin-e-Karbala
3
Is ziyarat ke safar meiṅ saahib-e-kirdaar hai
Parcham-e-Abbas haathoṅ meiṅ hai sab bedaar haiṅ
Ae Imam-e-Asr nusrat ke liye tayyar haiṅ
Muntaqim ke muntazir haiṅ mominin-e-Karbala
4
Lashkar-e-Mehdi ka raub o dabdaba ye manzilat
Ye Najaf se Karbala tak ka safar hai maarifat
Marg bar taaghut hai ye marg bar Sufyaniyat
Nusrat-e-Mehdi karo zer-e-nagin-e-Karbala
5
Khaana-e-Kaaba ki diwaaroṅ se utha shor o shain
Aasmaaṅ ko dekhta hai Fatema ka nur-e-ain
Hajj ko umre meiṅ badal kar chal diye Maula Husain
Aazimin-e-Hajj hue haiṅ aazimin-e-Karbala
6
Parda-e-ghaibat uthega mere Maula aayeṅ ge
Gar bulaya aap ne paidal bhi chal kar jaayeṅ ge
Saath meiṅ maaṅ baap bachche aur bhai laayeṅ ge
Kar qabul in zahmatoṅ ko ae makin-e-Karbala
7
Ek majlis hogi rauzoṅ par pahunch kar aur bain
Ek taraf Abbas hoṅ ge ek taraf Maula Husain
Kaisa girya hoga kya zaakir ki hogi zeb o zain
Ek jagah hoṅ ge bahattar saamain-e-Karbala
8
Chaudah farsakh tak hameṅ khaana khilata kaun hai
Zaair-e-Shabbir ko pani pilaata kaun hai
Saaf jute kar ke ye aansu bahata kaun hai
Allah Allah dekho shan-e-zairin-e-Karbala
9
Ho sharaf haasil ziyarat ka Qamar maango dua
Shadmaaṅ har ek qadam par bas yehi hai sochta
Rauza-e-Abbas dekhuṅ ga to haalat hogi kya
Saamne jab aayegi mere zamin-e-Karbala