Soz · 15
جب رات عبادت میں بسر کی شہِ دیں نے
Jab rat ibadat meiṅ basar ki Shah-e-diṅ ne
Source pages:98
Show

Jab rat ibadat meiṅ basar ki Shah-e-diṅ ne
Sajde meiṅ muhim-e-ishq ki sar ki Shah-e-diṅ ne
Dekha jo safedi ko sahar ki Shah-e-diṅ ne
Mur kar rukh-e-Akbar pe nazar ki Shah-e-diṅ ne
Farmaya sahar qatl ki zahir hui beta
Ab uth ke azaṅ do ke shab akhir hui beta
جب رات عبادت میں بسر کی شہِ دیں نے
سجدے میں مہم عشق کی سَر کی شہِ دیں نے
دیکھا جو سفیدی کو سحر کی شہِ دیں نے
مُڑ کر رُخِ اکبرؑ پہ نظر کی شہِ دیں نے
فرمایا سحر قتل کی ظاہر ہوئی بیٹا
اب اُٹھ کے اذاں دو کہ شب آخر ہوئی بیٹا