Soz · 8
جرأت میں علیؑ صبر میں شبیرؑ ہیں زینبؑ
Jurat meiṅ Ali sabr meiṅ Shabbir haiṅ Zainab
Source pages:97
Show

Jurat meiṅ Ali sabr meiṅ Shabbir haiṅ Zainab
Shamshir-e-fasahat dam-e-taqrir haiṅ Zainab
Bint-e-Shah-e-Wash-Shams ki tanwir haiṅ Zainab
Ghar lutne pe bhi sahib-e-tauqir haiṅ Zainab
Shabbir ke maqsad ki nigahban yahi haiṅ
Afsana-e-Islam ka unwan yahi haiṅ
جرأت میں علیؑ صبر میں شبیرؑ ہیں زینبؑ
شمشیرِ فصاحت دَمِ تقریر ہیں زینبؑ
بنتِ شہِ والشمس کی تنویر ہیں زینبؑ
گھر لُٹنے پہ بھی صاحبِ توقیر ہیں زینبؑ
شبیرؑ کے مقصد کی نگہبان یہی ہیں
افسانۂ اسلام کا عنوان یہی ہیں