Soz · 4
چشمِ نبیؐ کے خواب کو کہتے ہیں سیّدہؑ
Chashm-e-Nabi ke khwab ko kehte haiṅ Sayyida
Source pages:96
Show

Chashm-e-Nabi ke khwab ko kehte haiṅ Sayyida
Ismat ke aftab ko kehte haiṅ Sayyida
Quran ke jawab ko kehte haiṅ Sayyida
Munh bolti kitab ko kehte haiṅ Sayyida
Ye zat yuṅ kitab ki tafsir ban gayi
Lafzoṅ meiṅ dhal ke Ayah-e-Tathir ban gayi
چشمِ نبیؐ کے خواب کو کہتے ہیں سیّدہؑ
عصمت کے آفتاب کو کہتے ہیں سیّدہؑ
قرآن کے جواب کو کہتے ہیں سیّدہؑ
منہ بولتی کتاب کو کہتے ہیں سیّدہؑ
یہ ذات یوں کتاب کی تفسیر بن گئی
لفظوں میں ڈھل کے آیۂ تطہیر بن گئی