Salam · 85
چھوڑ کر باطل کا در تجھ پہ کھلے در سینکڑوں
Chhor kar batil ka dar tujh pe khule dar sainkroṅ
Show


Chhor kar batil ka dar tujh pe khule dar sainkroṅ
Tahir Nasir Ali (Lahore)
Chhor kar batil ka dar tujh pe khule dar sainkroṅ
Khari qismat pe qurban haiṅ muqaddar sainkroṅ
Rehte haiṅ mahfuz har gham se gham-e-Shah ke tufail
Matam-e-Shabbir se abad haiṅ ghar sainkroṅ
Muskura kar takht-e-shahi ko ulat kar rakh diya
Jo kiya Asghar ne kar sakte na lashkar sainkroṅ
Sirf Tahir hi nahiṅ hai in ghamoṅ meiṅ nauhakhwan
Kar diye paida gham-e-Shah ne sukhanwar sainkroṅ
Chhor kar batil ka dar tujh pe khule dar sainkroṅ
چھوڑ کر باطل کا در تجھ پہ کھلے در سینکڑوں
طاہر ناصر علی (لاہور)
چھوڑ کر باطل کا در تجھ پہ کھلے در سینکڑوں
کھڑی قسمت پہ قربان ہیں مقدر سینکڑوں
رہتے ہیں محفوظ ہر غم سے غمِ شہ کے طفیل
ماتمِ شبیرؑ سے آباد ہیں گھر سینکڑوں
مسکرا کر تختِ شاہی کو الٹ کر رکھ دیا
جو کیا اصغرؑ نے کر سکتے نہ لشکر سینکڑوں
صرف طاہر ہی نہیں ہے ان غموں میں نوحہ خواں
کردیے پیدا غمِ شہ نے سخنور سینکڑوں
چھوڑ کر باطل کا در تجھ پہ کھلے در سینکڑوں