Salam · 73
کربلا والوں کے جیسے امتحاں ہوتے نہیں
Karbala waloṅ ke jaise imtihaṅ hote nahiṅ
Source pages:134
Show

Karbala waloṅ ke jaise imtihaṅ hote nahiṅ
Akhtar Husainpuri
Karbala waloṅ ke jaise imtihaṅ hote nahiṅ
Is qadar zulm o sitam ae asmaṅ hote nahiṅ
Yaad aata hai hameiṅ karb o bala ka saniha
besabab hum rat din waqt-e-fughaṅ hote nahiṅ
Jaan de di Shah ne lekin baiat-e-fasiq na ki
Diṅ ke Shabbir jaise pasbaṅ hote nahiṅ
Karbala Jannat-nishaṅ Shabbir ke dam se hui
Karbala Jannat-nishaṅ warna gulistaṅ hote nahiṅ
Arsh-e-din ki khatayeṅ tuhfa-e-Jannat bhi de
Hazrat-e-Shabbir jaise mezban hote nahiṅ
Bhar liya mashkiza munh ko pher kar Abbas ne
Pyas meiṅ aise wafa ke pasbaṅ hote nahiṅ
Shimr se kehta koi Abid ko mat beri pehna
Basta-e-zanjir aise natawaṅ hote nahiṅ
Yuṅ zaifi meiṅ jawaaṅ ho kar lare haiṅ Ahl-e-Bait
Aise to ahd-e-jawani meiṅ jawaaṅ hote nahiṅ
Karbala waloṅ ke jaise imtihaṅ hote nahiṅ
کربلا والوں کے جیسے امتحاں ہوتے نہیں
اختر حسین پوری
کربلا والوں کے جیسے امتحاں ہوتے نہیں
اس قدر ظلم و ستم اے آسماں ہوتے نہیں
یاد آتا ہے ہمیں کرب و بلا کا سانحہ
بے سبب ہم رات دن وقتِ فغاں ہوتے نہیں
جان دے دی شہؑ نے لیکن بیعتِ فاسق نہ کی
دِیں کے شبیرؑ جیسے پاسباں ہوتے نہیں
کربلا جنت نشاں شبیرؑ کے دم سے ہوئی
کربلا جنت نشاں ورنہ گلستاں ہوتے نہیں
عرشِ دِے کی خطائیں تحفۂ جنت بھی دے
حضرتِ شبیرؑ جیسے میزبان ہوتے نہیں
بھر لیا مشکیزہ منہ کو پھر کر عباسؑ نے
پیاس میں ایسے وفا کے پاسباں ہوتے نہیں
شمر سے کہتا کوئی عابدؑ کو مت بےڑی پہنا
بستہ زنجیر ایسے ناتواں ہوتے نہیں
یوں ضعیفی میں جواں ہو کر لڑے ہیں اہلبیتؑ
ایسے تو عہدِ جوانی میں جواں ہوتے نہیں
کربلا والوں کے جیسے امتحاں ہوتے نہیں