Salam · 72
چلی ہے رسمِ صداقت حسینؑ کے گھر سے
Chali hai rasm-e-sadaqat Husain ke ghar se
Source pages:134
Show

Chali hai rasm-e-sadaqat Husain ke ghar se
Syed Aqil Abbas Jafari
Chali hai rasm-e-sadaqat Husain ke ghar se
Jahaṅ ne payi ye daulat Husain ke ghar se
Qiyam-e-Haq ke liye jaan tak luta dena
Pari hai ye bhi riwayat Husain ke ghar se
Jo tujh ko naz hai Islam par to ae waiz
Tujhe mili hai ye nemat Husain ke ghar se
Janab-e-Hurr hi nahiṅ hum ne kitne logoṅ ki
Badalti dekhi hai qismat Husain ke ghar se
Yazid kya tere ajdad ne bataya na tha
Abas hai khwahish-e-baiat Husain ke ghar se
Maiṅ Hurr ki tarah ghira huṅ Yazidiyoṅ meiṅ Aqil
Yahiṅ bhi rakhta huṅ nisbat Husain ke ghar se
Chali hai rasm-e-sadaqat Husain ke ghar se
چلی ہے رسمِ صداقت حسینؑ کے گھر سے
سید عقیل عباس جعفری
چلی ہے رسمِ صداقت حسینؑ کے گھر سے
جہاں نے پائی یہ دولت حسینؑ کے گھر سے
قیامِ حق کیلئے جان تک لٹا دینا
پڑی ہے یہ بھی روایت حسینؑ کے گھر سے
جو تجھ کو ناز ہے اسلام پر تو اے واعظ
تجھے ملی ہے یہ نعمت حسینؑ کے گھر سے
جنابِ حُرؑ ہی نہیں ہم نے کتنے لوگوں کی
بدلتی دیکھی ہے قسمت حسینؑ کے گھر سے
یزید کیا ترے اجداد نے بتایا نہ تھا
عبث ہے خواہشِ بیعت حسینؑ کے گھر سے
میں حُرؑ کی طرح گِھرا ہوں یزیدیوں میں عقیلؔ
یہیں بھی رکھتا ہوں نسبت حسینؑ کے گھر سے
چلی ہے رسمِ صداقت حسینؑ کے گھر سے