Salam · 53
شاہوں کا تذکرہ ہے نہ لشکر کی بات ہے
Shahoṅ ka tazkira hai na lashkar ki baat hai
Source pages:127
Show

Shahoṅ ka tazkira hai na lashkar ki baat hai
Syed Hasan Anjum
Shahoṅ ka tazkira hai na lashkar ki baat hai
Jo Karbala meiṅ lut gaya us ghar ki baat hai
Zikr-e-gham-e-Husain hameiṅ kiuṅ na ho aziz
Khushnudi-e-Khuda o Payambar ki baat hai
Majlis ek ehtijaj hai har zulm ke khilaf
Paigham-e-adl, matam-e-Sarwar ki baat hai
Hogi na Karbala ki kabhi khatm dastaṅ
Kehne ko yuṅ to sirf bahattar ki baat hai
Kis kis ko royeṅ Ahl-e-Haram kis ki baat hai
Hai umr bhar ka dagh bhare ghar ki baat hai
Ye imtihan-e-sabr bahut sakht hai Husain
Mahshar meiṅ beridai-e-khahar ki baat hai
Qasid ko kya jawab deiṅ is baat ka Husain
Sughra ke khat meiṅ shadi-e-Akbar ki baat hai
Soz-e-gham-e-Husain mila jis ko mil gaya
Anjum ye apne apne muqaddar ki baat hai
(Bashukriya shair o marsiyakhwan Syed Javed Hasan)
Shahon ka tazkira hai na lashkar ki baat hai
شاہوں کا تذکرہ ہے نہ لشکر کی بات ہے
سید حسن انجم
شاہوں کا تذکرہ ہے نہ لشکر کی بات ہے
جو کربلا میں لٹ گیا اُس گھر کی بات ہے
ذکرِ غمِ حسینؑ ہمیں کیوں نہ ہو عزیز
خوشنودیِ خدا و پیمبرؐ کی بات ہے
مجلس اک احتجاج ہے ہر ظلم کے خلاف
پیغامِ عدل، ماتمِ سرورؑ کی بات ہے
ہوگی نہ کربلا کی کبھی ختم داستاں
کہنے کو یوں تو صرفِ بہتر کی بات ہے
کس کس کو روئیں اہلِ حرم کس کی بات ہے
ہے عمر بھر کا داغ بھرے گھر کی بات ہے
یہ امتحانِ صبر بہت سخت ہے حسینؑ
محشر میں بے ردائیِ خواہر کی بات ہے
قاصد کو کیا جواب دیں اِس بات کا حسینؑ
صغریٰؑ کے خط میں شادیِ اکبرؑ کی بات ہے
سوزِ غمِ حسینؑ ملا جس کو مِل گیا
انجمؔ یہ اپنے اپنے مقدر کی بات ہے
شاہوں کا تذکرہ ہے نہ لشکر کی بات ہے
(بشکریہ شاعر و مرثیہ خواں سید جاوید حسن)