Salam · 31
خیالِ کربلا ہے اور میں ہوں
Khayal-e-Karbala hai aur maiṅ huṅ
Source pages:119
Show

Khayal-e-Karbala hai aur maiṅ huṅ
Mohsin Azam Karnavi
Khayal-e-Karbala hai aur maiṅ huṅ
Iram ka rasta hai aur maiṅ huṅ
Dar-e-Shabbir hai aur meri qismat
Maqam-e-iltija hai aur maiṅ huṅ
Husain Ibn-e-Ali mujh ko karam haiṅ
Ghulami ka sila hai aur maiṅ huṅ
Bhala ab bhi na ho is dar se nisbat
Gham-e-Aal-e-Aba hai aur maiṅ huṅ
Adawat ki saza pate haiṅ dushman
Muhabbat ki jaza hai aur maiṅ huṅ
Mera kasa hai aur Bab-e-Ali hai
Faqirana sada hai aur maiṅ huṅ
Udhar bimar-e-paband-e-salasil
Idhar aah o buka hai aur maiṅ huṅ
(Bashukriya shair Advocate Mahbub Raza Rizvi o Maulana Shafiq Rizvi)
Khayal-e-Karbala hai aur main hun
خیالِ کربلا ہے اور میں ہوں
محسن اعظم کرنوی
خیالِ کربلا ہے اور میں ہوں
ارم کا راستہ ہے اور میں ہوں
دَرِ شبیرؑ ہے اور میری قسمت
مقامِ التجا ہے اور میں ہوں
حسینؑ ابنِ علیؑ مجھ کو کرم ہیں
غلامی کا صلہ ہے اور میں ہوں
بھلا اب بھی نہ ہو اِس دَر سے نسبت
غمِ آلِؑ عبا ہے اور میں ہوں
عداوت کی سزا پاتے ہیں دشمن
محبت کی جزا ہے اور میں ہوں
مرا کاسہ ہے اور بابِ علیؑ ہے
فقیرانہ صدا ہے اور میں ہوں
اُدھر بیمارِ پابندِ سلاسل
اِدھر آہ و بکا ہے اور میں ہوں
خیالِ کربلا ہے اور میں ہوں
(بشکریہ شاعر ایڈووکیٹ محبوب رضا رضوی و مولانا شفیق رضوی)