Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

Salam · 25

وہی تو فتح و ظفر کے نشان اٹھاتے ہیں

Wahi to fath o zafar ke nishan uthate haiṅ

Source pages:117

Add to Recitation Set
Show
Original Basta page 117
Wahi to fath o zafar ke nishan uthate haiṅ Tabish Dehlavi Wahi to fath o zafar ke nishaṅ uthate haiṅ Jihad-e-Haq meiṅ jo azar-e-jaaṅ uthate haiṅ Nishan-e-rah jo roshan haiṅ chhup nahiṅ sakte Ghubar agarche bahut karwaṅ uthate haiṅ Yahi shanakht hai un ki ke mard-e-Haq-shewa Azab-e-jaaṅ pe-e-izhar-e-jaaṅ uthate haiṅ Makaṅ meiṅ gunjta hai nara-e-Husain Husain Ab is sada ko sar-e-la-makan uthate haiṅ Haiṅ Karbala ki zamiṅ hi se asmaṅ roshan Isi ki khak se ye kahkashaṅ uthate haiṅ Imam o muqtadi aise ke sajda-rezi meiṅ Zamiṅ pe rakh ke jabiṅ asmaṅ uthate haiṅ Kare haiṅ kos asiroṅ pe Shah ke, Tabish Kabhi qadam to kabhi beriyaṅ uthate haiṅ (Bashukriya shair Abbas Jafari / Bani, Chairman Focus) Wahi to fath o zafar ke nishan uthate hain
وہی تو فتح و ظفر کے نشان اٹھاتے ہیں تابش دہلوی وہی تو فتح و ظفر کے نشاں اُٹھاتے ہیں جہادِ حق میں جو آزار جاں اُٹھاتے ہیں نشانِ راہ جو روشن ہیں چُھپ نہیں سکتے غبار اگرچہ بہت کارواں اُٹھاتے ہیں یہی شناخت ہے اُنکی کہ مردِ حق شیوہ عذابِ جاں پئے اظہارِ جاں اُٹھاتے ہیں مکاں میں گونجتا ہے نعرۂ حسینؑ حسینؑ اب اِس صدا کو سَرِ لامکاں اُٹھاتے ہیں ہیں کربلا کی زمیں ہی سے آسماں روشن اِسی کی خاک سے یہ کہکشاں اُٹھاتے ہیں امام و مقتدی ایسے کہ سجدہ ریزی میں زمیں پہ رکھ کے جبیں آسماں اُٹھاتے ہیں کڑے ہیں کوس اسیروں پہ شاہ کے، تابشؔ کبھی قدم تو کبھی بیڑیاں اُٹھاتے ہیں وہی تو فتح و ظفر کے نشان اٹھاتے ہیں (بشکریہ شاعر عباس جعفری / بانی، چیئرمین فوکس)