Salam · 8
حسین ابنِ علیؑ کا غم دلِ مضطر میں رہتا ہے
Husain Ibn-e-Ali ka gham dil-e-muztar meiṅ rehta hai
Source pages:110
Show

Husain Ibn-e-Ali ka gham dil-e-muztar meiṅ rehta hai
Maulana Muhammad Mustafa Jauhar
Husain Ibn-e-Ali ka gham dil-e-muztar meiṅ rehta hai
Bahr-e-unwan jaise ghar ka malik ghar meiṅ rehta hai
Gham-e-Shabbir aur hubb-e-Ali hai zindagi apni
Ye jazba dil meiṅ rehta hai, ye sauda sar meiṅ rehta hai
Naye ga puchhne wale taharat dida-e-tar ki
Ye ansu Sayyida ke gosha-e-chadar meiṅ rehta hai
Kisi surat Ali ke dar pe rehne ki jagah milti
Ye khurshid ziya-gustar isi chakkar meiṅ rehta hai
Nikalta hi nahiṅ bugz-e-Ali dushman ke sine se
Ye Marhab dusra hai jo isi Khaibar meiṅ rehta hai
Farari se na ye puchho ke aakhir bhagta kiuṅ hai!
Ye puchho bhagna te hai to kiuṅ lashkar meiṅ rehta hai
Kabhi pahlu meiṅ dhunda aur roti haiṅ Rubab uth kar
Ye alam rat bhar yaad-e-Ali Asghar meiṅ rehta hai
Bayan-e-marifat meiṅ sidq se hatta nahiṅ Jauhar
Dimagh us ka khayal-e-rifat-e-mimbar meiṅ rehta hai
Husain Ibn-e-Ali ka gham dil-e-muztar meiṅ rehta hai
حسین ابنِ علیؑ کا غم دلِ مضطر میں رہتا ہے
مولانا محمد مصطفیٰ جوہر
حسینؑ ابنِ علیؑ کا غم دلِ مضطر میں رہتا ہے
بہر عنوان جیسے گھر کا مالک گھر میں رہتا ہے
غمِ شبیرؑ اور حُبِّ علیؑ ہے زندگی اپنی
یہ جذبہ دل میں رہتا ہے، یہ سودا سَر میں رہتا ہے
نئے گا پوچھنے والے طہارت دیدۂ تر کی
یہ آنسو سیدہؑ کے گوشۂ چادر میں رہتا ہے
کسی صورت علیؑ کے دَر پہ رہنے کی جگہ ملتی
یہ خورشید ضیاء گُستر اِسی چکر میں رہتا ہے
نکلتا ہی نہیں بغضِ علیؑ دشمن کے سینے سے
یہ مرحب دوسرا ہے جو اِسی خیبر میں رہتا ہے
فراری سے نہ یہ پوچھو کہ آخر بھاگتا کیوں ہے!
یہ پوچھو بھاگنا طے ہے تو کیوں لشکر میں رہتا ہے
کبھی پہلو میں ڈھونڈا اور روتی ہیں ربابؑ اُٹھ کر
یہ عالم رات بھر یادِ علی اصغرؑ میں رہتا ہے
بیانِ معرفت میں صدق سے ہٹتا نہیں جوہرؔ
دماغ اُس کا خیالِ رفعتِ منبر میں رہتا ہے
حسین ابنِ علیؑ کا غم دلِ مضطر میں رہتا ہے