Salam · 3
کون قاتل تھا سلامی کہ جہاں اور بھی ہے
Kaun qatil tha salami ke jahaṅ aur bhi hai
Source pages:108
Show

Kaun qatil tha salami ke jahaṅ aur bhi hai
Kaun qatil tha salami ke jahaṅ aur bhi hai
Karbala dekh ke hum samjhe ke haṅ aur bhi hai
Sadqe us dil ke jo ho hubb-e-Ali se abad
Us se behtar koi duniya meiṅ makaṅ aur bhi hai
Naam-e-Shabbir pe besakhta giryaṅ hona
Baad-e-kalme ke ye imaṅ ka nishaṅ aur bhi hai
Barchhiyaṅ mar ke Akbar ko pukare ada
Shah se puchho koi farzand-e-jawaaṅ aur bhi hai
La ke shashmahe ko hathoṅ pe pukare Maula
Nazr-e-Haq ke liye ye ghuncha-e-dahaṅ aur bhi hai
Bal khole hue lashe pe jo aayeṅ Zahra
Khul gaya Hurr pe dam-e-naza ke maṅ aur bhi hai
Hathkari beriyaṅ pehna ke adu kehte the
Dekh bimar, abhi tauq-e-giraṅ aur bhi hai
Nile rukhsaroṅ pe kanoṅ se lahu hai jari
Gardan-e-bali Sakina pe nishaṅ aur bhi hai
Kaun qatil tha salami ke jahaṅ aur bhi hai
کون قاتل تھا سلامی کہ جہاں اور بھی ہے
کون قاتل تھا سلامی کہ جہاں اور بھی ہے
کربلا دیکھ کے ہم سمجھے کہ ہاں اور بھی ہے
صدقے اُس دل کے جو ہو حبِ علیؑ سے آباد
اُس سے بہتر کوئی دنیا میں مکاں اور بھی ہے
نامِ شبیرؑ پہ بے ساختہ گریاں ہونا
بعدِ کلمے کے یہ ایماں کا نشاں اور بھی ہے
برچھیاں مار کے اکبرؑ کو پکارے اعدا
شہؑ سے پوچھو کوئی فرزندِ جواں اور بھی ہے
لا کے ششماہے کو ہاتھوں پہ پکارے مولاؑ
نذرِ حق کے لئے یہ غنچۂ دہاں اور بھی ہے
بال کھولے ہوئے لاشے پہ جو آئیں زہراؑ
کھل گیا حُرؑ پہ دَمِ نزع کہ ماں اور بھی ہے
ہتھکڑی بیڑیاں پہنا کے عدو کہتے تھے
دیکھ بیمار، ابھی طوقِ گراں اور بھی ہے
نیلے رخساروں پہ کانوں سے لہو ہے جاری
گردنِ بالی سکینہؑ پہ نشاں اور بھی ہے
کون قاتل تھا سلامی کہ جہاں اور بھی ہے