Qita'aat · 10
لب پہ ہوں نام اُن کا تو پڑھتے ہیں سب درود
Lab pe hoṅ naam un ka to parhte haiṅ sab durud
Source pages:86
Show

Qita
Lab pe hoṅ naam un ka to parhte haiṅ sab durud
Zehnoṅ meiṅ mustajab imamat Hasan ki hai
Jis ne un se chhini hukumat baad-e-qarib
Lekin diloṅ pe ab bhi hukumat Hasan ki hai
قطعہ
لب پہ ہوں نام اُن کا تو پڑھتے ہیں سب درود
ذہنوں میں مستجاب امامت حسنؑ کی ہے
جس نے ان سے چھینی حکومت بعدِ قریب
لیکن دلوں پہ اب بھی حکومت حسنؑ کی ہے