Mutafarriqat-o-Qaumiyat · 51
دن ڈھلے جب کرے مزدوری رضا آتا ہے باپ
Din dhale jab kare mazduri Raza aata hai bap
Show








Din dhale jab kar ke mazduri Raza aata hai bap
Din dhale jab kare mazduri Raza aata hai bap
Dekh kar hanste hue bachchoṅ ko sukh pata hai bap
Samne ankhoṅ ke jis bete ke mar jata hai bap
Lamha lamha zindagi bhar us ko yaad aata hai bap
Qadr o qimat jab pata chalti hai maṅ aur bap ki
Jab Khuda ke fazl se insan ban jata hai bap
Ek bachche ki talab meiṅ chhor kar aram o chain
Jane kis kis dar pe minnat mangne jata hai bap
Khanqah o mandir o masjid, azakhana kabhi
Pir o Sufi, manqabat o Mullaoṅ ke ghar jata hai bap
Jab talak bachcha na ho kam-e-zarurat ka liye
Bas Khuda jane ke kitni thokareṅ khata hai bap
Aisa lagta hai ke jaise chal rahi hai kainat
Ghantoṅ chalte hue bachche ko jab pata hai bap
Jane kitne khwab karte haiṅ safar bachche ke sath
Ghar se pehli bar jab schul le jata hai bap
Dekhta hai khwab jangi zindagi ke waste
Agli hi ankhoṅ na jane kitne dukh pata hai bap
Lab labati leti gari af shola-rosh meiṅ
Dar-ba-dar hai Sham o sahar phirta nazar aata hai bap
Lamha lamha waqf kar ke god ke baloṅ ke naam
Hath khali dar-e-fani se chala jata hai bap
Ghar ke paloṅ ka mustaqbil banane ke liye
Waqt ki mandi meiṅ saste dam bik jata hai bap
Khet, rishta, daftar, mill, karkhane aur dukan
Apni ek ek sans un ke naam kar jata hai bap
Biwi aur bachchoṅ ko jo bhi ho khila kar pyar se
Kar ke koi bhi bahana bhuka so jata hai bap
Har khushi ko yuṅ jakar leti hai zanjir-e-maash
Muskurane ko bhi aise meiṅ taras jata hai bap
Zindagi isi uth jati hai bachchoṅ ke liye
Ghun ki tarah rafta rafta khud ko kha jata hai bap
Kanpti haiṅ putliyaṅ bachchoṅ hi ki fikr meiṅ magar
Jo kamaya tha wo sab khairat kar aata hai bap
Hath khali jeb khali bhuke bachchoṅ ki taraf
Kham kiye gardan pareshan-hal ghar aata hai bap
Jab saza deta hai bachche ko to us ko mar kar
Dil hi dil meiṅ jane kitni der pachhtata hai bap
Khun-e-dil ankhoṅ se bahta hai khilone dekh kar
Gaoṅ ke mele meiṅ jab bachche ko le jata hai bap
Dekh kar koi khilona jab machalta hai pisar
Dekh kar ye manzar to sharmata hai bap
Pehle deta hai tasalli phir bahane aur phir
Muflisi pe apni pahroṅ ashk barsata hai bap
Har tamanna, har khushi, kul hasrateṅ, har arzu
Apne bachchoṅ ki khushi ke naam kar jata hai bap
Puri karne khwahisheṅ apne jigar ke chain ki
Apni sari zindagi qurban kar jata hai bap
Ek din haye nazar-andaz kar deta hai wo
Bech kar apna lahu jis ko ghiza lata hai bap
Zindagi kaise guzarti hai ye un se puchhiye
Kisi meiṅ chhor kar jugnu mar jata hai bap
Bandhta hai sar pe jab sehra ummidoṅ ka chiragh
Der tak khud apni khush-bakhti pe itrata hai bap
Ruh se hai ruh ka kuchh itna gehra rabta
Lagti hai bachche ko thokar aur gir jata hai bap
Bandh kar sehra jo beta maṅ ko karta hai salam
Maṅ ko har ansu meiṅ bete ka nazar aata hai bap
Jab bichhar jate haiṅ bachche chhin lete haiṅ sukuṅ
Kitne anjane khayaloṅ meiṅ ulajh jata hai bap
Naam karte haiṅ jo roshan bachche apne mulk ka
Koshishoṅ pe apni us dam fakhr farmata hai bap
Dekh kar ek khwab maidan meiṅ farzand ko
Fauj kar jane ke liye khud ghar se le aata hai bap
Eid ki poshak bachchoṅ ko jo mangwati hai maṅ
Sajda-e-Mabud meiṅ khush ho ke gir jata hai bap
Zindagi sari khapa deta hai bachchoṅ ke liye
Apne maṅ aur bap ki khidmat na kar pata hai bap
Zindagi ka wazn dhote dhote apni pusht par
Khush raheṅ bachche isi dhun meiṅ chala jata hai bap
Jab utarta hai sukuni pe ghira kirdar meiṅ
Muskura kar shukr ke sajde meiṅ gir jata hai bap
Dusroṅ ke kam aata hai jo har ek hal meiṅ
Dekh kar darya-dili bete ki itrata hai bap
Tamam umr ungli jise chalna sikhaya hathoṅ
Ek din agle sahare ko taras jata hai bap
Baith kar gari meiṅ gud-bye kaha aur chal diya
Zindagi bhar thokareṅ jis ke liye khata hai bap
Kar ke shadi court meiṅ dulha dulhan ho gaye
Byah ka arman liye ghar hi meiṅ reh jata hai bap
Mulk khatre meiṅ ho to sarhad pe bete ko bhej kar
Ashk ankhoṅ meiṅ bhare hathoṅ ko lehrata hai bap
Pis kar chakki khilati hai wo bachchoṅ ki maṅ
Bagh meiṅ mazduri karke ghar meiṅ jo lata hai bap
Jab thakan se chur hota hai pasina ponchh kar
Band ankheṅ karke thori der sustata hai bap
Jab tamannaoṅ ka kamyabi chume bete ke qadam
Nazr wala hai maṅ sajde meiṅ gir jata hai bap
Jab safar se laut kar beta kare jhuk kar salam
Chumti hai sar ko maṅ, sine se liptata hai bap
Khud chala pardes bachchoṅ ki hifazat ke liye
Apni ankheṅ ghar ke darwaze pe rakh jata hai bap
Zindagi bhar chalta rehta hai mashinoṅ ki tarah
Maut ki godi meiṅ ek din thak ke so jata hai bap
Kharch karti hai saliqe se use bachchoṅ pe maṅ
Khun pasina baha kar jo kama lata hai bap
Waqt karta hai jo bachchoṅ ki taraf se mutmain
Bhul kar sab ranj o gham aakhir sukuṅ pata hai bap
Umr bhar ki sari mehnat ka sila aulad se
Fatiha bas Fatiha bas Fatiha pata hai bap
Kya durust aur kya ghalat bachchoṅ ki khushiyoṅ ke liye
Jo na karna chahiye tha wo bhi kar jata hai bap
Chhor kar kashti-e-umr ko tufan meiṅ apni maṅ ke sath
Gharq ho jata hai beta takta reh jata hai bap
Zindagi bachchoṅ ki hai maṅ ke nafas par munhasir
Baithne ki ghar meiṅ fursat hi kahaṅ pata hai bap
Umr bhar rehti hai is bete ke dil meiṅ ek khalish
Jab taraqqi dekhne se pehle mar jata hai bap
Chal basa sahil pe pahuncha kar jo kashti-e-hayat
Ghar meiṅ jab koi khushi aaye to yaad aata hai bap
Waqt se pehle bichhar jaye sharik-e-zindagi
Jo faraiz maṅ ke haiṅ wo bhi baja lata hai bap
Dil se jati hi nahiṅ bichhre hue bachchoṅ ki yaad
Zindagi ko ghun ki tarah khud hi kha jata hai bap
Darda bidat hai agar mayyat pe use matam to phir
Qabr par hathoṅ ki kiuṅ ashk barsata hai bap
Rote rote ho gayin Yaqub ki ankheṅ safed
Zinda Yusuf hai to phir kiuṅ dil ko tarpata hai bap
Khol kar parh lena is ko jab koi mushkil pare
De ke ek tawiz bete ko chala jata hai bap
Kar ke naam Allah ke khud apni sari kainat
Ek bete ke liye daman ko phailata hai bap
Us ki rag rag ko pila kar apni rag rag ka lahu
Zindagi us ki wafa ke naam kar jata hai bap
Waqt par jaye to namus par fida ho jaiyo
Chalte dam Aun o Muhammad se ye farmata hai bap
God meiṅ apne bhatije ko utha kar le gaya
Nangi talwaroṅ meiṅ bete ko lita aata hai bap
Is ke hote kya bigarega Muhammad ka koi
Jo Ali se siwa bete ka kehlata hai bap
Bagham se naujawani meiṅ mar hoti hai khatm
Dasht-e-ghurbat ki baharoṅ meiṅ bhi mar jata hai bap
Jis ki ek ek sans se aati hai khushbu-e-wafa
Naam is farzand ka Abbas rakh jata hai bap
Is mujahid is muhafiz ka Abu Talib hai naam
Jis ke chehre meiṅ Muhammad ko nazar aata hai bap
Kar ke bete ke hawale nusrat-e-diṅ ka alam
Bazuoṅ ko chum kar thora sukuṅ pata hai bap
Dekh lete haiṅ Abu Talib ke chehre ki taraf
Jab kisi had se siwa Ahmad ko yaad aata hai bap
Jab talak bazu na the maut uthta hi nahiṅ
Fakhr o gham ki khai meiṅ is tarah gir jata hai bap
Rote rote bas yahi kehta hai wo haye Husain
Jab kabhi apne jawaaṅ bete ko dafnata hai bap
Jab amal karta hai beta sirat-e-Masum par
Aur bhi kuchh Sahib-e-Iqbal ho jata hai bap
Shadi ho jate hi bachche bhul jate haiṅ use
Zindagi bhar jin ki khatir thokareṅ khata hai bap
Dekh kar bete ki gardan pe chhuri ki dhar ko
Naam-e-Ismail chillati hai, samjhata hai bap
Aisa lagta hai ke do sinoṅ meiṅ hai bas ek dil
Chubhta hai bete ke baithi dil ko sehlata hai bap
Chhin leti hai ajal jab hath se bete ka hath
Zindagi bhar chupke chupke ashk barsata hai bap
Koi un bachchoṅ se puchhe kya hai shadi ka maza
Byah ki tarikh rakh kar jin ki mar jata hai bap
Apne dil pe kya guzarti hai use jane wo khud
Sab ko deta hai tasalli, sab ko samjhata hai bap
Jab na chal paye to bechari hai khud godi meiṅ maṅ
Bachcha chalta hai to khud Majlis meiṅ le jata hai bap
Le ke hathoṅ meiṅ alam kehta hua haye Husain
Aag pe chalta hai bachcha aur sukuṅ pata hai bap
Majlis-e-Shabbir meiṅ ashkoṅ ko lene ke liye
Sath meiṅ Zahra ke khud Firdaus se aata hai bap
Jab safar meiṅ apne bachchoṅ se bichhar jata hai bap
Dekh kar Mah-e-Aza maṅ torti hai churiyaṅ
Har azakhane meiṅ bachchoṅ ko liye aata hai bap
Roz-e-Ashura bana deti hai maṅ, rasta hameiṅ
Ek chhota sa uthane ko alam lata hai bap
Kuchh nahiṅ hota mayassar jab to Majlis ke liye
Bech kar bachche ghar meiṅ le aata hai bap
Har azakhane meiṅ farsh-e-Majlis-e-Shabbir par
Zainab o Kulsum ke hamrah khud aata hai bap
Qafila aata hai jab bhi laut kar pardes se
Ek bimar-e-haziṅ Sughra ko yaad aata hai bap
Alam-e-ghurbat meiṅ jab koi musafir mil gaya
Kya kahuṅ Zain-ul-Aba ko kitna yaad aata hai bap
Naujawan bete ko de to di ijazat-e-jang ki
Pichhe pichhe thokareṅ khata chala aata hai bap
Sun ke bete ki sada-e-aakhri thame kamar
"Ya Ali" kehta hua maqtal meiṅ aa jata hai bap
Naujawan bete ke sine se sinan ko khinch kar
Lash-e-maqtal se jawan ki khud utha lata hai bap
Allah Allah ek burhe tishna-lab ki bekasi
Eriyaṅ ragre hai beta dil ko sehlata hai bap
Naujawan ki lash, burha jism aur khaima bhi dur
Chalte chalte baith jata hai jo thak jata hai bap
Misl-e-Payambar, Maula, Batul, Mustafa
Ek hi banda hai jo ummat ka kehlata hai bap
Lamha lamha waqf kar deta hai bachchoṅ ke liye
Dostoṅ se apne milne ko taras jata hai bap
Ghar meiṅ ek shab ki dulhan hai muntazir naushah ki
Lash ke tukre liye maqtal se ghar aata hai bap
Uthne lagta hai dhuaṅ maqtal ki jalti ret se
Apni tanhai pe apne ashk barsata hai bap
Baad ek muddat ke tab ja kar sukuṅ pata hai bap
Fazl-e-Haq se gor ka pala jo ban jata hai bap
Pa-barahna sath bachchoṅ ke Shab-e-Ashur ko
Har azakhane meiṅ rone ke liye jata hai bap
Tin din ki tishnagi meiṅ khushk beti ki zaban
Jab dikhai hui bete ne tarap jata hai bap
Dil ko hathoṅ se sambhale hai dar-e-khaima pe maṅ
Ek shashmahe ko tiroṅ meiṅ liye jata hai bap
Tishnagi ka hai taqaza, kijiye pani talab
Aur pani mangne se kitna sharmata hai bap
Jis ne dushman ko kiya sairab bachche ke liye
Pani ki do bund ko hath apne phailata hai bap
Munh se jab kuchh bhi na keh paya to jalti ret par
Dushmanoṅ ke samne bachche ko rakh aata hai bap
Zalzala aaya zamin ko asman tharra gaya
Bachche hathoṅ par liye khamosh reh jata hai bap
Khinch kar nawak gale se mal ke chehre par lahu
Chaunk uthta hai lab bhi gardan ko sehlata hai bap
Marsiya parhti hai us ke hal pe khud bekasi
Khod kar jab qabr ek bachche ko dafnata hai bap
Qabr par pani na koi phul na koi chiragh
Chand ansu khushk ankhoṅ se chhirak aata hai bap
Khun meiṅ tar bachche ki mayyat dekh kar Ashur ko
Chikh uthti insaniyat aur marsiya farmata hai bap
Pani ke badle gale par tir bachche ke laga
Dekh kar bachche ki gardan ko tarap jata hai bap
Kya bata sakta hai is beti ka koi martaba
Jis ke istiqbal ko mimbar se uth jata hai bap
Pani hai ghar ke faide jo rizq Allah ko
Dar pe is beti ke karke khud salam aata hai bap
Jab kisi beti se maṅ ka pyar pata hai yatim
Ho ke khush Umm-e-Abiha is ko farmata hai bap
Ashkoṅ ke sailab meiṅ dubi hui haiṅ putliyaṅ
Ek ek ansu meiṅ beti ko nazar aata hai bap
Sar khule jata hai bhuka Sham ke darbar meiṅ
Sabr karna sabr ye keh kar chala jata hai bap
Sar idhar mange chhuri qasid udhar mange jawab
Parh ke khat-e-bimar ka anjuman meiṅ parh jata hai bap
Jis ne dushman ko kiya sairab bachche ke liye
Pani ki do bund wo apne hath phailata hai bap
Ro ke Zainab ne kaha Baba bhara lut gaya
Jab Shab-e-Sham-e-Gharibaṅ meiṅ nazar aata hai bap
Kya kahunga hal-e-Asghar puchh baithe jo Rabab
Aage jata hai kabhi pichhe palat aata hai bap
Shan meiṅ Umm-e-Abiha us ki farmata hai bap
Jis ki chadar ke tale aa kar sukuṅ pata hai bap
Mangne aai hai jab darbar meiṅ jab bagh-e-Fadak
Gham-zada beti ko jane kitna yaad aata hai bap
Kal isi darbar meiṅ uthte the sab tazim ko
Hal ye hota hai istighasa kar reh jata hai bap
Zard chehra khushk-lab aur kanpti haiṅ putliyaṅ
Chhin gaya wo bagh jo beti ko de jata hai bap
Gunjti hai shab ke sannate meiṅ beti ki sada
Shisha-e-Sham-e-Gharibaṅ meiṅ nazar aata hai bap
Der tak roti hai Sughra aur Sakina ke liye
Jab kisi bichhri hui beti ko yaad aata hai bap
Hone hi wali hai is Sham-e-Gharibaṅ ki sahar
Bazuoṅ ko chum kar beti ko samjhata hai bap
Jo sada sine pe soti thi use hangam-e-Asr
Karbala ki jalti reti pe sula jata hai bap
Qaid-khane meiṅ hua kohram, bachchi mar gai
Khwab meiṅ ek shab Sakina ko nazar aata hai bap
Ye azadari ka sadqa hai jo Barzakh meiṅ Raza
Majlisoṅ meiṅ rote haiṅ hum aur jaza pata hai bap
دن ڈھلے جب کر کے مزدوری رضا آتا ہے باپ
دن ڈھلے جب کرے مزدوری رضا آتا ہے باپ
دیکھ کر ہنستے ہوئے بچوں کو سکھ پاتا ہے باپ
سامنے آنکھوں کے جس بیٹے کے مرجاتا ہے باپ
لمحہ لمحہ زندگی بھر اس کو یاد آتا ہے باپ
قدر و قیمت جب پتا چلتی ہے ماں اور باپ کی
جب خدا کے فضل سے انسان بن جاتا ہے باپ
ایک بچے کی طلب میں چھوڑ کر آرام و چین
جانے کس کس در پہ منت مانگنے جاتا ہے باپ
خانقاہ و مندر و مسجد، عزاخانہ کبھی
پیر و صوفی، منقبت و ملاؤں کے گھر جاتا ہے باپ
جب تلک بچہ نہ ہو کامِ ضرورت کا لئے
بس خدا جانے کہ کتنی ٹھوکریں کھاتا ہے باپ
ایسا لگتا ہے کہ جیسے چل رہی ہے کائنات
گھنٹوں چلتے ہوئے بچے کو جب پاتا ہے باپ
جانے کتنے خواب کرتے ہیں سفر بچے کے ساتھ
گھر سے پہلی بار جب اسکول لے جاتا ہے باپ
دیکھتا ہے خواب جنگی زندگی کے واسطے
اگلی ہی آنکھوں نہ جانے کتنے دکھ پاتا ہے باپ
لب لباتی لیتی گاڑی آف شعلہ روش میں
در بہ در ہے شام و سحر پھرتا نظر آتا ہے باپ
لمحہ لمحہ وقف کر کے گود کے بالوں کے نام
ہاتھ خالی دارِ فانی سے چلا جاتا ہے باپ
گھر کے پالوں کا مستقبل بنانے کے لئے
وقت کی منڈی میں سستے دام بک جاتا ہے باپ
کھیت، رشتہ، دفتر، مل، کارخانے اور دکان
اپنی اک اک سانس ان کے نام کر جاتا ہے باپ
بیوی اور بچوں کو جو بھی ہو کھلا کر پیار سے
کر کے کوئی بھی بہانہ بھوکا سو جاتا ہے باپ
ہر خوشی کو یوں جکڑ لیتی ہے زنجیرِ معاش
مسکرانے کو بھی ایسے میں ترس جاتا ہے باپ
زندگی اسی اٹھ جاتی ہے بچوں کے لئے
گھن کی طرح رفتہ رفتہ خود کو کھا جاتا ہے باپ
کانپتی ہیں پتلیاں بچوں ہی کی فکر میں مگر
جو کمایا تھا وہ سب خیرات کر آتا ہے باپ
ہاتھ خالی جیب خالی بھوکے بچوں کی طرف
خم کئے گردن پریشان حال گھر آتا ہے باپ
جب سزا دیتا ہے بچے کو تو اس کو مار کر
دل ہی دل میں جانے کتنی دیر پچھتاتا ہے باپ
خونِ دل آنکھوں سے بہتا ہے کھلونے دیکھ کر
گاؤں کے میلے میں جب بچے کو لے جاتا ہے باپ
دیکھ کر کوئی کھلونا جب مچلتا ہے پسر
دیکھ کر یہ منظر تو شرماتا ہے باپ
پہلے دیتا ہے تسلی پھر بہانے اور پھر
مفلسی پہ اپنی پہروں اشک برساتا ہے باپ
ہر تمنا، ہر خوشی، کل حسرتیں، ہر آرزو
اپنے بچوں کی خوشی کے نام کر جاتا ہے باپ
پوری کرنے خواہشیں اپنے جگر کے چین کی
اپنی ساری زندگی قربان کرجاتا ہے باپ
ایک دن ہائے نظر انداز کردیتا ہے وہ
بیچ کر اپنا لہو جس کو غذا لاتا ہے باپ
زندگی کیسے گزرتی ہے یہ ان سے پوچھئے
کسی میں چھوڑ کر جگنو مر جاتا ہے باپ
باندھتا ہے سر پہ جب سہرا امیدوں کا چراغ
دیر تک خود اپنی خوش بختی پہ اتراتا ہے باپ
روح سے ہے روح کا کچھ اتنا گہرا رابطہ
لگتی ہے بچے کو ٹھوکر اور گر جاتا ہے باپ
باندھ کر سہرا جو بیٹا ماں کو کرتا ہے سلام
ماں کو ہر آنسو میں بیٹے کا نظر آتا ہے باپ
جب بچھڑ جاتے ہیں بچے چھین لیتے ہیں سکوں
کتنے انجانے خیالوں میں الجھ جاتا ہے باپ
نام کرتے ہیں جو روشن بچے اپنے ملک کا
کوششوں پہ اپنی اس دم فخر فرماتا ہے باپ
دیکھ کر اک خواب میدان میں فرزند کو
فوج کر جانے کے لئے خود گھر سے لے آتا ہے باپ
عید کی پوشاک بچوں کو جو منگواتی ہے ماں
سجدۂ معبود میں خوش ہو کے گر جاتا ہے باپ
زندگی ساری کھپا دیتا ہے بچوں کے لئے
اپنے ماں اور باپ کی خدمت نہ کر پاتا ہے باپ
زندگی کا وزن ڈھوتے ڈھوتے اپنی پشت پر
خوش رہیں بچے اسی دھن میں چلا جاتا ہے باپ
جب اترتا ہے سکونی پہ گھرا کردار میں
مسکرا کر شکر کے سجدے میں گر جاتا ہے باپ
دوسروں کے کام آتا ہے جو ہر اک حال میں
دیکھ کر دریا دلی بیٹے کی اتراتا ہے باپ
تمام عمر انگلی جسے چلنا سکھایا ہاتھوں
ایک دن اگلے سہارے کو ترس جاتا ہے باپ
بیٹھ کر گاڑی میں گڈ بائی کہا اور چل دیا
زندگی بھر ٹھوکریں جس کے لئے کھاتا ہے باپ
کر کے شادی کورٹ میں دولہا دلہن ہوگئے
بیاہ کا ارمان لئے گھر ہی میں رہ جاتا ہے باپ
ملک خطرے میں ہو تو سرحد پہ بیٹے کو بھیج کر
اشک آنکھوں میں بھرے ہاتھوں کو لہراتا ہے باپ
پیس کر چکی کھلاتی ہے وہ بچوں کی ماں
باغ میں مزدوری کرکے گھر میں جو لاتا ہے باپ
جب تھکن سے چور ہوتا ہے پسینہ پونچھ کر
بند آنکھیں کرکے تھوڑی دیر سستاتا ہے باپ
جب تمناؤں کا کامیابی چومے بیٹے کے قدم
نذر والا ہے ماں سجدے میں گر جاتا ہے باپ
جب سفر سے لوٹ کر بیٹا کرے جھک کر سلام
چومتی ہے سر کو ماں، سینے سے لپٹاتا ہے باپ
خود چلا پردیس بچوں کی حفاظت کے لئے
اپنی آنکھیں گھر کے دروازے پہ رکھ جاتا ہے باپ
زندگی بھر چلتا رہتا ہے مشینوں کی طرح
موت کی گودی میں اک دن تھک کے سوجاتا ہے باپ
خرچ کرتی ہے سلیقے سے اسے بچوں پہ ماں
خون پسینہ بہا کر جو کما لاتا ہے باپ
وقت کرتا ہے جو بچوں کی طرف سے مطمئن
بھول کر سب رنج و غم آخر سکوں پاتا ہے باپ
عمر بھر کی ساری محنت کا صلہ اولاد سے
فاتحہ بس فاتحہ بس فاتحہ پاتا ہے باپ
کیا درست اور کیا غلط بچوں کی خوشیوں کے لئے
جو نہ کرنا چاہئے تھا وہ بھی کرجاتا ہے باپ
چھوڑ کر کشتی عمر کو طوفان میں اپنی ماں کے ساتھ
غرق ہو جاتا ہے بیٹا تکتا رہ جاتا ہے باپ
زندگی بچوں کی ہے ماں کے نفس پر منحصر
بیٹھنے کی گھر میں فرصت ہی کہاں پاتا ہے باپ
عمر بھر رہتی ہے اس بیٹے کے دل میں اک خلش
جب ترقّی دیکھنے سے پہلے مرجاتا ہے باپ
چل بسا ساحل پہ پہنچا کر جو کشتیِ حیات
گھر میں جب کوئی خوشی آئے تو یاد آتا ہے باپ
وقت سے پہلے بچھڑ جائے شریکِ زندگی
جو فرائض ماں کے ہیں وہ بھی بجا لاتا ہے باپ
دل سے جاتی ہی نہیں بچھڑے ہوئے بچوں کی یاد
زندگی کو گھن کی طرح خود ہی کھا جاتا ہے باپ
دردا بدعت ہے اگر میت پہ اسے ماتم تو پھر
قبر پر ہاتھوں کی کیوں اشک برساتا ہے باپ
روتے روتے ہوگئیں یعقوبؑ کی آنکھیں سفید
زندہ یوسفؑ ہے تو پھر کیوں دل کو تڑپاتا ہے باپ
کھول کر پڑھ لینا اس کو جب کوئی مشکل پڑے
دے کے ایک تعویذ بیٹے کو چلا جاتا ہے باپ
کر کے نام اللہ کے خود اپنی ساری کائنات
ایک بیٹے کے لئے دامن کو پھیلاتا ہے باپ
اس کی رگ رگ کو پلا کر اپنی رگ رگ کا لہو
زندگی اس کی وفا کے نام کر جاتا ہے باپ
وقت پڑ جائے تو ناموس پر فدا ہو جائیو
چلتے دم عونؑ و محمدؑ سے یہ فرماتا ہے باپ
گود میں اپنے بھتیجے کو اٹھا کر لے گیا
ننگی تلواروں میں بیٹے کو لٹا آتا ہے باپ
اسکے ہوتے کیا بگاڑے گا محمدؐ کا کوئی
جو علیؑ سے سوا بیٹے کا کہلاتا ہے باپ
باغم سے نوجوانی میں مر ہوتی ہے ختم
دشتِ غربت کی بہاروں میں بھی مرجاتا ہے باپ
جس کی اک اک سانس سے آتی ہے خوشبوئے وفا
نام اس فرزند کا عباسؑ رکھ جاتا ہے باپ
اس مجاہد اس محافظ کا ابوطالبؑ ہے نام
جس کے چہرے میں محمدؐ کو نظر آتا ہے باپ
کر کے بیٹے کے حوالے نصرتِ دیں کا علم
بازوؤں کو چوم کر تھوڑا سکوں پاتا ہے باپ
دیکھ لیتے ہیں ابو طالبؑ کے چہرے کی طرف
جب کسی حد سے سوا احمدؐ کو یاد آتا ہے باپ
جب تلک بازو نہ تھے موت اٹھتا ہی نہیں
فخر و غم کی کھائی میں اس طرح گر جاتا ہے باپ
روتے روتے بس یہی کہتا ہے وہ ہائے حسینؑ
جب کبھی اپنے جواں بیٹے کو دفناتا ہے باپ
جب عمل کرتا ہے بیٹا سیرتِ معصومؑ پر
اور بھی کچھ صاحبِ اقبال ہوجاتا ہے باپ
شادی ہوجاتے ہی بچے بھول جاتے ہیں اسے
زندگی بھر جن کی خاطر ٹھوکریں کھاتا ہے باپ
دیکھ کر بیٹے کی گردن پہ چھری کی دھار کو
نامِ اسماعیلؑ چلاتی ہے، سمجھاتا ہے باپ
ایسا لگتا ہے کہ دو سینوں میں ہے بس ایک دل
چھبتا ہے بیٹے کے بیٹھی دل کو سہلاتا ہے باپ
چھین لیتی ہے اجل جب ہاتھ سے بیٹے کا ہاتھ
زندگی بھر چپکے چپکے اشک برساتا ہے باپ
کوئی ان بچوں سے پوچھے کیا ہے شادی کا مزا
بیاہ کی تاریخ رکھ کر جن کی مرجاتا ہے باپ
اپنے دل پہ کیا گزرتی ہے اسے جانے وہ خود
سب کو دیتا ہے تسلی، سب کو سمجھاتا ہے باپ
جب نہ چل پائے تو بیچاری ہے خود گودی میں ماں
بچہ چلتا ہے تو خود مجلس میں لے جاتا ہے باپ
لیکے ہاتھوں میں علم کہتا ہوا ہائے حسینؑ
آگ پہ چلتا ہے بچہ اور سکوں پاتا ہے باپ
مجلسِ شبیرؑ میں اشکوں کو لینے کے لیے
ساتھ میں زہراؑ کے خود فردوس سے آتا ہے باپ
جب سفر میں اپنے بچوں سے بچھڑ جاتا ہے باپ
دیکھ کر ماہِ عزا ماں توڑتی ہے چوڑیاں
ہر عزاخانے میں بچوں کو لئے آتا ہے باپ
روز عاشورا بنا دیتی ہے ماں، رستہ ہمیں
ایک چھوٹا سا اٹھانے کو علم لاتا ہے باپ
کچھ نہیں ہوتا میسر جب تو مجلس کے لئے
بیچ کر بچے گھر میں لے آتا ہے باپ
ہر عزاخانے میں فرشِ مجلس شبیرؑ پر
زینبؑ و کلثومؑ کے ہمراہ خود آتا ہے باپ
قافلہ آتا ہے جب بھی لوٹ کر پردیس سے
ایک بیمار حزیں صغرا کو یاد آتا ہے باپ
عالمِ غربت میں جب کوئی مسافر مل گیا
کیا کہوں زین العبا کو کتنا یاد آتا ہے باپ
نوجوان بیٹے کو دے تو دی اجازتِ جنگ کی
پیچھے پیچھے ٹھوکریں کھاتا چلا آتا ہے باپ
سن کے بیٹے کی صدائے آخری تھامے کمر
"یا علیؑ" کہتا ہوا مقتل میں آجاتا ہے باپ
نوجوان بیٹے کے سینے سے سنان کو کھینچ کر
لاشِ مقتل سے جوان کی خود اٹھا لاتا ہے باپ
اللہ اللہ ایک بوڑھے تشنہ لب کی بے کسی
ایڑیاں رگڑے ہے بیٹا دل کو سہلاتا ہے باپ
نوجوان کی لاش بوڑھا جسم اور خیمہ بھی دور
چلتے چلتے بیٹھ جاتا ہے جو تھک جاتا ہے باپ
مثلِ پیغمبرؐ، مولا، بتولؑ، مصطفیٰؐ
ایک ہی بندہ ہے جو امت کا کہلاتا ہے باپ
لمحہ لمحہ وقف کردیتا ہے بچوں کے لئے
دوستوں سے اپنے ملنے کو ترس جاتا ہے باپ
گھر میں اک شب کی دلہن ہے منتظر نوشاہ کی
لاش کے ٹکڑے لئے مقتل سے گھر آتا ہے باپ
اٹھنے لگتا ہے دھواں مقتل کی جلتی ریت سے
اپنی تنہائی پہ اپنے اشک برساتا ہے باپ
بعد اک مدت کے تب جا کر سکوں پاتا ہے باپ
فضلِ حق سے گور کا پالا جو بن جاتا ہے باپ
پا برہنہ ساتھ بچوں کے شبِ عاشور کو
ہر عزاخانے میں رونے کے لئے جاتا ہے باپ
تین دن کی تشنگی میں خشک بیٹی کی زبان
جب دکھائی ہوئی بیٹے نے تڑپ جاتا ہے باپ
دل کو ہاتھوں سے سنبھالے ہے درِ خیمہ پہ ماں
ایک ششماہے کو تیروں میں لئے جاتا ہے باپ
تشنگی کا ہے تقاضا، کیجئے پانی طلب
اور پانی مانگنے سے کتنا شرماتا ہے باپ
جس نے دشمن کو کیا سیراب بچے کے لئے
پانی کی دو بوند کو ہاتھ اپنے پھیلاتا ہے باپ
منہ سے جب کچھ بھی نہ کہہ پایا تو جلتی ریت پر
دشمنوں کے سامنے بچے کو رکھ آتا ہے باپ
زلزلہ آیا زمین کو آسمان تھرا گیا
بچے ہاتھوں پر لئے خاموش رہ جاتا ہے باپ
کھینچ کر ناوک گلے سے مل کے چہرے پر لہو
چونک اٹھتا ہے لب بھی گردن کو سہلاتا ہے باپ
مرثیہ پڑھتی ہے اسکے حال پہ خود بے کسی
کھود کر جب قبر اک بچے کو دفناتا ہے باپ
قبر پر پانی نہ کوئی پھول نہ کوئی چراغ
چند آنسو خشک آنکھوں سے چھڑک آتا ہے باپ
خون میں تر بچے کی میت دیکھ کر عاشور کو
چیخ اٹھتی انسانیت اور مرثیہ فرماتا ہے باپ
پانی کے بدلے گلے پر تیر بچے کے لگا
دیکھ کر بچے کی گردن کو تڑپ جاتا ہے باپ
کیا بتا سکتا ہے اس بیٹی کا کوئی مرتبہ
جس کے استقبال کو منبر سے اٹھ جاتا ہے باپ
پانی ہے گھر کے فائدے جو رزق اللہ کو
در پہ اس بیٹی کے کرکے خود سلام آتا ہے باپ
جب کسی بیٹی سے ماں کا پیار پاتا ہے یتیم
ہو کے خوش اُمِّ ابیہا اس کو فرماتا ہے باپ
اشکوں کے سیلاب میں ڈوبی ہوئی ہیں پتلیاں
ایک اک آنسو میں بیٹی کو نظر آتا ہے باپ
سر کھلے جاتا ہے بھوکا شام کے دربار میں
صبر کرنا صبر یہ کہہ کر چلا جاتا ہے باپ
سر ادھر مانگے چھری قاصد ادھر مانگے جواب
پڑھ کے خطِ بیمار کا انجمن میں پڑھ جاتا ہے باپ
جس نے دشمن کو کیا سیراب بچے کے لئے
پانی کی دو بوند وہ اپنے ہاتھ پھیلاتا ہے باپ
رو کے زینبؑ نے کہا بابا بھرا لٹ گیا
جب شبِ شامِ غریباں میں نظر آتا ہے باپ
کیا کہوں گا حال اصغرؑ پوچھ بیٹھے جو ربابؑ
آگے جاتا ہے کبھی پیچھے پلٹ آتا ہے باپ
شان میں امِ ابیہا اُسکی فرماتا ہے باپ
جسکی چادر کے تلے آ کر سکوں پاتا ہے باپ
مانگنے آئی ہے جب دربار میں جب باغِ فدک
غم زدہ بیٹی کو جانے کتنا یاد آتا ہے باپ
کل اسی دربار میں اٹھتے تھے سب تعظیم کو
حال یہ ہوتا ہے استغاثہ کر رہ جاتا ہے باپ
زرد چہرہ خشک لب اور کانپتی ہیں پتلیاں
چھین گیا وہ باغ جو بیٹی کو دے جاتا ہے باپ
گونجتی ہے شب کے سناٹے میں بیٹی کی صدا
شیشۂ شامِ غریباں میں نظر آتا ہے باپ
دیر تک روتی ہے صغرا اور سکینہ کے لئے
جب کسی بچھڑی ہوئی بیٹی کو یاد آتا ہے باپ
ہونے ہی والی ہے اس شامِ غریباں کی سحر
بازوؤں کو چوم کر بیٹی کو سمجھاتا ہے باپ
جو سدا سینے پہ سوتی تھی اسے ہنگامِ عصر
کربلا کی جلتی ریتی پہ سلا جاتا ہے باپ
قید خانے میں ہوا کہرام، بچی مر گئی
خواب میں اک شب سکینہ کو نظر آتا ہے باپ
یہ عزاداری کا صدقہ ہے جو برزخ میں رضا
مجلسوں میں روتے ہیں ہم اور جزا پاتا ہے باپ