Mutafarriqat-o-Qaumiyat · 47
شاعری / مولانا راہی
Shairi / Maulana Rahi
Show


Shairi / Maulana Rahi
Ye muft meiṅ shohrat ki hawa kis ne chalai hai
Kuchh ho ke na ho hum ne magar shairi ki hai
Shair haiṅ magar shairi ke ilm se azad
Kehte haiṅ ke wasl to kya chiz rawi hai
Kya wazn kisi lafz ka hai aur mahal kya
Kis ja raddi hai koi kis ja sababi hai
Jab qafiya-paimai meiṅ aaye to na dekha
Ita-e-jali hai ke ye ita-e-khafi hai
Kya husn hai alfaz ki tartib meiṅ kya aib
Tarkib-e-izafi hai bayan ya sifati hai
Kuchh fikr zaruri hai na kuchh ilm zaruri
Kuchh bhi na sahi muft meiṅ shohrat to hui hai
Kuchh Ahl-e-Kalam aise bhi aaye haiṅ nazar meiṅ
Khud bhi na samajh payeṅ ke kya baat kahi hai
Maruf ko tarannum se kar angusht-numa pao
Auzan meiṅ sheroṅ ke jo koi ghalti hai
Chhupaya hua bazm meiṅ ek paye ka shair
Bechare ki wo bazm hi ab charagari hai
Maujud radif is meiṅ ho aur qafiya ghaib
Wo nazm bhi mahfil meiṅ kabhi hum ne suni hai
Ghairoṅ ki sunate haiṅ ghazal apni bata kar
Is par ye dhitai ke abhi taza kahi hai
Zahir ye hua hai kabhi andaz-e-ada se
Chori ki hai ya likh kar kisi aur ne di hai
Jo bazm-e-adib aise hi afrad ki hogi
Is bazm meiṅ jana bhi mere beadabi hai
Haṅ madhat-e-Masum meiṅ ba-jazba-e-taqwa
Lekin koi dare parhe baat bhali hai
Kehlate haiṅ jo Ahl-e-Adab un ki bhi suniye
Na-Haq jo kuchh baat wohi baat bani hai
Alfaz hoṅ benazm to kehlati hai wo nazm
Duniya ke adiboṅ ne bhi kya khub ghari hai
Ho ghair-shuuri to use kehte haiṅ sab sher
Jo naguftani hai wohi husn-e-sukhan hai
Tawahhum-e-ghalat ho to wo talil ka hai husn
Mumkin jo na ho sher meiṅ mumkin wo hui hai
Kya aur kahuṅ bazm ye jis tarah hai aaj
Is tarah ke misre meiṅ bhi kuchh baat kahi hai
Taswir ko dekha na Rasul-e-Arabi ko
Kuchh bhi ho is tarah pe kehna jo mili hai
Dekha ho na dekha ho magar bazm meiṅ keh do
Wallah ye taswir Rasul-e-Arabi hai
Pahuncha tha yahaṅ tak to kaha dil ne ke Rahi
Is rah pe aa ja jo teri rah rahi hai
شاعری / مولانا راہی
یہ مفت میں شہرت کی ہوا کس نے چلائی ہے
کچھ ہو کہ نہ ہو ہم نے مگر شاعری کی ہے
شاعر ہیں مگر شاعری کے علم سے آزاد
کہتے ہیں کہ وصل تو کیا چیز روی ہے
کیا وزن کسی لفظ کا ہے اور محل کیا
کس جا ردی ہے کوئی کس جا سببی ہے
جب قافیہ پیمائی میں آئے تو نہ دیکھا
ایطائے جلی ہے کہ یہ ایطائے خفی ہے
کیا حسن ہے الفاظ کی ترتیب میں کیا عیب
ترکیب اضافی ہے بیان یا صفتی ہے
کچھ فکر ضروری ہے نہ کچھ علم ضروری
کچھ بھی نہ سہی مفت میں شہرت تو ہوئی ہے
کچھ اہلِ کلام ایسے بھی آئے ہیں نظر میں
خود بھی نہ سمجھ پائیں کہ کیا بات کہی ہے
معروف کو ترنم سے کر انگشت نما پاؤ
اوزان میں شعروں کے جو کوئی غلطی ہے
چھپایا ہوا بزم میں اک پائے کا شاعر
بے چارے کی وہ بزم ہی اب چارہ گری ہے
موجود ردیف اس میں ہو اور قافیہ غائب
وہ نظم بھی محفل میں کبھی ہم نے سنی ہے
غیروں کی سناتے ہیں غزل اپنی بتا کر
اس پر یہ ڈھٹائی کہ ابھی تازہ کہی ہے
ظاہر یہ ہوا ہے کبھی اندازِ ادا سے
چوری کی ہے یا لکھ کر کسی اور نے دی ہے
جو بزم ادیب ایسے ہی افراد کی ہوگی
اس بزم میں جانا بھی مرے بے ادبی ہے
ہاں مدحتِ معصوم میں با جذبۂ تقویٰ
لیکن کوئی ڈرے پڑھے بات بھلی ہے
کہلاتے ہیں جو اہلِ ادب ان کی بھی سنیے
ناحق جو کچھ بات وہی بات بنی ہے
الفاظ ہوں بے نظم تو کہلاتی ہے وہ نظم
دنیا کے ادیبوں نے بھی کیا خوب گھڑی ہے
ہو غیر شعوری تو اسے کہتے ہیں سب شعر
جو ناگفتنی ہے وہی حسنِ سخن ہے
توہّمِ غلط ہو تو وہ تعلیل کا ہے حسن
ممکن جو نہ ہو شعر میں ممکن وہ ہوئی ہے
کیا اور کہوں بزم یہ جس طرح ہے آج
اس طرح کے مصرعے میں بھی کچھ بات کہی ہے
تصویر کو دیکھا نہ رسولِ عربیؐ کو
کچھ بھی ہو اس طرح پہ کہنا جو ملی ہے
دیکھا ہو نہ دیکھا ہو مگر بزم میں کہہ دو
واللہ یہ تصویر رسولِ عربیؐ ہے
پہنچا تھا یہاں تک تو کہا دل نے کہ راہی
اس راہ پہ آجا جو تری راہ رہی ہے