Mutafarriqat-o-Qaumiyat · 42
سید سبط جعفر زیدی
Syed Sibt Jafar Zaidi
Source pages:438
Show

Hajiyo mubarak ho
Syed Sibt Jafar Zaidi
Hajiyo mubarak ho tum Khuda ke ghar aaye
Ki ziyarat Kaaba aur Haji kehlaye
Jannat-ul-Baqia meiṅ madfan jo qabreṅ haiṅ
Un se faiz pate haiṅ do jahaṅ ke gharane
Rauza-e-Rasul-e-Khuda, rashk-e-Jannat-ul-Firdaus
Kash har Musalmaṅ ko Haq Taala dikhlaye
Kya karunga itna ke bhant dunga apnoṅ meiṅ
Ye jo shukr keh kar ghar janal meiṅ sunaye
Jite ji use Jannat mil gayi hai duniya meiṅ
Jis ko Kaaba o Taiba gali wala bulaye
Makka aur Madina ke baad Sham aur Iran
Phir Iraq bhi tum ko Kirdigar pahunchaye
حاجیو مبارک ہو
سید سبط جعفر زیدی
حاجیو مبارک ہو تم خدا کے گھر آئے
کی زیارت کعبہ اور حاجی کہلائے
جنت البقیعہ میں مدفن جو قبریں ہیں
ان سے فیض پاتے ہیں دو جہاں کے گھرانے
روضۂ رسولؐ خدا، رشکِ جنت الفردوس
کاش ہر مسلماں کو حق تعالیٰ دکھلائے
کیا کروں گا اتنا کہ بھانت دوں گا اپنوں میں
یہ جو شکر کہہ کر گھر جنال میں سنائے
جیتے جی اسے جنت مل گئی ہے دنیا میں
جس کو کعبہ و طیبہ گلی والا بلائے
مکہ اور مدینہ کے بعد شام اور ایران
پھر عراق بھی تم کو کردگار پہنچائے