Mutafarriqat-o-Qaumiyat · 28
خالقِ باری کے سر ساری خلقت کا سہرا
Khaliq-e-Bari ke sar sari khilqat ka sehra
Show


Khaliq-e-Bari ke sar sari khilqat ka sehra
Sibt Jafar Zaidi
Khaliq-e-Bari ke sar sari khilqat ka sehra
Pyare Muhammad ke mathe par khatm-e-nabuwwat ka sehra
Maula-e-Ali ke sar par hai imamat aur wilayat ka sehra
Bibi Khadija ke sar par isar aur khidmat ka sehra
Aur Abu Talib ke sar par Haq ki himayat ka sehra
Fatima Zahra ke sar par hai ismat o iffat ka sehra
Maula Hasan ke sar par tawazu aur murawwat ka sehra
Aur Husain ke sar par hai siyadat aur shahadat ka sehra
Abid-e-Mazlum ke sar par hai sabr o ibadat ka sehra
Maula Baqir ke sar par hai ilm ki wusat ka sehra
Jafar Sadiq ke sar par hai Haq o sadaqat ka sehra
Musa Kazim ke sar par hai zabt o hidayat ka sehra
Shah-e-Tus ke sar par hai din o hukumat ka sehra
Maula Naqi ke sar par taqwa aur sakhawat ka sehra
Hai jo Naqi ke sar par hai taqwa aur sharafat ka sehra
Askari ke sar par hai Khuda ki fauj aur taqat ka sehra
Qaim-e-Aal-e-Muhammad ke sar muhabbat o ghaibat ka sehra
Abbas o Zainab ke sar par azm o itaat ka sehra
Akbar o Qasim ke sar par hai Haq ki nusrat ka sehra
Nanhe Ali Asghar ke sar par hai shahadat ki hifazat ka sehra
Ruqayya aur Anwar ke sar par lutf o inayat ka sehra
Mohsin aur Tabinda ke sar par mail-e-muhabbat ka sehra
Sibt Jafar ke sar par hai Aal ki madhat ka sehra
خالقِ باری کے سر ساری خلقت کا سہرا
سبط جعفر زیدی
خالقِ باری کے سر ساری خلقت کا سہرا
پیارے محمدؐ کے ماتھے پر ختمِ نبوت کا سہرا
مولائے علیؑ کے سر پر ہے امامت اور ولایت کا سہرا
بیبی خدیجہؑ کے سر پر ایثار اور خدمت کا سہرا
اور ابو طالب کے سر پر حق کی حمایت کا سہرا
فاطمہ زہرا کے سر پر ہے عصمت و عفت کا سہرا
مولا حسنؑ کے سر پر تواضع اور مروت کا سہرا
اور حسینؑ کے سر پر ہے سیادت اور شہادت کا سہرا
عابدِ مظلوم کے سر پر ہے صبر و عبادت کا سہرا
مولا باقرؑ کے سر پر ہے علم کی وسعت کا سہرا
جعفر صادقؑ کے سر پر ہے حق و صداقت کا سہرا
موسیٰ کاظمؑ کے سر پر ہے ضبط و ہدایت کا سہرا
شاہِ طوس کے سر پر ہے دین و حکومت کا سہرا
مولا نقیؑ کے سر پر تقویٰ اور سخاوت کا سہرا
ہے جو نقیؑ کے سر پر ہے تقویٰ اور شرافت کا سہرا
عسکریؑ کے سر پر ہے خدا کی فوج اور طاقت کا سہرا
قائمِ آلِ محمدؐ کے سر محبت و غیبت کا سہرا
عباسؑ و زینبؑ کے سر پر عزم و اطاعت کا سہرا
اکبرؑ و قاسمؑ کے سر پر ہے حق کی نصرت کا سہرا
ننھے علی اصغرؑ کے سر پر ہے شہادت کی حفاظت کا سہرا
رقیہ اور انوار کے سر پر لطف و عنایت کا سہرا
محسن اور تابندہ کے سر پر میلِ محبت کا سہرا
سبط جعفر کے سر پر ہے آل کی مدحت کا سہرا