Mutafarriqat-o-Qaumiyat · 8
متحد ہوگئے کفار شبِ ہجرت میں
Muttahid ho gaye kuffar Shab-e-Hijrat meiṅ
Source pages:407
Show

Muttahid ho gaye kuffar Shab-e-Hijrat meiṅ
Shadaṅ Dehlavi
Muttahid ho gaye kuffar Shab-e-Hijrat meiṅ
Haq ke the dar-pay-e-azar Shab-e-Hijrat meiṅ
Ek lashkar diya tartib ke jis meiṅ shamil
Har qabile ka tha Sardar Shab-e-Hijrat meiṅ
Gher kar charoṅ taraf se wo Payambar ka makan
Qatl-e-Hazrat pe the tayyar Shab-e-Hijrat meiṅ
Azim-e-tark-e-watan ho gaya Khaliq ka Rasul
Hue halat jo dushwar Shab-e-Hijrat meiṅ
Pas jis jis ki amanat thi Ali ko saunpi
Ho gaye aap subukbar Shab-e-Hijrat meiṅ
Chain ki nind Ali sote rahe bistar par
Dushmanoṅ ne kya bedar Shab-e-Hijrat meiṅ
Sans se farishtoṅ ke is isar pe fakhr
Kiya gaya Nafs-e-Ali marzi-e-Dawar ke iwaz
dekhiye Garmi-e bazar shab-e Shab-e-Hijrat meiṅ
متحد ہوگئے کفار شبِ ہجرت میں
شاداں دہلوی
متحد ہوگئے کفار شبِ ہجرت میں
حق کے تھے درپے آزار شبِ ہجرت میں
ایک لشکر دیا ترتیب کہ جس میں شامل
ہر قبیلے کا تھا سردار شبِ ہجرت میں
گھیر کر چاروں طرف سے وہ پیمبرؐ کا مکان
قتلِ حضرت پہ تھے تیار شبِ ہجرت میں
عازمِ ترکِ وطن ہوگیا خالق کا رسولؐ
ہوئے حالات جو دشوار شبِ ہجرت میں
پاس جس جس کی امانت تھی علیؑ کو سونپی
ہوگئے آپ سبکبار شبِ ہجرت میں
چین کی نیند علیؑ سوتے رہے بستر پر
دشمنوں نے کیا بیدار شبِ ہجرت میں
سانس سے فرشتوں کے اس ایثار پہ فخر
کیا گیا نفسِ علیؑ مرضیِ داور کے عوض
دیکھئے گرمیِ بازار شبِ ہجرت میں