Mutafarriqat-o-Qaumiyat · 1
یا کاشف اسرار مدد کیجئے میری
Ya Kashif-e-Asrar madad kijiye meri
Show



Mutafarriqat o Qaumiyat
Ya Kashif-e-Asrar madad kijiye meri
Quran / Hazrat Rafiq Rizvi
Ya Kashif-e-Asrar madad kijiye meri
Ya Syed o Salar madad kijiye meri
Ya kul ke madadgar madad kijiye meri
Ya Haider-e-Karrar madad kijiye meri
Muddat se mujhe chashm-e-tawajjuh ki talab hai
Maiṅ banda-e-nachiz saliqa na adab hai
Ehsan zara Arsh-nashiṅ, farsh-nashiṅ par
Ek khas tawajjuh ho mere qalb-e-haziṅ par
Karna hai mujhe guftagu Quran-e-Mubiṅ par
Darta huṅ ke gumrah na ho jaun kahiṅ par
Phuloṅ ki mahak de na sitaroṅ ki ziya de
Is zehn-e-Haq-agah ki taufiq barha de
Harun ka qissa na Sulaiman ki bateṅ
Karni haiṅ mujhe Ahmad-e-Zishan ki bateṅ
Quran ki aur Sahib-e-Quran ki bateṅ
Maqsud sar-e-bazm haiṅ iman ki bateṅ
Quran ka koi mutabadil na badal hai
Quran har ek uqda-e-dushwar ka hal hai
Quran risalat ka muhafiz bhi khabar bhi
Quran basirat bhi basarat bhi basar bhi
Quran nazzara bhi nazarat bhi nazar bhi
Quran taassur bhi muassir bhi asar bhi
Quran khud ahkam bhi, hakim bhi, hukm bhi
Quran Muhammad ki sadaqat ka bharam bhi
Quran meiṅ sahra bhi samandar bhi shajar bhi
Jannat ke nazare bhi haiṅ Kausar ki khabar bhi
Kashti ki misaleiṅ bhi haiṅ, Sidra ke shajar bhi
Quran ke daman meiṅ har ek khushk bhi, tar bhi
Quran musaddiq bhi, mazahir bhi, mubiṅ bhi
Quran ke huffaz meiṅ Jibrail-e-Amiṅ bhi
Quran munawwar bhi, mehr bhi, sada bhi
Quran muazzam bhi, mukarram bhi, ziya bhi
Quran muallim bhi, mauzuṅ bhi, nida bhi
Quran nawazish bhi, inayat bhi, ata bhi
Quran ke asrar khafi bhi haiṅ jali bhi
Quran ke hamraz Muhammad bhi, Ali bhi
Quran ajuba bhi, ajaib bhi, ajab bhi
Quran qarina bhi, saliqa bhi, adab bhi
Quran tahayyur bhi, tafakkur bhi, ghazab bhi
Quran masail bhi, masaib bhi, sabab bhi
Kaunain ka maqsad bhi hai Kaunain ki had bhi
Quran ki aghosh meiṅ azal bhi hai abad bhi
Quran mutqin bhi, qawanin-e-Khuda bhi
Quran sahar bhi, tazakkur bhi, sila bhi
Quran muallim bhi, mudarris bhi, jaza bhi
Quran mufakkir bhi, hidayat bhi, huda bhi
Quran madawa bhi, muawin bhi, madad bhi
Masnad bhi Muhammad ka, Muhammad ki sanad bhi
Quran meiṅ wahdat bhi, nasihat bhi, dua bhi
Quran meiṅ azkar bhi, jurat bhi, wafa bhi
Quran meiṅ inkar bhi, adab-e-wafa bhi
Quran meiṅ inam bhi, rahmat bhi, saza bhi
Wallah ke ye qaul-e-Khuda-e-Azali hai
Quran meiṅ har husn-e-khafi aur jali hai
Allah ki marzi bhi, Payambar ki raza bhi
Isai ka Nafs-e-Hazrat-e-Musa ka asa bhi
Dawud ki lai, Yusuf-e-Kanaan ki qaba bhi
Betabi-e-Yaqub bhi, Adam ki dua bhi
Taqwa bhi, shayatin bhi, insan bhi, jinn bhi
Quran ki ayat meiṅ rateṅ bhi haiṅ din bhi
Zahra ka kahiṅ zikr, kahiṅ zikr-e-Ali ka
Hijrat ka kahiṅ aur kahiṅ Meraj ka qissa
Nachiz to hai Ayat-e-Misaq se samjha
Quran sarasar hai Muhammad ka qasida
Quran Hadis hai Rasul-e-Arabi ka
Quran sahifa hai Khuda-e-Azali ka
Ye qaul-e-Payambar ka zamane meiṅ hai mashhur
Jo Aal se hai dur wo Quran se hai dur
Quran ko Kaunain meiṅ karta hai jo mahjur
Shayad ke hai parwarda-e-dast-e-shab-e-dijur
Kaunain se kehti hai ye Quran ki shahi
Kafi hai mujhe Aal-e-Payambar ki gawahi
متفرقات و قومیّات
یا کاشف اسرار مدد کیجئے میری
قرآن / حضرت رفیق رضوی
یا کاشفِ اسرار مدد کیجئے میری
یا سید و سالار مدد کیجئے میری
یا کل کے مددگار مدد کیجئے میری
یا حیدرِ کرار مدد کیجئے میری
مدت سے مجھے چشمِ توجہ کی طلب ہے
میں بندۂ ناچیز سلیقہ نہ ادب ہے
احسان ذرا عرش نشیں، فرش نشیں پر
اک خاص توجہ ہو مرے قلبِ حزیں پر
کرنا ہے مجھے گفتگو قرآن مبیں پر
ڈرتا ہوں کہ گمراہ نہ ہوجاؤں کہیں پر
پھولوں کی مہک دے نہ ستاروں کی ضیا دے
اس ذہنِ حق آگاہ کی توفیق بڑھا دے
ہارونؑ کا قصہ نہ سلیمانؑ کی باتیں
کرنی ہیں مجھے احمدِ ذیشانؐ کی باتیں
قرآن کی اور صاحبِ قرآن کی باتیں
مقصود سرِ بزم ہیں ایمان کی باتیں
قرآن کا کوئی متبادل نہ بدل ہے
قرآن ہر اک عقدۂ دشوار کا حل ہے
قرآن رسالت کا محافظ بھی خبر بھی
قرآن بصیرت بھی بصارت بھی بصر بھی
قرآن نظارہ بھی نظارت بھی نظر بھی
قرآن تاثر بھی موثر بھی اثر بھی
قرآن خود احکام بھی، حاکم بھی، حکم بھی
قرآن محمدؐ کی صداقت کا بھرم بھی
قرآن میں صحرا بھی سمندر بھی شجر بھی
جنت کے نظارے بھی ہیں کوثر کی خبر بھی
کشتی کی مثالیں بھی ہیں، سدرہ کے شجر بھی
قرآن کے دامن میں ہر اک خشک بھی، تر بھی
قرآن مصدق بھی، مظاہر بھی، مبیں بھی
قرآن کے حفاظ میں جبرئیلِ امیں بھی
قرآن منور بھی، مہر بھی، صدا بھی
قرآن معظم بھی، مکرم بھی، ضیا بھی
قرآن معلم بھی، موزوں بھی، ندا بھی
قرآن نوازش بھی، عنایت بھی، عطا بھی
قرآن کے اسرار خفی بھی ہیں جلی بھی
قرآن کے ہمراز محمدؐ بھی، علیؑ بھی
قرآن عجوبہ بھی، عجائب بھی، عجب بھی
قرآن قرینہ بھی، سلیقہ بھی، ادب بھی
قرآن تحیر بھی، تفکر بھی، غضب بھی
قرآن مسائل بھی، مصائب بھی، سبب بھی
کونین کا مقصد بھی ہے کونین کی حد بھی
قرآن کی آغوش میں ازل بھی ہے ابد بھی
قرآن متقن بھی، قوانینِ خدا بھی
قرآن سحر بھی، تذکر بھی، صلہ بھی
قرآن معلم بھی، مدرس بھی، جزا بھی
قرآن مفکر بھی، ہدایت بھی، ہدیٰ بھی
قرآن مداوا بھی، معاون بھی، مدد بھی
مسند بھی محمدؐ کا، محمدؐ کی سند بھی
قرآن میں وحدت بھی، نصیحت بھی، دعا بھی
قرآن میں اذکار بھی، جرأت بھی، وفا بھی
قرآن میں انکار بھی، آدابِ وفا بھی
قرآن میں انعام بھی، رحمت بھی، سزا بھی
واللہ کہ یہ قولِ خدائے ازلی ہے
قرآن میں ہر حسنِ خفی اور جلی ہے
اللہ کی مرضی بھی، پیمبرؐ کی رضا بھی
عیسائی کا نفسِ حضرتِ موسیٰؑ کا عصا بھی
داؤدؑ کی لے، یوسفِ کنعان کی قبا بھی
بیٹابیِ یعقوبؑ بھی، آدمؑ کی دعا بھی
تقویٰ بھی، شیاطین بھی، انسان بھی، جن بھی
قرآن کی آیات میں راتیں بھی ہیں دن بھی
زہرا کا کہیں ذکر، کہیں ذکرِ علیؑ کا
ہجرت کا کہیں اور کہیں معراج کا قصہ
ناچیز تو ہے آیۂ میثاق سے سمجھا
قرآن سراسر ہے محمدؐ کا قصیدہ
قرآن حدیث ہے رسولِ عربی کا
قرآن صحیفہ ہے خدائے ازلی کا
یہ قولِ پیمبرؐ کا زمانے میں ہے مشہور
جو آل سے ہے دور وہ قرآن سے ہے دور
قرآن کو کونین میں کرتا ہے جو مہجور
شاید کہ ہے پروردۂ دستِ شبِ دیجور
کونین سے کہتی ہے یہ قرآن کی شاہی
کافی ہے مجھے آلِ پیمبرؐ کی گواہی