Hamd, Naat-o-Manaqib · 42
باغِ ہاشم کی کلی ہیں فاطمہ بنت اسد
Bagh-e-Hashim ki kali haiṅ Fatima Bint-e-Asad
Source pages:399
Show

Bagh-e-Hashim ki kali haiṅ Fatima Bint-e-Asad
Bagh-e-Hashim ki kali haiṅ Fatima Bint-e-Asad
Qurbat-e-qalb-e-Nabi haiṅ Fatima Bint-e-Asad
Misl-e-izzat Aal-e-Ibrahim meiṅ shamil haiṅ ye
Yani nasl-e nasl-e-Hashimi haiṅ Fatima Bint Asad
Parwarish pai Nabi ki saye meiṅ un ke hui
Naghma-e-Islam ki haiṅ Fatima Bint-e-Asad
Ek Imam aur ek Nabi haiṅ aap ki aghosh meiṅ
Din ki tabindagi haiṅ Fatima Bint-e-Asad
Gyarah Masumoṅ ki dadi, kul Imamoṅ ki haiṅ maṅ
Rahm se goya bhari haiṅ Fatima Bint-e-Asad
Un ki maṅ haiṅ jis ki Qaim hai imamat hashr tak
Ek hayat-e-daimi haiṅ Fatima Bint-e-Asad
Khud bhi beti haiṅ Asad ki aur beta bhi Asad
Markaz-e-nasl-e-jari haiṅ Fatima Bint-e-Asad
Kiuṅ na ae zair, shahane Madar-e-Haider kareṅ
Ruh-e-Akbar shairi haiṅ Fatima Bint-e-Asad
باغِ ہاشم کی کلی ہیں فاطمہ بنت اسد
باغِ ہاشم کی کلی ہیں فاطمہ بنت اسد
قربتِ قلبِ نبیؐ ہیں فاطمہ بنت اسد
مثلِ عزت آلِ ابراہیم میں شامل ہیں یہ
یعنی نسلِ ہاشمی ہیں فاطمہ بنت اسد
پرورش پائی نبیؐ کی سائے میں ان کے ہوئی
نغمۂ اسلام کی ہیں فاطمہ بنت اسد
اک امام اور اک نبیؐ ہیں آپ کی آغوش میں
دین کی تابندگی ہیں فاطمہ بنت اسد
گیارہ معصوموں کی دادی، کل اماموں کی ہیں ماں
رحم سے گویا بھری ہیں فاطمہ بنت اسد
ان کی ماں ہیں جس کی قائم ہے امامت حشر تک
اک حیاتِ دائمی ہیں فاطمہ بنت اسد
خود بھی بیٹی ہیں اسد کی اور بیٹا بھی اسد
مرکزِ نسلِ جری ہیں فاطمہ بنت اسد
کیوں نہ اے زائر، شہانے مادرِ حیدر کریں
روحِ اکبر شاعری ہیں فاطمہ بنت اسد