Hamd, Naat-o-Manaqib · 33
انتظار اس کا سرِ عرشِ علیؑ ہوتا ہے
Intizar us ka sar-e-Arsh-e-Ali hota hai
Source pages:390
Show

Intizar us ka sar-e-Arsh-e-Ali hota hai
Zikr-e-Shahanshah-e-Wafa / Sibt Jafar
Intizar us ka sar-e-Arsh-e-Ali hota hai
Jashn-e-Abbas jo har sal bapa hota hai
Kya kaheṅ Majlis o Milad se kya hota hai
Yuṅ bhi kuchh ajr-e-risalat ka ada hota hai
Jab kahiṅ zikr-e-Shahanshah-e-Wafa hota hai
Farsh se Arsh talak Sall-e-Ali hota hai
Masawa khair-e-amal aur bhala kya hoga
Jis jagah "Hayya Ali, Hayya Ali" hota hai
Mujh ko de deta hai taufiq Shahanshah-e-Abbas
Mehrbaṅ jab bhi kabhi mujh pe Khuda hota hai
Aa ke le jate haiṅ Jibrail tilawat ke liye
Madh-e-Abbas meiṅ jo sher kaha hota hai
Baith jate haiṅ farishte bhi wahaṅ dam lene
Jab kahiṅ parcham-e-Abbas khula hota hai
bewafai ka guzar aur na khizlan ka kuchh kam
Jis chaman meiṅ gul-e-Abbas khila hota hai
Go gadai se fursat nahiṅ milti hum ko
Par tere ka kuchh apna hi maza hota hai
Us ki imdad ko Abbas pahunch jate haiṅ
Jis ka koi bhi na ho us ka Khuda hota hai
Us jagah gardish-e-ayyam thaharti hi nahiṅ
Jis jagah parcham-e-Abbas laga hota hai
Munaqid hota hai har sal jo ye "Jashn-e-Wafa"
Sal bhar ke liye ye radd-e-bala hota hai
Tir-e-Masum ke lag kar bhi khata kehlaya
Par tabassum ka kahiṅ tir khata hota hai
Shukr kar Fatima Sughra ke watan meiṅ hai tu
Kya khabar tujh ko ke pardes meiṅ kya hota hai
Arsh wale bhi chale aate haiṅ sunne ke liye
Sibt Jafar tere ashar meiṅ kya hota hai
(Ba-munasibat "Jashn-e-Wafa" Sipah-e-Abbas / Khairpur Mirs)
Ba-ihtimam-e-hukm Syed Anwar Ali Jafari o Razi Zaidi
انتظار اس کا سرِ عرشِ علیؑ ہوتا ہے
ذکرِ شہنشاہِ وفا / سبط جعفر
انتظار اس کا سرِ عرشِ علیؑ ہوتا ہے
جشنِ عباسؑ جو ہر سال بپا ہوتا ہے
کیا کہیں مجلس و میلاد سے کیا ہوتا ہے
یوں بھی کچھ اجرِ رسالت کا ادا ہوتا ہے
جب کہیں ذکرِ شہنشاہِ وفا ہوتا ہے
فرش سے عرش تلک صلِّ علیؑ ہوتا ہے
ماسوا خیرِ عمل اور بھلا کیا ہوگا
جس جگہ "حی علی، حی علی" ہوتا ہے
مجھ کو دے دیتا ہے توفیق شہنشاہِ عباسؑ
مہرباں جب بھی کبھی مجھ پہ خدا ہوتا ہے
آ کے لے جاتے ہیں جبرئیل تلاوت کے لئے
مدحِ عباسؑ میں جو شعر کہا ہوتا ہے
بیٹھ جاتے ہیں فرشتے بھی وہاں دم لینے
جب کہیں پرچمِ عباسؑ کھلا ہوتا ہے
بے وفائی کا گزر اور نہ خذلان کا کچھ کام
جس چمن میں گلِ عباسؑ کھلا ہوتا ہے
گو گدائی سے فرصت نہیں ملتی ہم کو
پر تیرے کا کچھ اپنا ہی مزہ ہوتا ہے
اس کی امداد کو عباسؑ پہنچ جاتے ہیں
جس کا کوئی بھی نہ ہو اس کا خدا ہوتا ہے
اس جگہ گردشِ ایام ٹھہرتی ہی نہیں
جس جگہ پرچمِ عباسؑ لگا ہوتا ہے
منعقد ہوتا ہے ہر سال جو یہ "جشنِ وفا"
سال بھر کے لیے یہ ردِّ بلا ہوتا ہے
تیرِ معصوم کے لگ کر بھی خطا کہلایا
پر تبسم کا کہیں تیر خطا ہوتا ہے
شکر کر فاطمہ صغریٰ کہ وطن میں ہے تو
کیا خبر تجھ کو کہ پردیس میں کیا ہوتا ہے
عرش والے بھی چلے آتے ہیں سننے کے لئے
سبط جعفر ترے اشعار میں کیا ہوتا ہے
(بمناسبت "جشنِ وفا" سپاہِ عباسؑ / خیرپور میرس)
بہتمام حکم سید انوار علی جعفری و رضی زیدی