Hamd, Naat-o-Manaqib · 20
زیست جس کی باندی ہے، وہ حسینؑ میرا ہے
Zist jis ki bandi hai, wo Husain mera hai
Show


Zist jis ki bandi hai, wo Husain mera hai
Sibt Jafar
Zist jis ki bandi hai, wo Husain mera hai
Maut jis pe marti hai, wo Husain mera hai
Jis ki sab Khudai hai, wo Husain mera hai
Karbala bhi us ka hai, Ilya bhi us ke haiṅ
Ausiya bhi us ke haiṅ, Auliya bhi us ke haiṅ
Khalq sari jis ki hai, wo Husain mera hai
Aisi nani kis ki hai, aisa kis ka Nana hai
Ek ka sadqa kaun o makaṅ, ek Arab ki malika hai
Jo waqar-e-hasti hai, wo Husain mera hai
Dadi jis ki Bint-e-Asad aur Jad Abu Talib
Maṅ hai Fatima Zahra, bap ka laqab Ghalib
Jo uruj-e-hasti hai, wo Husain mera hai
Jis ke dar pe aayeṅ malak apni jholiyaṅ phailaye
Jis ke dar se qatre bhi aab-e-Kausar mil jaye
Rizwaṅ jis ka rozi hai, wo Husain mera hai
Jis ke dast-e-qudrat meiṅ bag hai nabuwwat ki
Din ka to kehna kya, jabke khud mashiyyat bhi
Kalma jis ka parhti hai, wo Husain mera hai
Waris-e-shukr-e-maras, azm o hausla ki had
Syed-e-Shabab-e-Jannat, jis ne mashiyyat ki sanad
Mustafa se pai hai, wo Husain mera hai
Jis ke waste ta-abad ban gaye hoṅ khud Sarwar
Tul de deṅ sajde ko hukm-e-Rab se Payambar
Jo Khuda ki marzi hai, wo Husain mera hai
Sat bete Rabab ko kitne apni tifli meiṅ
Ek hasiyat hi ko kya din ko zayati meiṅ
Jis ne zindagi di hai, wo Husain mera hai
Di amaṅ sar-e-maqtal jis ne dushman-e-jaaṅ ko
Sar-buland jis ne kiya, sar kata ke Yazdaṅ ko
Jis ki bakhsha hi hai, wo Husain mera hai
Gar ummat-e-Jad ki jis ne nok-e-neza par
Ki tilawat-e-Quran jis ne nok-e-neza par
Din jis se baqi hai, wo Husain mera hai
Hath kat gaye phir bhi bahr o bar pe qabza hai
Qabza kar ke darya par aaj bhi jo pyasa hai
Jis ka aisa bhai hai, wo Husain mera hai
Kufr orh kar aaya jab mulukiyat ki niqab
jis ne apne khutboṅ se is ko kar beniqab
Jis ki khwahar aisi hai, wo Husain mera hai
Rang o nasl o mazhab ka farq yahaṅ nahiṅ koi
Ek sab ka maslak hai, ek qaumiyat sab ki
Bazm ye Husaini hai, wo Husain mera hai
Sibt Jafar ek shair, sozkhwan Aal-e-Nabi
Us ko izzat o shohrat Panjtan ke dar se mili
Jis ka faiz jari hai, wo Husain mera hai
زیست جس کی باندی ہے، وہ حسینؑ میرا ہے
سبط جعفر
زیست جس کی باندی ہے، وہ حسینؑ میرا ہے
موت جس پہ مرتی ہے، وہ حسینؑ میرا ہے
جس کی سب خدائی ہے، وہ حسینؑ میرا ہے
کربلا بھی اس کا ہے، ایلیا بھی اس کے ہیں
اوصیاء بھی اس کے ہیں، اولیاء بھی اس کے ہیں
خلق ساری جس کی ہے، وہ حسینؑ میرا ہے
ایسی نانی کس کی ہے، ایسا کس کا نانا ہے
اک کا صدقہ کون و مکاں، اک عرب کی ملکہ ہے
جو وقارِ ہستی ہے، وہ حسینؑ میرا ہے
دادی جس کی بنتِ اسد اور جد ابو طالبؑ
ماں ہے فاطمہ زہرا، باپ کا لقب غالب
جو عروجِ ہستی ہے، وہ حسینؑ میرا ہے
جس کے در پہ آئیں ملک اپنی جھولیاں پھیلائے
جس کے در سے قطرے بھی آبِ کوثر مل جائے
رضواں جس کا روزی ہے، وہ حسینؑ میرا ہے
جس کے دستِ قدرت میں باگ ہے نبوت کی
دین کا تو کہنا کیا، جبکہ خود مشیت بھی
کلمہ جس کا پڑھتی ہے، وہ حسینؑ میرا ہے
وارثِ شکر مراس، عزم و حوصلہ کی حد
سیدِ شبابِ جنت، جس نے مشیت کی سند
مصطفیٰؐ سے پائی ہے، وہ حسینؑ میرا ہے
جس کے واسطے تا ابد بن گئے ہوں خود سرور
طول دے دیں سجدے کو حکمِ رب سے پیمبرؐ
جو خدا کی مرضی ہے، وہ حسینؑ میرا ہے
سات بیٹے رابب کو کتنے اپنی ظفلی میں
ایک حسیت ہی کو کیا دین کو ضیعتی میں
جس نے زندگی دی ہے، وہ حسینؑ میرا ہے
دی اماں سرِ مقتل جس نے دشمنِ جاں کو
سر بلند جس نے کیا، سر کٹا کے یزداں کو
جس کی بخشا ہی ہے، وہ حسینؑ میرا ہے
گر امتِ جد کی جس نے نوکِ نیزہ پر
کی تلاوتِ قرآن جس نے نوکِ نیزہ پر
دین جس سے باقی ہے، وہ حسینؑ میرا ہے
ہاتھ کٹ گئے پھر بھی بحر و بر پہ قبضہ ہے
قبضہ کر کے دریا پر آج بھی جو پیاسا ہے
جس کا ایسا بھائی ہے، وہ حسینؑ میرا ہے
کفر اوڑھ کر آیا جب ملوکیت کی نقاب
جس نے اپنے خطبوں سے اس کو کردیا بے نقاب
جس کی خواہر ایسی ہے، وہ حسینؑ میرا ہے
رنگ و نسل و مذہب کا فرق یہاں نہیں کوئی
ایک سب کا مسلک ہے، ایک قومیت سب کی
بزمِ یہ حسینی ہے، وہ حسینؑ میرا ہے
سبط جعفر اک شاعر، سوز خواں آلِ نبیؐ
اس کو عزت و شہرت پنجتن کے در سے ملی
جس کا فیض جاری ہے، وہ حسینؑ میرا ہے